Poetry / Love

Ijunoon

aisii hii sard shaam thii vo bhii
jab vo mahandii rachaaye haathon mein
apanii aahaT ke Khauf se larzaaN
surKh aaNchal mein muuNh chhipaaye hue
apne Khat mujh se lene aaii thii
us kii sehmii huii nigaahon mein
kitanii Khaamosh iltijaayeN thiin
us ke chehare kii zard rangat mein
kitanii majabuuriyon ke saaye thay
mere haathon se Khat pakartay hii
jaane kyaa soch kar achaanak vo
meraa shana pakar kar roii thii
us ke yaaquut rang honTon ke
kapkapaate hue kinaaron par
saikaron ankahe fasaane thay
sard shaamon mein der tak aksar
jab ye manzar dikhaaii detaa hai
ek lamhaa hinaaii haathon se
mujh ko apanii taraf bulaataa hai
hamnashiin ruuTh kar naa jaa mujh se
aisii hii sard shaam thii vo bhii

Advertisement
· 2 Like · Nov 27, 2018 at 15:11
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS