Poetry / Political

Muzammil Shahzad

mujh ko phanci charha dou mita dou mjhy
qatl mein zindah jila dou mjhy
mein hoon mansoor suli charha dou mjhy
iss say barh kar bhi hai to saza dou mjhy

han mein ghaddar hoon aisay jamhoor ka
gham kay manshoor ka kale dastoor ka

patharon ki tarah kaisey zindah rahon
zulm sehta rahon moun say kuch nah kahoon
qatl insaan ki baat kaisey karoon
aisay dastoor kay saath kaisey chaloon

han mein ghaddar hoon aisay jamhoor ka
gham kay manshoor ka kale dastoor ka

mujh ko mara gaya mujh ko petta gaya
mujh ko sadakon peh jabran gaya
kya khataa thi meri keb ye pocha gaya
mujh ko baghi mein likha gaya

han mein ghaddar hoon aisay jamhoor ka
gham kay manshoor ka kale dastoor ka

phool kalyon ki chadar kahan kho gayi
baad zulmat chaman mein ye kya bo gayi
mousam gul mein taari khizan ho kai
gul peh daikho saba ro gayi

han mein ghaddar hoon aisay jamhoor ka
gham kay manshoor ka kale dastoor ka

Advertisement
· -1 Like · Jan 10, 2015 at 22:01
Category: political
 

Latest Posts in poetry

So Cute baby.
Posted by nadeem moti
Posted on : Apr 18, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS