Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Meray Wahm-O-Guman Say Bhi Ziadah Roth Jata Hai
Ye Dil Apni Hadoon Main Reh Kar Itna Toot Jata Hai
Main Roun To Dar-O-Dewaar Mujh Pe Hansnay Lagtay Hain
Hanson To Meray Andar Janay Kya Kya Toot Jata Hai
Main Jis Lamhay Ki Khawhish Main Safar Karta Hon Sadiyon Ka
Kahin Paon Talay Aa Kar Wo Lamha Toot Jata Hai
Meray Khawabon Ki Basti Say Janazay Uthtay Jatay Hain
Meri Aankhain Jisay Chhu Lain Wo Sapna Toot Jata Hai….

Advertisement
·
1 Like ·
Mar 16, 2016 at 13:03
Category: love
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on

- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video