Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Aao Shahido Sair Karain Tum Ko Pakistan Ki
Jis Ki Khatir Tum Nay Di Qurbani Lakhon Jan Ki

Bum Dhmakon Aur Khud Kush Hamlon Ka Hain Bazar Yahan
Roab Sadarat Aur Jalan Ka Sab Kay Sar Par Khab Yahan

Boorhi Lagti Hai Muravat Nafrat Ka Har Vaar Jaman
Betee Pal Bas Yaden Hain Ab Asy Din Aur Raat Kahan

Asa Lagta Hai Sipah Utri Hai Yahan Khakhan Ki
Kasy Tum ko Sair Karain Apne Pakistan Ki

Bolo Shahido O Shahido Kyon Banaya Pakistan
Nara Ye Tum Ne Kyon Lagaya Lay Ke Rahen Gay Pakistan

Apni Janat Apna Ghar Hi Kahlaye Ga Pakistan
Aik Hi Dhun Thi Pakistan Pakistan Pakistan

Watan Mai Basnay Valon Nay Is Ki Tabahi Thaan Li
Kasy Tum Ko Sair Karain Pory Pakistan Ki


AMIR LIAQAT

Advertisement
· 1 Like · Jan 10, 2015 at 16:01
Category: political
 

Latest Posts in poetry

Ufff.....
Posted by Muhammad Aftab
Posted on : Aug 22, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS