Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Haasil Kuch Nahi Aata

jama tum ho nahi satke, tumhen manfi se nafrat hai
tumhen taqseem karta hon to haasil kuch nahi aata

koi qaida koi kulia, nah laago tum pay ho paaya
zarb tum ko agar dun to hsabon mein khalaal aaya

Umar yeh kat gayi meri tumhen humdam samaghnay mein
nah aljebra se lagtay ho, nah ho degree kay samajh aaye

sifar thi ibtida tumhari, sifar hi ab talak tum ho
sifar zarb sifar ho tum, nah jis se kuch farq aaye. .. .! ! !

· 1 Like · Mar 12, 2018 at 08:03
Category: love
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Tum Jo Hote

Tum jo hote tu hamien kitna sahara hota
Hum ne auron ko na youn dukh mein pokara hota

Jitni shiddat se main wabasta tha tum se Farhat
Kis tarha mera tere baad guzara hota...........!

Mujh ko yeh soch hi kafi hai jalane k liye
main na hota tu koi aur tumhara hota

Aur hum baith k khamoshi se roye jate
Sham hoti kisi darya ka kinara hota

Dil se dekhi nahi jati thi khamoshi ghar ki
kis tarha ujrraa hoa shehar gawara hota

Chaand hota k meri Jaan sitara hota
Hum ne ik tere siwa dil se utaara hota

Tu ne socha hai kabhi kitna mohabat k baghair
Rooh farsaa dil-e-viraan ka nazara hota !!

· 1 Like · Mar 12, 2018 at 02:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Laakh Doorie Ho

Laakh doori ho magar ehd nibhate rehna
Jab bhi barish ho mera sog manate rehnaa

Tum gaye ho to sare shaam yeh adat thehri
Bas kinaare pe khade haath hilaate rehnaa

Jaane is dil ko yeh adaab kahaan se aaye
Uski raahoN mai nigaahon ko bichhate rehna

Aik muddat se yeh mamool hua hai ab to
Aap hi roothna aur aap manate rehnaa

Tum ko maloom hai farhat ke yeh pagalpan hai
Door jaate huye logoN ko bulaate rehnaa

· 2 Like · Mar 11, 2018 at 18:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Siyah Hijr Gaya

Siyaah hijr gaya , zard intezaar gayey
kisi ka dard gaya dard k hisaar gayey

udaas raat, khizaan humsafar,safar gumnaam
teray khayaal k mausam humain tou maar gayey

naa jaan bharakti hay apni naa raakh hotey hain
humain yeh kaisi museebat main tum utaar gayey

ajeeb dushman-e-jaan tha k bin larray jeeta
ajeeb jung thi hum jis main haar haar gayey

bohat hee thori see muhallat mili muhabbat ki
hum apna aap magar jaatey jaatey waar gayey

kisi k bhaijey huay aagayey thay dunya main
kisi say maangi hui zindagi guzaar gayey

na chaand atka kisi jaa na badliyaan atkeen
hum uski raat k aangan main baar baar gayey!!

· 1 Like · Mar 11, 2018 at 11:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Pehle Pehle

fikr-e anjaam kar anjaam se pehlay pehlay
din to tera hai, magar shaam se pehlay pehlay
kaisay dam toar gayeen seenay mein rafta rafta
hasaratein, hasrat-e nakaam se pehlay pehlay
baasِ fakhr howa rehzan o qaatil hona
ghar ujarty thay iss ilzaam se pehlay pehlay
aaye bikny pay to herat mein hamein daal diya
woh to be mol thay nilaam se pehlay pehlay
ho bhi sakta hai, bohat khaas nazar anay lagen
woh jo lagtay hain bohat aam se pehlay pehlay
haae woh waqt kay taari thi mohabbat hum par
hum bhi choank uthte thay ik naam se, pehlay pehlay
hum bhi sotay thay koi yaad sarahnay rakh kar
haan magar gardish-e ayyaam se pehlay pehlay
kis qader taiz hawae theen sar shaam kay dil
jal bujha raat ke hangaam se pehlay pehlay
ab ke mushkil woh pari hai kay yeh jaan jati hai
Saad rehtay thay hum aaraam se pehlay pehlay

· 3 Like · Mar 11, 2018 at 05:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Kis Mohabbat Se Mujh Ko Maara Gaya

mere khowaboon mein chaand utara gaya
kis mohabbat se mujh ko mara gaya
aik qaatil ne takhat khaali kya
aik qaatil ko phir puraka gaya
meri aankhon mein khoon uttar aaya
mujh ko maqtal se jab guzaraa gaya
mere baazu nahi rahay mere
lo mara aakhri sahara gaya
phir marey haath paon chalne lagey
jab marey haath se kinara gaya
sab se barh kar tha saneha apna
jung ke sath dil bhi haara gaya
log hanstay hain apni baton par
hum jo kehte hain dil humhara gaya
meri qeemat wusool hotay he
Saad dushman pay mujh ko waraa gaya

· 2 Like · Mar 10, 2018 at 23:03
Category: sad
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Aise Lagta Hai

aisay lagta hai yahi qoum ke gham khawar hain bas
rehnuma saaray ke saaray he adakar hain bas
in pay kiyon kholtey ho janat-e Firdous ke baab
ehley duniya hain, yeh duniya ke talab gaar hain bas
ehley haq jantay hain Adal ke asmaar hain kya
ehley zulmat pay yeh asmaar giran baar hain bas
mulk lota hai magar phir bhi Muaziz hain woh
kaisi majboori kay hum in ke taraf daar hain bas
hum woh badbakht nahi chahtay hain apnon ko
aur gheiron ki mohabbat mein girftar hain bas
kon sa jurm tha apna kay mili jis ki saza
hum saya kaar murawwat ke sazawar hain bas

· 1 Like · Mar 10, 2018 at 17:03
Category: general
 
Poetry / Poetry Sms

Muzammil Shahzad

Mere Aashna Bhi Ajeeb Thay

marey aashna bhi ajeeb thay nah Rafeeq thay nah raqeeb thay
mujhe jaan se dard Aziz tha unhen fkrِ charah giri rahi

· 2 Like · Mar 10, 2018 at 10:03
Category: poetry-sms
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Tere Qabil Nahi Hota

nah ro ae shama parwano ka naazuk dil nahi hota
yeh deewany hain mar jana inhen mushkil nahi hota

bas ab chupkay raho mansoor ki baabat nah khilwao
mohabbat itni bhar dete ho jitna dil nahi hota


khuda rakhay tumahra gham to kya aalam sama jaye
zara sa dil samajte ho zara sa dil nahi hota

ellahi doob jana he rakha hai kya muqadar mn
idhar jati hai kashti jis taraf saahil nahi hota

azal se mehv hon ainaa dil ki safai mein
tairay qabil banata hon tairay qabil nahi hota

· 3 Like · Mar 10, 2018 at 04:03
Category: general
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS