Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Oh! Hawa Tu Hy Khubsurat Hawa
Dekhna Chahta Hun Me Tujhay Hawa

Kahan Se Aana Aur Kahan Per Jaana Taira
Lata Hy Ooska Khayal Her Jhonka Taira

Haar Jata Hun Me, Oosay Na Paakar
Mairay Khawabon Ka Pegham La Jaakar

Mahsoos Karta Hun Tujhay Per Choo Nahi Sakta
Sunta Hun Tujhay Per Baat Nahi Kar Sakta

Mairay Paas Se Jab Guzarti Ho Lagkar
Oosnay Piyar Se Jaisay Chuva Ho Lagkar

Taira Chalna Jaisay Loryion Ki Saada Ho
Lagay Jaisay Maan Ke Hathon Ki Thapki Ho

Aagaz Na Jiska Na Anjam Jiska Yeh Tairi Kahani Hy
Anokhay Andaaz Me Barson Se Tairi Ravani Hy

Taira Koi Jisam Nahin Bas Kaam Hy Chalna
Vadyon, Jungalon, Pahoron Per Siraf Chalna

Samandar Ke Bahtay Pani Per Tiara Her Jhonka
Mojon Ki Ravani Ke Saath Sirf Chalna

Sirsabz Patton Per, Khaiton Ki Haryali Per
Bhulay Huvay Raston Per Halkay Halkay Chalna

Voh Bhi To Eik Hawa Hy Jo Haath Me Na Aaye
Jaisay Badal Ho Hawa Me Oodati Jayae

Phir Bhi Eik Khawahish Liyae Parakhna Chaha
Oos Badali Ko Deel Ne Choona Chaha

Tu Har Rut Me Her Rung Va Roop Me Aayegi
Per Zindagi Ko Jana Hy Aur Eik Din Jayegi

Advertisement
· 1 Like · Mar 16, 2016 at 07:03
Category: love
 

Latest Posts in poetry

True Story
Posted by mahrukh nida
Posted on : Oct 04, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS