Occassional / Events
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Yeh Eid
Yeh Eid Tere Shahar Mein Bhi Ayi Ho Gi
Baray Naz Say Tu Nay Manai Ho Gi
Haseen Hath Pe Maehndi Bhi Lagai Ho Gi
Nazuk Labon Ko Gulab Kia Hoga
Narm Si Kalai Chorion Se Sajai Hogi
Sitare Bhi Tanke Hon Ge Tum Ne Mang Mein Apni
Marmry Paon Mein Pazeeb Pehni Hogi
Aankhon Mein Kajal Bhi Lagaya Hoga
Rukhsaron Lali Bhi Bikhri Hogi
Ajab Si Khushi Se Dil Dharka Hoga
Koi Chahne Wala Jab Eid Mila Hoga,
Baray Naz Say Tu Nay Manai Ho Gi
Haseen Hath Pe Maehndi Bhi Lagai Ho Gi
Nazuk Labon Ko Gulab Kia Hoga
Narm Si Kalai Chorion Se Sajai Hogi
Sitare Bhi Tanke Hon Ge Tum Ne Mang Mein Apni
Marmry Paon Mein Pazeeb Pehni Hogi
Aankhon Mein Kajal Bhi Lagaya Hoga
Rukhsaron Lali Bhi Bikhri Hogi
Ajab Si Khushi Se Dil Dharka Hoga
Koi Chahne Wala Jab Eid Mila Hoga,
·
1 Like ·
Jun 27, 2016 at 21:06
Category: occassional-events
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Tum Aao To Hum Bhi Eid Karen
Hasarat Hai Tumhari Deed Karen
Tum Aao To Hum Bhi Eid Karen
Tum Se Ek Guzarish Hai
Yeh Apne Dil Ki Khwaish Hai
Ek Bar Milo Ek Bar Milo
Har Bar Yehi Takeed Karen
Tum Aao To Hum Bhi Eid Karen
Mana K Hum Diwaane Hain
Sab Baton Se Anjane Hain
Jab Apne Hi Begane Hon
Kia Ghero Se Umeed Karen
Tum Aao To Hum Bhi Eid Karen
,
Tum Aao To Hum Bhi Eid Karen
Tum Se Ek Guzarish Hai
Yeh Apne Dil Ki Khwaish Hai
Ek Bar Milo Ek Bar Milo
Har Bar Yehi Takeed Karen
Tum Aao To Hum Bhi Eid Karen
Mana K Hum Diwaane Hain
Sab Baton Se Anjane Hain
Jab Apne Hi Begane Hon
Kia Ghero Se Umeed Karen
Tum Aao To Hum Bhi Eid Karen
,
·
2 Like ·
Jun 27, 2016 at 14:06
Category: occassional-events
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Armaan
Daman Khushyon Se Bhar K
Lakhon Arman Dil Mein Saja K
Ankhon Mein Khushyon Ki Kiran Le K
Dil Ki Dharkan Ko Kabo Kar K
Mein Chali Apne Piya Se Milne
Zindagi Ka Her Raz Ashna Karne
Apne Khawabon Ki Tabir Karne
Her Khushi Uss K Naam Karne
Her Gam Uss Ka Lane
Main Chali Apne Piya Se Milne
Uss Ki Arzoon Ko Pura Karne
Uss Ki Zindagi Mein Rang Bharne
Uss Ki Humsafer Ban K
Lal Jora Pahne
Main Chali Apne Piya Se Milne,
Lakhon Arman Dil Mein Saja K
Ankhon Mein Khushyon Ki Kiran Le K
Dil Ki Dharkan Ko Kabo Kar K
Mein Chali Apne Piya Se Milne
Zindagi Ka Her Raz Ashna Karne
Apne Khawabon Ki Tabir Karne
Her Khushi Uss K Naam Karne
Her Gam Uss Ka Lane
Main Chali Apne Piya Se Milne
Uss Ki Arzoon Ko Pura Karne
Uss Ki Zindagi Mein Rang Bharne
Uss Ki Humsafer Ban K
Lal Jora Pahne
Main Chali Apne Piya Se Milne,
·
1 Like ·
Jun 26, 2016 at 13:06
Category: occassional-events
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Mubarak Ho Eid Aye
Jab Se Daikha Hai Nokhaiz
Pahile Ka Chand
Har Tarf Se Gonjte Sada Aye
Mubarak Ho Eid Aye
Har Ghar Har Gali Har Koche
Mai Aye
Amir Ke Mahal Aye
Garib Ke Ghar Aye
Mubarak Ho Eid Aye
Farishto'n Ke Fojo'n Mai Hal
Chal Mache Hai
Musahafa Ke Liye Muslmano
Zamin Pai Mlayka Aye
Mubarak Ho Eid Aye
Milne Valo Ke Chehre Pai
Khushyu Ke Sogat
Bichde Hue Logo Ke Dhukh
Bhari Yad Laye
Mubarak Ho Eid Aye
Aj Ke Shab Milega Pure
Ramzan Ke Ebadato Ka Sawab
Rahmato Ka Nazrana Laiker
Ye Haseen Rat Aye
Mubarak Ho Eid Aye
Udass Na Ho Momino Jane Se
Ramzan Ke
Bai Panah Masrrato Se Mana
O Ke Eid Aye
Mubark Ho Eid Aye
Khub Karo Iss Shab Ke
Ebdate'n Ke Sila Milega
Jo Mange Hai Dua Vo Sare
Murad Bar Aye
Mubarak Ho Eid Aye
Maa Baap Ke Shafiq Dua'aon Ke Sath
Bhai Bhano Ke Muhabbat Ka
Paigam Laye
Mubarak Ho Eid Aye
Mubarak Ho Eid Aye,
Pahile Ka Chand
Har Tarf Se Gonjte Sada Aye
Mubarak Ho Eid Aye
Har Ghar Har Gali Har Koche
Mai Aye
Amir Ke Mahal Aye
Garib Ke Ghar Aye
Mubarak Ho Eid Aye
Farishto'n Ke Fojo'n Mai Hal
Chal Mache Hai
Musahafa Ke Liye Muslmano
Zamin Pai Mlayka Aye
Mubarak Ho Eid Aye
Milne Valo Ke Chehre Pai
Khushyu Ke Sogat
Bichde Hue Logo Ke Dhukh
Bhari Yad Laye
Mubarak Ho Eid Aye
Aj Ke Shab Milega Pure
Ramzan Ke Ebadato Ka Sawab
Rahmato Ka Nazrana Laiker
Ye Haseen Rat Aye
Mubarak Ho Eid Aye
Udass Na Ho Momino Jane Se
Ramzan Ke
Bai Panah Masrrato Se Mana
O Ke Eid Aye
Mubark Ho Eid Aye
Khub Karo Iss Shab Ke
Ebdate'n Ke Sila Milega
Jo Mange Hai Dua Vo Sare
Murad Bar Aye
Mubarak Ho Eid Aye
Maa Baap Ke Shafiq Dua'aon Ke Sath
Bhai Bhano Ke Muhabbat Ka
Paigam Laye
Mubarak Ho Eid Aye
Mubarak Ho Eid Aye,
·
2 Like ·
Jun 22, 2016 at 19:06
Category: occassional-events
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Usay Jab Yaad Ayega K Saawan Laut Aya Hai
usay jab yaad aaye ga k saawan lot aaya hai
bula le ga woh mujhko ya khud hi lot aayega
usay jab yaad ayega main kaise muskuRata tha
to aankhein muskuRayengi, ya daaman bheeg jayega
usay jab yaad ayega main kaise naam leta tha
to meRa naam likhega, ya apna bhi mitaayega
usay jab yaad aayega mera khaamosh sa rehna
to sab ko bol dega wo ya khud se bhi chupaayega
usay jab yaad aayega meRa nange sar phirna
to bijli ban ke karke gaa, ya baadal baN ke chhaye ga
usay jab yaad aayega mera chalna, mera phirna
to raah meiN khaaR boye ga, ya phir palkein bichayega
bula le ga woh mujhko ya khud hi lot aayega
usay jab yaad ayega main kaise muskuRata tha
to aankhein muskuRayengi, ya daaman bheeg jayega
usay jab yaad ayega main kaise naam leta tha
to meRa naam likhega, ya apna bhi mitaayega
usay jab yaad aayega mera khaamosh sa rehna
to sab ko bol dega wo ya khud se bhi chupaayega
usay jab yaad aayega meRa nange sar phirna
to bijli ban ke karke gaa, ya baadal baN ke chhaye ga
usay jab yaad aayega mera chalna, mera phirna
to raah meiN khaaR boye ga, ya phir palkein bichayega
·
1 Like ·
Apr 27, 2016 at 14:04
Category: occassional-events
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Sawan K Dukh
Sawan rut mein ghatayen jab,
Jhoom ke aati hain !
To jane dil kyun bhar bhar aata hai,
Tab woh har waqt hanse wali larki,
Barish mein bheegte bheegte !!
Apne saare aansu baha deti hai~~
Aur QehQahon Ke saath apna ek ek dukh,
Ura deti hai,
Aur koi nahi jaan paata ke,
Kachi umar ki larkiyan,
Apne dukh chupane mein,
Kitni Pakki Hoti Hain... !
Jhoom ke aati hain !
To jane dil kyun bhar bhar aata hai,
Tab woh har waqt hanse wali larki,
Barish mein bheegte bheegte !!
Apne saare aansu baha deti hai~~
Aur QehQahon Ke saath apna ek ek dukh,
Ura deti hai,
Aur koi nahi jaan paata ke,
Kachi umar ki larkiyan,
Apne dukh chupane mein,
Kitni Pakki Hoti Hain... !
·
1 Like ·
Mar 19, 2016 at 16:03
Category: occassional-events
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Tapish Hai Kaisi December Ki In Hawaaon Mein
tapish hai kaisi December ki in hawaaon mein
sulag raha hai yahan badan bhi to chaaon mein
na aaya laut k aur intizaar chhor gaya
kahan talaash krain uss ko ab khalaaon mein
na daikha uss nay palat kr na meri baat suni
KHUDAYA itna asar bhi nahi sadaaon mein!!!
hansi dikhawa hai, rishta hai aansoon say mera
k mera janam hua hai inhi ghataaon mein
nazar mila k jitayee hui ghazab Ulfat
shumaar hum ko kiya uss nay bewafaaon mein
luta hai koi, kisi ka hua hai qatl yahan?
lahoo barasta hai sawan ki kiyon ghataaon mein?
wafa bhi jurm hai saghar k hai gunah-e-azeem
kari hai iss ki saa dahr ki sazaaon mein
sulag raha hai yahan badan bhi to chaaon mein
na aaya laut k aur intizaar chhor gaya
kahan talaash krain uss ko ab khalaaon mein
na daikha uss nay palat kr na meri baat suni
KHUDAYA itna asar bhi nahi sadaaon mein!!!
hansi dikhawa hai, rishta hai aansoon say mera
k mera janam hua hai inhi ghataaon mein
nazar mila k jitayee hui ghazab Ulfat
shumaar hum ko kiya uss nay bewafaaon mein
luta hai koi, kisi ka hua hai qatl yahan?
lahoo barasta hai sawan ki kiyon ghataaon mein?
wafa bhi jurm hai saghar k hai gunah-e-azeem
kari hai iss ki saa dahr ki sazaaon mein
·
1 Like ·
Mar 10, 2016 at 03:03
Category: occassional-events
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Din Sehra Aur Raat Samundar
Gehri Gehri Raat Samander,
Din Sehra Aur Raat Samundar,
Phir Bhi Main Hun Tishna Tishna,
Warna Uski Zaat Samundar,
Samnay Uski Aankhon K,
Teri Kya Oqaat Samundar,
Phir Bhi Gham Kya? Raah Mein Meri,
Haayel Hain Gar Saat Samundar,
Meri Gaftagu Hai sehra sehra,
Uski Har Ek Baat Samundar,
Boond Boond Ko Tarsay Sehra,
Pee Jaye Barsaat Samundar.......!!!!!
Din Sehra Aur Raat Samundar,
Phir Bhi Main Hun Tishna Tishna,
Warna Uski Zaat Samundar,
Samnay Uski Aankhon K,
Teri Kya Oqaat Samundar,
Phir Bhi Gham Kya? Raah Mein Meri,
Haayel Hain Gar Saat Samundar,
Meri Gaftagu Hai sehra sehra,
Uski Har Ek Baat Samundar,
Boond Boond Ko Tarsay Sehra,
Pee Jaye Barsaat Samundar.......!!!!!
·
1 Like ·
Feb 16, 2016 at 17:02
Category: occassional-events
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Aj Bhi Barish Khoob Hui
Aj Bhi Barish khoob Hui
Aur Baadal Toot k Barsa tha
Galiyan koochy jal thal thay
Per soach ka sehra piyasa tha
Band
Darwazon k sheeshoon per
Jb boondain dastak deti thien
Ehsaas hua ....
Tum aaye ho
Andaaz tmharay jaisa tha!!!
Aur Baadal Toot k Barsa tha
Galiyan koochy jal thal thay
Per soach ka sehra piyasa tha
Band
Darwazon k sheeshoon per
Jb boondain dastak deti thien
Ehsaas hua ....
Tum aaye ho
Andaaz tmharay jaisa tha!!!
·
2 Like ·
Feb 06, 2016 at 20:02
Category: occassional-events
Sponored Video