Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

December Ki Aas

December Jab Bhi Ata Hai
Wo Pagli...
Phir Se Beetay Mosumon Ki
Talkhion Ko
Yad Karti Hai
Purana Card Perhti Hai
K Jis Main Os Ne
Likha Tha
Main Lauton Ga December Main

Naye Kapry Bnati Hai
Wo Sara Ghar Sjati Hai
December K Her Ik Din Ko
Wo Gin Gin Ker Bitati Hai
Junhi 15 Guzarti Hai
Wo Kuch Kuch Toot Jati Hai
Magar Phir Bi
Purani Albumon Ko Khol Ker
Mazi Bulati Hai !!!

Nahi Maloom Ye Osko
K Beetay Waqt Ki Khushian
Bohat Takleef Deti Hain
Mehaz Dil Ko Jalati Hain...
Yunhi Din Beet Jaty Hain
December Laut Jata Hai
Magar Wo Khush Feham Larki...
Dobara Se Calendar Main
December K Maheeny K Safhay Ko
Mor Ker, Phir Se
Phir Se
December Ke Sahar Main
Doob Jati Hai
K Akhir Os Ne Likha Tha....
Main Lauton Ga December Main

· 1 Like · Nov 02, 2015 at 16:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Har Saal

Her Saal January
Humain Kuch Sapnay Dikhati Hai
Jis Ko Poora Kernay Main
December Aa Pohanchta Hai
Zindagi Aur Akheer Bi Mano
Umer Kay January Aur December Hain
Zindagi Ki January Bi Jo Khwab Dikhati Hai
Admi Umer Bar Un Ko Poora Kerta Rehta Hai
Aur Umer Ka December Aan Pohanchta Hai
Aur Saal Ki Terha
Saans Bi Khutum Ho Jati Hai

· 1 Like · Nov 02, 2015 at 10:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

December Ab Bhi Tera Muntazir Hai

woh Lamhay............
Soch Ki Dahleez Pay Tehray Hoy hain !

December K mahenay main
Hazaroon Saal Pahlay Jab

Teray Waday K Hathoon Ne
meri Ankhoon Say Behtee Zindagi K Haath Choomay Thay !

meri Bayrang Batoon K Kinaray
Tum Nay Kwabon K
Sahary or Ashkon K Sitaray Rakh Diye Thay !

aur .......
Hawa Ko apni Chahat Ki
Hifazat Kaa Ishara Kar Diya Thaa !

Hawa Ki Khunkiyon main ab Bhi Teri naram batain
aahatoon Kaa Jaal Buntee Hian !

Samaat ....ab Bhee Teray
Qahqahon Kaa Shoor Sunti Hay !

Khayal ab Tak Tumhari Ungliyon Say
meray Dil K Surkh Ansoo Ponchta Hay!

Nigahain Baraf K Phelay
chamaktay Kenwas Par Jaa Bajaa
Teri Rifaqat Ki Zarorat Paint Karti Hay !

Thathartay Paniyon K Tan Pay Bikhri Dhoop
Teray Bagair rooti Hay
Kahan Hota Hay Tou.......
Muhabat Ki Sulagtei rahguzar K Kinaray Pay

December ....
ab Bhe Tera muntazir Hay !!

· 1 Like · Nov 02, 2015 at 04:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Chandni December Ki

Raat Uss Nay Poocha Tha
Tum Ko Kaisi Lagti Hai
Chandni December Ki !
Main Nay Kehna Chaha Tha
Saal-O-Maah K Baray Main
Guftagu K Kiya Maani ?
Chahay Koi Manzer Ho
Dasht Ho , Samander Ho
June Ho , December Ho
Dharkano Ka Her Naghma
Manzaron Pay Bhaari Hai
Saath Jab Tumhara Ho
Dil Ko Ek Sahara Ho
Aisa Lagta Hai Jaisay
Ek Nasha Sa Taari Hai
Lakin Uss Ki Qurbat Main
Kuch Nahi Kaha Main Nay
Takti Reh Gayee Mujh Ko
Chandni December Ki !

· 1 Like · Nov 01, 2015 at 22:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

December Jab Bhi Aata Hai

December Loat Aaya Hai
Aur Sung Apney Dard-O-Gham Samait Laya Hai
Jab Hawa Mein Khunki Barh Jati Hai
Jane Kyun?
Merey Dil Ki Halat Abter Ho Jati Hai
Bay Baat Barasti Hein Aankhain
Aur Dil Mein Khalish Aa Jati Hai
Jab Dard Ki Teesain Uthti Hein
Merey Dil Ko Laho Ker Jati Hein
Jane Kyun?
Tub Bichray Yaad Aane Lagtey Hein
Aur Dard Sataney Lagtey Hein
Jane Kyun Aisa Hota Hai?
Jab Bhi December Aata Hai
Mujh Ko Tanha Ker Jata Hai

· 1 Like · Nov 01, 2015 at 15:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Suno! December

Naee Hikayat Muhabbaton Ki
Shikayatoon Ki
Bhujhe Bhujhe Se Haroof Le Kar
Kohar Mein Doobi Seyyahion Ki
Warq Warq Per Utaarna Hai
Udaas Shamoo Ke Phool Chun Kar

Suno December
Ussay Pukaaro
Ussay Bulaaoo
Suno December ... Ussay Mila Do
Ab Is Se Pehlay Ke Saans Niklay
Ab Is Se Pehlay Ke Saal Guzray
Wohi Lakeerain Wohi Sitaara
Meri Lakeeroon Mein Qaid Kar Do
Ya Aakhri Shab Ke Aakhri Pal
Koi Bara Ikhtitaam Kar Do
Yeh Zindagi Bhi Tamaam Kar Do
Suno December ... Ussay Mila Do...

· 1 Like · Nov 01, 2015 at 08:11
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Sakoot E Sham E Khizan

sakuut-e-shaam-e-Khizaan hai qariib aa jaao
bara udaas samaa hai qariib aa jaao

na tum ko Khud pe bharosaa na ham ko zam-e-vafaa
na aitabaar-e-jahaan hai qariib aa jaao

raah-e-talab mein kisii ko dhyaan nahiin
hujuum-e-ham_safraa hai qariib aa jaao

jo dasht-e-ishq mein bichharay vo umr bhar na mile
yahaan yahaan dhuaan hii dhuaan hai qariib aa jaao

ye aandhiyaan hain to shahar-e-vafaa kii Khair nahiin
zamaanaa Khaak fashaan hai qariib aa jaao

faaqih-e-shahar kii majalis nahiin ke duur raho
ye bazm-e-piir-e-magan hai qariib aa jaao

'Faraz' duur ke suuraj Garuub samajhey gaye
ye daur-e-kam_nazaaraa hai qarib aa jaao

· 1 Like · Oct 31, 2015 at 08:10
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Raat Hui

Raat hui kia jal thul barish
Dho gai sara kajal barish

Mein hoon dharti banjar payasi
Tum ho eik mukammal barish

Aao in aankhoon mein utro
Dekho meray sanwal barish

Sab per tumhara nam likha hay
Khushbu chand hawa jul barish

Do deewanay naach rahay thay
Eik mein aur eik pagal barish

· 1 Like · Oct 26, 2015 at 14:10
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Yeh Baarish

yeh BAARISH khoobsoorat hai
ek arsay baad
meri rooh main
sairaab honay ki tamanna jaag uthi hai
magar baadal kay rustay main
bohat say pair aatay hain
main pal bhar kay liye shadaab hoon
aur apni baki umar
phir sehra main kaatoon?
main apni pyaas par raazi rahoon gi
meray aansoo meray dil ki kafalat kay liye kaafi rahain gay.

· 2 Like · Oct 25, 2015 at 11:10
Category: occassional-events
 
Cute Girl
Posted by iJunoon
Posted on : Apr 19, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS