Poetry / Love

Muzammil Shahzad

apni rusvai tere naam ka charcha dekhuN
ek zara sher kahuN aur main kya kya dekhuN

nind aa jaye to kya mehafelain barpa dekhuN
aaNkh khul jaye to tanhai ka sahara dekhuN

shaam bhi ho gai dhundhla gai aNkhen bhi meri
bhulane vale main kab tak tera rasta dekhuN

sab ziden us ki main puri karuN har baat sunuN
ek bache ki tarah se usay haNsta dekhuN

mujh pe cha jaye vo barasaat ki Khushbu kii tarah
ang ang apna usi rut men mahakta dekhuN

tu meri tarah se yakta hai magar mere habib
ji men ata hai koi aur bhi tujh sa dekhuN

main ne jis lamhe ko puja hai usay bas ek baar
Khvab ban kar teri aaNkhon men utarta dekhuN

tu mera kuch nahin lagta hai magar jaan-e-hayaat
jaane kyon tere liye dil ko dhaDakataa dekhuN

Advertisement
· 1 Like · Nov 19, 2016 at 15:11
Category: love
 

Latest Posts in poetry

How Do Indian Men Approach Women
Posted by Funny Videos
Posted on : Mar 05, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS