Poetry / Love

Ijunoon

bhir mein ik ajanabii kaa samnaa acha lagaa
sab se chhup kar vo kisii kaa dekhanaa achchhaa lagaa

surmaii aaNkhon ke niiche phuul se khilne lage
kehtey kehtey kuch kisii kaa sochanaa acha lagaa

baat to kuch bhii nahi thi lekin us kaa ek dam
haath ko honTon pe rakh kar rokanaa acha lagaa

chaay mein chiinii milaanaa us ka bhaayaa bahut
zer-e lab vo muskuraataa shukriyaa acha lagaa

dil mein kitane ehad baaNdhe thay bhulaane ke use
vo milaa to sab iraade tornaa acha lagaa

beiraadaa lams kii vo sansanii pyaarii lagii
kam tavajjo aaNkh kaa vo dekhanaa acha lagaa

us jaan e-mann ko 'Amjad' main buraa kaise kahuN
jab bhii aayaa saamane vo bevafaa acha lagaa

Advertisement
· 2 Like · Nov 27, 2018 at 23:11
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS