Poetry / Sad

Imran Khan

Bhuli Hui Sada Hun Mujhe Yad Kijiye.

bhuli hui sada hun mujhe yad kijiye
tum se kahin mila hun mujhe yad kijiye
manzil nahin hun khizr nahin rahzan nahin
manzil ka ranta hun mujhe yad kijiye
meri nigah-e-shauq se har gul hai dewta
main ishq ka khuda hun mujhe yad kijiye
nagmon ki ibtida thi kabhi mere nam se
ashkon ki intaha hun mujhe yad kijiye
gum-sum khari hain donon jahan ki haqiqaten
main un se kah raha hun mujhe yad kijiye
"Sagar" kisi ke husn-e-tagaful shar ki
bahki hui ada hun mujhe yad kijiye.


· 0 Like · Jun 01, 2018 at 06:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Mehwish Jatt

Arz Karte Hain

· 0 Like · Jun 01, 2018 at 00:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Hafiz Mehran

Pehle Likhti Hoon Mein Kaghaz Pe Masaayel Apne.

Pehle likhti hoon mein kaghaz pe masaayel apne,
Aur phir sabbar ke daryaa mein bahaa deti hoon..

· 0 Like · May 31, 2018 at 18:05
Category: sad
 
Poetry / Poetry Sms

Andaleeb Siddiqui

Yeh Aur Baat Ke Main Chorr Chuka Kuuza Gari,

Yeh aur baat ke main chorr chuka kuuza gari,
Tere jaise to mein matti ke bana sakta hoon..

· 1 Like · May 31, 2018 at 12:05
Category: poetry-sms
 
Poetry / Sad

Muhammad Aftab

Phir Aj Ashk Se Ankhon Mein Kyun Hain Aye Huye,

Phir aj ashk se ankhon mein kyun hain aye huye,
Guzar geya hai zamaana tujhe bhulaaye huye.

· 1 Like · May 31, 2018 at 06:05
Category: sad
 
Poetry / Love

Rumana Shahzad

Meray Halaat Pay Muskuratay Ho..

Meray Halaat Pay Muskuratay Ho.....???

Bad_Dua Hai,
Tujhay Bhi Ishq Ho Jaaye.....!!!


· 3 Like · May 30, 2018 at 21:05
Category: love
 
Poetry / Sad

Alishba Khan

Aik Lamhay K Liye Haath Raha Meray Haatho''n Mien.

Aik Lamhay K Liye Haath Raha Meray Haatho''n Mien.....

Aik Lamha Wo Meri Zeest Ka Haasil Thehraa........!!!


· 0 Like · May 30, 2018 at 15:05
Category: sad
 
Poetry / Sad

Abdulla Bhatti

Aankhou''n Ki Gali Mein Koi Awara Sa Ansou.

Aankhou''n Ki Gali Mei''n Koi Awara Sa Ansou,
Palkou''n Sey Terey Ghar Ka Pata Pooch Raha Hai..

· 0 Like · May 30, 2018 at 09:05
Category: sad
 
Poetry / Sad

Abdul Khaliq

Zara Si Der Ko Aye The Khwab Ankhon Mein.

zara si der ko aye the khwab ankhon mein
phir us k bad musalsal azab ankhon mein
wo jis k nam ki nisbat se raushan tha wujud
khatak raha hai wahi aftab ankhon mein
jinhen mata-e-dil-o-jan samajh rahe the ham
wo aine bhi hue behijab ankhon mein
ajab tarah ka hai mausam k khak urti hai
wo din bhi the k khile the gulab ankhon mein
mere gazal teri wahshaton ki khair ki hai
bahut dinon se bahut iztarab ankhon mein
na jane kaisi qayamat ka peshkhema hai
ye uljhane teri be-intasab ankhon mein.

· 1 Like · May 30, 2018 at 02:05
Category: sad
 
Dal Makhani Song - 'Dr. Cabbie'
Posted by Punjabi Music Videos
Posted on : Jan 26, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS