Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Doob Rahi Hain Saansein Magar Ye Gumaan Baaqi Hai
Aaney Ka Kisi Shakhs Ke Abhi Imkaan Baaqi Hai

Mudat Hui Ek Shakhs Ko Bichrey Lekin
Aaj Tak Maire Dil Pe Ek Nishaan Baaqi Hai

Woh Sayibaan Chin Gaya To Koi Gham Nahin
Abhi To Maire Sar Pe Ye Aasmaan Baaqi Hai

Kashti Zara Kinarey Ke Kareeb Hi Rakhna
Biphri Hui Lehron Mein Abhi Toofaan Baaqi Hai

Ghamon Say Keh Do Ke Abhi Na Rakht-e-Safar Baandhein
Ke Abhi To Maire Jism Mein Kuch Aur Jaan Baaqi Hai

Jaa Chuke Hain Sab Log Khamosh Pari Hai Basti
Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-e-Makaan Baaqi Hai.

Advertisement
· 1 Like · Mar 17, 2016 at 20:03
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Rishton ki Door
Posted by saiqa bukhari
Posted on : Jun 03, 2021

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS