Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Tera Sab Kuch Qabool Hai

pathar hai tairay haath mein ya koi phool hai
jab to qubool hai, tera sab kuch qubool hai

phir tunay day diya hai naya faasla mujhe
sir par abhi to pichli masafat ki dhool hai

to dil pay boojh le ke mulaqaat ko nah aa
milna hai is terhan to bicharna qubool hai

to yaar hai to itni kari guftagu nah kar
tera usool hai to mera bhi usool hai

lafzon ki aabaroo ko ganwao nah yun Adeem
jo maanta nahi, usay kehna fuzool hai

aake hansi labon pay bikhar bhi gayi Adeem
jane zayan hai yeh kay khushi ka husool hai

· 1 Like · Mar 14, 2018 at 15:03
Category: sad
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Ek Khuwab Safar Mai Rehta Hai

ik naam ki urti khushbu mein ik khawab safar mein rehta hai
ik bastii ankhen malti hai ik shehar nazar mein rehta hai

kya ehl-e hunar, kya ehley Sharf sab tukre raddi kaghaz ke
is daur mein hai woh shakhs bara jo roz khabar mein rehta hai

pani mein roz bahata hai ik shakhs diye umeedon ke
aur aglay din tak phir un ke hamrah bhanwar mein rehta hai

ik khuwab-e hunar ki aahat se kya aag lahoo mein jalti hai
kya lehar si dil mein chalti hai! kya nasha sir mein rehta hai

jo pairr pay likhi jati hai jo giili rait se bantaa hai
kon uss tehreer ka waris hai! kon aisay ghar mein rehta hai !

har shaam sulagti aankhon ko deewar mein chuun kar jati hai
har khawab, shikasta honay tak zanjeer-e sehar mein rehta hai

yeh shehar katha bhi hai amjad ik qissa sotay jagtay ka
hum dekhen jis kirdaar ko bhi jadu ke assar mein rehta hai

· 1 Like · Mar 14, 2018 at 09:03
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Abhi Na Khul

abhi nah khul abhi thora hijaab rehne day
kuch aur din mujhe yuhin kharab rehne day

ujaarr day mere dil ki tamam dharti ko
bas ik shehar, mera shehr-e khawab rehne day

wohi howa nah bichernay pay baat aa pohanchi
tujhe kaha tha, puranay hisaab rehne day

meri hatheli par likh day har ik nakami
mere khuda to usay kamyaab rehne day

waraq waraq nah to aisay lakerain khinchtaa ja
kitab Umar mein koi to baab rehne day

· 1 Like · Mar 14, 2018 at 03:03
Category: general
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Phir Aahon Ka Dhuwan Utha

jala phir sabr ka Khirmen , phir aanhon ka dhuwan utha
howa phir nazr-e sar sar har nashiman ka har ik tinka

hui phir subh-e maatam aanso-on se bhar gaye darya
chala phir soye gurdon karwan-e naala shab ha
har ik janib fiza mein phir macha kohraam-e yarab ha

umadd i kahin se phir ghata wehshi zamanoon ki
fiza mein bijliyan lehrayin phir se taziyano ki
qalam honay lagi gardan qalam ke pasbanon ki
khula nelaam zehnon ka, lagi boli zabanon ki
lahoo dainay laga har ik dahan mein bukhya lab ha
chala phir soye gurdon karwan-e naala shab ha

sitam ki aag ka eendhan banay dil phir se, dadalha !
yeh tairay saada dil bande kidhar jayen khudawanda
bana phirta hai har ik muddayi pegham Bar tera
har ik buut ko sanam khanaay mein daawa hai khudai ka
khuda mehfooz rakhay az khudawandan-e mazhab ha
chala phir soye gurdon karwan-e naala shab ha

· 1 Like · Mar 13, 2018 at 21:03
Category: general
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

November Aa Gaya Phir Se

November agaya phir se
udasi sath laya hai
is mah mein sah pehar shaam se kuch aisay millti hai
jaisay titlee ke kachay rang, yaksar be dhayani mein hathon par utartay hain .
aur shaam raat ke sath yun hum agosh rehti hai
kay jaisay doo behnain hon taley oopar. . .
hamesha sath chalti hain
hamesha sath rehti hain
hamesha sath roti hain
hamesha sath hansti hain

jo dekho to, wohi ghantay hain poooray bees aur chaar. . .
magar dorania pahron ka aisa ban gaya hai kay
sawera kab howa madham ,
ujala din dhaly mein kab howa madgham ,
gulaabii shaam kaali raat ke sang kab hui madgham. . .
samjhna be had mushkil hai. .

isi mah mein udasi zard rang le kar darakhton par utarti hai. . aur
hamaray dil ke aangan mein ,
guzashta bisri yaado ke ,
sokhey zard pattay, bohat be jaan se ho kar
jhartay hain, utartay hain, bikharte hain. .
howa se urrtay phirtay hain. .
gzrte waqt ke be reham se qadmon taley kirkiratay hain. . .
yuhin yaado ke bikhare zard pattoun ke purkef se jhurmat aur. . .
November ki udasi hum ko be had raas aati hai. . .

· 1 Like · Mar 13, 2018 at 15:03
Category: occassional-events
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Tujhe Mera Kitna Khyal Tha

mujhe aisa lutf aataa kya, jo nah hijar tha nah wisaal tha! !
mere mousamoo ke mizaaj daan, tujhe mera kitna khayaal tha! !

kisi aur chehray ko dekh kar, teri shakal zehen mein aagai! !
tera naam le ke mila ussay, mere hafzay ka yeh haal tha! !

kabhi mousamoo ke saraab mein, kabhi baam o dar ke azaab mein
wahan umar hum ne guzaar di, jahan saans lena muhaal tha! !

kabhi too ne ghhor nahi kya, kay yeh log kaisay ujadh gaye ?
koi mere jaisa giriftaa dil, tairay samnay ki misaal tha! !

tairay baad koi nahi mila, jo yeh haal dekh ke pochta. .. .. .. .
mujhe kis ki aag jhulsa gayi? mere dil ko kis ka malal tha

kahin khon-e dil se likha to tha, tairay salِ hijar ka saneha! ! !
woh adhuri dayiri kho gayi, woh najane kon sa saal tha? ?

· 1 Like · Mar 13, 2018 at 09:03
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Koi To Hamara Hota

Udas Dil Ki Udas Batein
Samajhne Wala Koi To Hota

Ke Jiski Baton Se Dil Sambhalta
Ke Jiski Sangat Me Dil Behalta

Jiski Halki Si Ek Jhalak Bhi
Hamare Dukh Ko Samait Deti

Falak Se Khushyan Undail Deti
Ya Uski Nazuk Si Muskurahat

Hamare Din Ki Sabhi Thakawat Ko Door Karti
Ya Phir Chamakti Wo Aankhein Uski

Hamari Hansi Ka Raaz Hoteen,
Hamary Dukh Ki Kitaab Hota!

Jo Humko Chahta, Humko Parhta,
Guzarte Lamhon Ki Sakhtiyon Me!

Koi To Nazuk Mizaj Hota.
Koi To hamaara Hota .

· 2 Like · Mar 13, 2018 at 02:03
Category: love
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

November Aagaya Phir Se

November agaya phir se
udasi sath laya hai
is mah mein sah pehar shaam se kuch aisay melti hai
jaisay titlee ke kachay rang, yaksar be dhayani mein hathon par utartay hain .
aur shaam, raat ke sath yun hum agosh rehti hai
kay jaisay doo behnain hon taley oopar. . .
hamesha sath chalti hain
hamesha sath rehti hain
hamesha sath roti hain
hamesha sath hansti hain

jo dekho to, wohi ghantay hain poooray bees aur chaar. . .
magar dorania pahron ka aisa ban gaya hai k
sawera kab howa madham ,
ujala din dhaly mein kab howa madgham ,
gulaabii shaam __ kaali raat ke sang kab hui madgham. . .
samjhna be had mushkil hai. .

isi mah mein udasi zard rang le kar darakhton par utarti hai. . aur
hamaray dil ke aangan mein ,
guzashta bisri yaado ke ,
sokhey zard pattay, bohat be jaan se ho kar
jhartay hain, utartay hain, bikharte hain. .
howa se urrtay phirtay hain. .
gzrte waqt ke be reham se qadmon taley kirkiratay hain. . .
yuhin yaado ke bikhare zard pattoun ke purkef se jhurmat aur. . .
November ki udasi hum ko be had raas aati hai. . .

· 1 Like · Mar 12, 2018 at 20:03
Category: occassional-events
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Aks Kitne Utar Gaye Mujh Mai

aks kitney uttar gaye mujh mein
phir najane kidhar gaye mujh mein

yeh jo mein hon zara sa baqi hon
woh jo tum thay woh mar gaye mujh mein

mere andar thi aisi tareqi
aa ke asaib dar gaye mujh mein

mein ne chaha tha zakham bhar jayyn
zakham hi zakham bhar gaye mujh mein

pehlay utra mein dil ke darya mein
phir samandar uttar gaye mujh mein

kaisa khaka bana diya mujh ko
kon sa rang bhar gaye mujh mein

mein woh pal tha jo kha gaya sadiyan
sab zamane guzar gaye mujh mein

ban ke Khurshid samnay aaye
aur phir raat kar gaye mujh mein

· 1 Like · Mar 12, 2018 at 14:03
Category: sad
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS