Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mohabbat Karne Wale

Suno!
Mohabat Karnay
Waly Chehra
Nahe Dekha Karty
Balkay.....
Dilon Mein Utra Karty
Hein......
Aur Mein Nay B....
Tumharay Dil Mein
Uter Kar Tumhe
Chaha Tha!

· 1 Like · Dec 17, 2015 at 08:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Tumhari Mohabbat K Mamle Mai

Me Laakho’n Aadmiyon Se Zyaada
Nidar, Dileer or Ba-Himmat Hoo’n
Is K Ba-wajood
TUMHARI Mohabbat K Maamle Mai
Mera Dil…….!
Ik Sehme Howe Kamzor Or
Ghamzad Bache Ki Maanind Hai

· 1 Like · Dec 16, 2015 at 20:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Admi To Be'mesaal Thay Hum Bhi

Kisi Ka Ishq Kisi Kaa Khayal Thay Hum Bhi
Gaye Dinon Mein Boht Ba'kamal Thay Hum Bhi

Hamari Khoj Mein Rehti Thein Titlian Aksar
K Apny Sheher Ka Husn-O-Jamal Thay Hum Bhi

Zameen Ki Goad Mein Sir Rakh K So Gaye Akhir
Tumhary Hijr Mein Kitny Nidhal Thay Hum Bhi

Hum Aks Aks Bikharty Rahy Issi Dhun Mein
K Zindagi Mein Kabhi Laazwal Thay Hum Bhi

Kisi Ki Yaad Ne Hum Ko Nikama Kar Diya "GHALIB"
Warna Admi To Be'mesaal Thay Hum Bhi

· 1 Like · Dec 16, 2015 at 02:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

گُلاب پھر سے مہک اُٹھیں گے


گُلاب پھر سے مہک اُٹھیں گے، یقیں رکھو
یقیں رکھو کے جو ہوا وہ خُدا کی جانب سے امتحاں تھا

اور حشر کی کچھ نشانیوں میں سے اِک نشاں تھا

کچھ اپنی اس میں جفائیں بھی ہیں، خطائیں بھی ہیں
*ضرور شامل

ہمارے اپنے کہیے کی اس میں سزائیں بھی ہیں ضرور شامل

کہ ہم نے قدرت سے جنگ کرنے کو اپنا حق میں سمجھ لیا تھا

ہمیں جو کرنا تھا کب کیا وہ،
نہیں جو کرنا تھا وہ کیا تھا

مگر ابھی بھی سنبھل گئے تو، کوئی بھی مشکل نہیں رہے گی

ہمارے رستے میں گُل کھلیں گے
کہیں بھی دلدل نہیں رہے گی

ہمارے جسموں کے گھاؤ ہم نے ہمیں آپ بھرنے ہیں یاد رکھو
ہمارے روحوں پہ جو خراشیں سی آگئی ہیں
انہیں مٹانا ہے اب ضروری

ہمیں سنبھلنا ہے اور ہم نے گِرے ہوؤں کو سنبھالنا ہے
غموں سے ان کو نکالنا ہے

یہ زندگی تو ازل سے تجدید مانگتی ہے
یہ دے کے نرگس کا خال کاسہ، عوض میں* خورشید مانگتی ہے

ہمیں سجانا ہے اپنے گھر کو نئے سرے سے
ہمیں بنانا ہے اپنے گھر کو نئے سرے سے
ہمیں بچانا ہے اپنے گھر کو نئے سرے سے

یقیں رکھو کہ جو ہوا وہ خُدا کی جانب سے امتحاں تھا
کچھ اس میں اپنی جفائیں بھی ہیں، خطائیں بھی ہیں ضرور شامل

مگر یہ سچ ہے
یقیں خدایا اگر ہے باقی
اور اپنا مضبوط ہے ارادہ

نہیں ہے پت جھڑ کے دن زیادہ
گُلاب پھر سے مہک اُٹھیں گے، یقین رکھو

· 2 Like · Dec 14, 2015 at 06:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Nazm Uljhi Hui Hai

Nazm Ulajhi Huwee Hai Seenay Main
Misray Atkay Huway Hain Hothon Par

Urtay-Phirtay Hain Titaliyun Ki Tarah
Lafz Kaagaz Pe Baithtay Hi Nahi

Kab Se Baithaa Hoon Main Jaanam
Saaday Kaagaz Pe Likh K Naam Teraa

Bas Teraa Naam Hi Mukammal Hai
Iss Se Behtar Bhi Nazm Kya Hogi

· 1 Like · Dec 13, 2015 at 04:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mohabbat Phir Mohabbat Hai

Mohabbat Phir Mohabbat Hai
Kabhee Dil Se Nahi Jati...

Hazaron Rang Hain Is Kay..
Ajab He Dhang Hain Is Kay..

Kabhee Sehra , Kabhee Darya..
Kabhee Jugno , Kabhee Aansu..

Hazaroon Roop Rakhti Hai...
Badan Jhulsa Kay Jo Rakh Day..

Kabhee Wo Dhoop Rakhti Hai...
Kabhee Ban Kar Ye Ek Jugno...

Shab E Ghum Kay Andhairoon Main...
Diloon Ko Aas Daiti Hai...

Kabhee Manzil Kinaray Par...
Pyaasa Maar Daiti Hai..

Aziyyat He Aziyyat Hai...
Magar Yeh Bhee Haqiqat Hai...
Mohabbat Phir Mohabbat Hai...

· 1 Like · Dec 12, 2015 at 07:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Meri Pagal Mohabbat

Jab Chaand Sitarey Chamak Rahey Hoon
Jab Yaadon Ke Phool Mahek Rahey Hoon
Jab Deedar Ko Nain Taras Rahey Hoon
Jab Aankhon Say Aansou Baras Rahey Hoon

Meri Pagal Mohabbat Tumhein YAAD Aayegi

Jab Tanhai Se Dil Ghabraye Ga
Jab Tumhein Akela-Pan Satayega
Jab Koi Khuwab Hi Nahin Aayega
Jab Phool Kitaab Mein Hi Reh Jayega

Meri Pagal Mohabbat Tumhein YAAD Aayegi.

· 1 Like · Dec 12, 2015 at 01:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Meri Pagal Mohabbat

Jab Chaand Sitarey Chamak Rahey Hoon
Jab Yaadon Ke Phool Mahek Rahey Hoon
Jab Deedar Ko Nain Taras Rahey Hoon
Jab Aankhon Say Aansou Baras Rahey Hoon

Meri Pagal Mohabbat Tumhein YAAD Aayegi

Jab Tanhai Se Dil Ghabraye Ga
Jab Tumhein Akela-Pan Satayega
Jab Koi Khuwab Hi Nahin Aayega
Jab Phool Kitaab Mein Hi Reh Jayega

Meri Pagal Mohabbat Tumhein YAAD Aayegi.

· 1 Like · Dec 11, 2015 at 18:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Hum Kadam

Tu Hum Kadam Ho To
Zameen Asman Aik Ho Jain...
Asman Say Taray
Tot Ker Bikher Jain.....

Jo Tu Kahay To
Suj Sanwer Jain...
Teri Sanson Main
Khushboo Ki Terha Bus Jain...

Jo Tu Kahay To
Teray Dil Ki Dherkan Bun Jain...
Teri Ankhon Main
Khawab Ki Trah Tehher Jain...
Wafa Bun K Teri Rooh Main Uter Jain

· 2 Like · Dec 08, 2015 at 02:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

کونسا لمحہ

ابھی کچھ پل ہمارے ہاتھ میں ہیں
کون جانے
کونسا لمحہ ہمارے ہاتھ سے پھلے،گرے
اور پاؤں کی زنجیر ہو جائے
ابھی یہ دن جو لگتا ہے کہ ہم اک دوسرے کے ساتھ
رہ سکتے ہیں پل دو پل
نجانے کب کہاں دیوار بن جائیں
ابھی دو چار سانسیں بچ رہی ہیں
یہ تو جھونکا ہیں
کسے معلوم کس آہستگی سے یوں گزر جائے
کہ ہم دریاؤں کے دو مختلف نا آشنا گونگے کناروں پر کھڑے
اک دوسرے کی شکل تکنے کو ترس جائیں
مری آواز تیری یاد میں زندہ ہو بس
اور میں تری تصویر آنکھوں میں لئے رونا چھپاؤں
شہر والوں سے
ابھی کچھ پل ہمارے ہاتھ میں ہیں
ہم جو چاہیں گے تو کچھ کم کم بھی مل لیں گے
مگر جانے کہاں ?????؟
کب ?????؟
کونسا لمحہ ??????؟

· 1 Like · Dec 07, 2015 at 08:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Tu Mera Naam Na Poocha Kar

Main Teri Zaat Ka Hissa Hoon
Main Teri Soch Main Shamil Hoon
Main Teri Neend Ka Qissa Hoon
Main Tery Khawab Ka Haasil Hoon
Main Teri Yaad Ka Mehver Hoon
Main Teri Saans Ka Jhonka Hoon
Tu Manzar,Main Pas-Manzar Hoon
Main Lamha Hoon,Main Jazba Hoon
Jazby Ka Koi Naam Nahi..
Tu Mera Naam Na Poocha Ker!!!!

· 1 Like · Dec 07, 2015 at 02:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Wo Tera Rothna

Wo Tera Rothna Mujh Say

Mera Tujh Ko Manaa Laina

Mohabat Ki Nishani Hai

Galay Mujh Ko Laga Laina

Mohabat Jis Say Hoti Hai

Us Par Maan Hota Hai

Kahin Main Roth Jaon Tou

Mujhay Tum Bhi Mana Laina

Ana Say Dore Hi Rahna

Kay Ye Sab Kuch Mita Day Gi

Ana Kay Khol Say Khud Ko

Har Surat Bacha Laina

Mohabat Kay Samandar Main

Kabhi Tufan Bhi Uthtay Hain

Is Tofan Main Jana Mujhay

Kashti Bana Laina

Agar Dubain Gay Hum Donon

Tou Aik Sath Dubain Gai

Mera Tum Say Yen Waada Hai

Magar Tum Bhi Nibha Laina….

· 2 Like · Dec 06, 2015 at 14:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mujhe Maloom Hai

Mujhy Maloom Hai Tum Bhi
Meray Bin Rah Nahi Saktay
Main Yeh Bhi Jaanta Hoon
Tum Ko Haar Achi Nahi Lagti
Magar Jaana
Muhabbat Main Anna To Haar Jati Hai.....!

· 3 Like · Dec 06, 2015 at 02:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Khuda Ik Pal Usay Mera Bana De

KHUDA Ik Pal Usay Mera Bana De
Itna Chahta Hun Usay Koi usko bata De...

Bohat NaAz Hai Mujhe Apni Mohabbat Per
Ho Jay Wo Mera Aiasa Koi Mojza Dikha De...

Agar Wo Mera Naseeb Ban NAhi Sakta
Uske Kadmon Ki Khak Mujhe Bana De..

Her Pal Dekhon Sapnay Usi Ke
Na Jagon Mujhe Aisi Neend Sula De...

Youn Ghut Ghut Ker NAhi Jina Chahta
Ya Wo Mujhe Mil Jaye Ya Mujhe Mita De

· 1 Like · Dec 05, 2015 at 11:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Ye Meri Ghazlen Ye Meri Nazmen

Ye Meri Ghazlen Ye Meri Nazmen
Tamam Teri Hikayaten Hain
Ye Tazkare Tere Lutf Ke Hain
Ye Shair Teri Shikayaten Hain
Main Teri Nazar Kar Raha Hun
Ye Un Zamanon Ki Sa’aten Hain
Jo Zindagi Ke Naiy Safar Main
Tujhe Kissi Waqt Yaad Aain
To Aik Ik Harf Ji Uthay Ga
Pehn Ke Anfas Ki Qabain
Udas Tanhaoyon Ke Lamhon
Main Naach Uthen Gi Ye Apsaraain
Mujhe Tere Dard Ke Ilawa Bhi
Aur Dukh The Ye Manta Hun
Hazar Gham The Jo Zindagi Ki
Talash Main The Ye Janta Hun
Mujhe Khabar Thi Keh Tere Aanchal Main
Dard Ki Rait Chanta Hun
Magar Har Ik Baar Tujh Ko Chu Kar
Ye Rait Rang-E-Hina Bani Hai
Ye Zakham Gulzar Ban Gaye Hain
Ye Aah-E-Sozan Ghata Bani Hai
Ye Dard Moj-E-Saba Huwa Hai
Ye Aag Dil Ki Sada Bani Hai
Aur Ab Ye Sari Mata-E-Hasti
Ye Phool Ye Zakhm Sab Tere Hain
Ye Dukh Ke Nohay,Ye Sunk Ke Naghme
Jo Kal Mere The Wo Ab Tere Hain
Jo Teri Qurbat Teri Judai
Main Kat Gaye Roz-O-Shab Tere Hain
Wo Tera Sha’air Tera Mughanni
Wo Jis Ki Baten Ajeeb Si Theen
Wo Jis Ke Andas Khusarwana The
Aur Adaain Gharib Si Theen
Wo Jis Ki Jeene Ki Khahishen Bhi
Khud Us Ke Naseeb Si Theen
Na Pooch Us Ka Keh Wo Dewana
Both Dinon Ka Ujar Chuka Hai
Wo Kohkan To Nahin Tha Lekin
Kari Chatanon Se Larh Chuka Hai
Wo Thak Chukka Tha Aur Us Ka Tesha
Ussi Ke Seenay Main Garh Chuka Hai

· 1 Like · Dec 04, 2015 at 16:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Waqt Mila Tu Sochenge

Kiyun Tum Achey Lagtey Ho
Waqt Mila Tou Sochain Gey
Tujh Men Kia Kya Dekha Hai
Waqt Mila Tou Sochain Gey
Sara Sheher Shanasai Ka Daweydaar Tou Hai Lekin...
Kon Hamara Apna Hai
Waqt Mila Tou Sochain Gey
Mousam
Khushbu
Baad E Saba
Chand
Shafaq Or Taaron Men
Kon Tumharey Jesa Hai
Waqt Mila Tou Sochain Gey
Men Ne Tum Ko Likha Tha
Kuch Milney Ki Tadbeer Karo
Tum Ne Likh Kar Bheja Hai
Waqt Mila Tou Souchain Gey....

· 2 Like · Dec 03, 2015 at 22:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Waqt


Kabhi Waqt Milay Tu A Jao
Ham Jheel Kinaray Ja Baithein
Tum Apnay Sukh Ki Baat Karo .
Ham Apnay Dukh Ki Baat Karein
Aur Un Lamhon Ki Baat Karein
Ju Sang Tumhary Beet Gaey
Aur Ehd E Khizan Ki Nazar Huway
Ham Shehr E Khuwab K Basi
Tum Chand Sitaron Ki Malka
Kabi Waqt Milay Tu A Jao
Ham Jheel Kinaray Ja Beithein
In Sabz Ruton K Daman Mein
Ham P Yar Ki Khusbo Mehka'en
In Bikhray Sabz Nazaron Ko
Ham Ankhon Mein Tasveer Karein
Pathar Pei Girtay Pani Ko
Ham Khuwabon Sai Tabeer Karein
Iss Waqt K Dobtay Soraj Ko
Ham Chahat Ki Jageer Karein
Pher Apnay Pyar K Jado Sai
Ham Lamhon Ko Zanjeer Karein
Kabhi Waqt Miley Tu A Jao !!!

· 1 Like · Dec 03, 2015 at 16:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mohabbat Aisa Rasta Hai

Mohabbat Taaq E Dil Per
Jalne Waala
Wo Charaagh E Aakhir E Shub Hai
Ke Is Ki Lo'
Agar Madhum Bhi Pad Jaaye
To Andar Ka Ujaala
Kum Nahi Hota
Mohabbat Karne Waalon Ko Khabar Hai
Mohabbat, Waswason Aur Waahamon Ke Darmayaan
Kuch Din Yoonhi Be'khwaab O Be'khwaahish
Aseeri Kaat Sakti Hai
Hameisha Ke Liye Laikin
Ye Mehwar Se Nahi Hatti
Mohabbat Aisa Rasta Hai
Ke Jis Pe
Waapsi Mumkin Nahi Hoti

· 1 Like · Dec 02, 2015 at 21:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Aao Chalo Maire Sath Tum

Aao Chale’n
Tanhaio’n K Safar Py
Hum
Jahan Manzile’n Hyn
Na Rasty
Duria’n Hyn Na Faasly
Jahan Koi B Be-Wafa Nhi
Jahan Dard-O-Gham
Jata Nhi
Jahan Pyar Hy Na
Qasam Koi
Iqrar Hy Na Bharam Koi
Jahan DIL Koi Jalta Nhi
Be-Maut Koi Marta Nahi
Aao Chalo Mere Saath Tum
Mere Humsafar
Mere Khwab Tum
Aao Chalo Mere Saath Tum

· 1 Like · Dec 02, 2015 at 15:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Hichki

Suna Hai

Jab Hichki Aati Hai

To Koi Yaad Karta Hai

Agar Is Baat Main

Thori Si Bhi Haqeeqat Hai

To Na Mumkin Hai

K Tumhari Hichki

Ek Pal Bhi Rukti Ho

· 1 Like · Dec 02, 2015 at 09:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Sahara Mil Gaya

Usko
Bade Khuloos Se
Samjhaya Tha
Yeh Muhabbat, Yeh Chahat
Yeh Rooh ,Yeh Jism
Yeh Jan
Sab Kisi Ke Amanat Hain
Mere Pass
Dene Ko Kuch Bhi Nahin Hai
Usne Khamooshi Se
Mere Bahte Huye Ashkoon Ko
Apni Hatheli Per Saja Liya
Aur Yeh
Kahte Huye Chal Di
Mujhe Mere Jeene Ka
Sahara Mil Gaya!!!

· 1 Like · Dec 02, 2015 at 03:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Wo Mujhe Pyar Karta Tha

Meri Ankhon Pe Marta Tha,
Meri Baton Pe Hansta Tha,
Na Jane Shakhs Tha Kaisa,
Mujhe Khone Se Darta Tha,
Mujhe Jab Bhi Wo Milta Tha,
Ye Hi Har Baar Kehta Tha,
SUNO!
Agar Main Bhool Jaun To?
Agar Main Rooth Jaun To?
Kabhi Wapis Na Aaun To?
Bhula Pao Ge Ye Sab Kuch?
Yunhi Hansti Rahogi Kia?
Yunhi Sajti Rahogi Kia?
Yehi Batain Hain Bas Us Ki,
Yehi Yadain Hain Bas Us Ki,
Mujhe Itni Khabar Hai Bas,
Wo Mujhe Pyar Karta Tha,
Mujhe Khone Se Darta Tha.

· 2 Like · Dec 01, 2015 at 21:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Masoom Si Larki

Meri Aankhon Ke SaMundar Mein Jalan Kaisi Hai
Aaj Phir Dilko Tadapne Ki Lagan Kaisi Hai

Ab Kisi Chhat Pe Charagon Ki Qatarein Bhi Nahi,
Ab Tere Sheher Ki Galiyon Mein Ghutan Kaisi Hai

Barf Ke Roop Mein Dhal Jayenge Saare Rishte,
Mujhse Puchho Ke Mohabbat Ki Agan Kaisi Hai

Main Tere Visl Ki Khwahish Ko Na Marne Dunga,
MausaM-E-Hijr Ki Lehje Mein Thakan Kaisi Hai

Rehguzaron Mein Jo Banti Rahi Kaanton Ki Rida,
Uski Majboor Si Aankhon Mein Kiran Kaisi Hai,

Mujhe MasooM Si Ladki Pe Taras Aata Hai,
Ise Dekho To Mohabbat Mein Magan Kaisi Hai

· 1 Like · Dec 01, 2015 at 09:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Aa Bhi Jao

Aa Bhi Jao Ke MausaM Badalne Lage,
Aa Bhi Jao Ke Ye Dil Dhadakne Lage,

Aa Bhi Jao Ke Ab Chandni Dhalne Lagi,
Aa Bhi Jao Ke ShabnaM Bahekne Lagi,

Aa Bhi Jao Ke Shab-E-Firak Ab Hui TaMaaM,
Aa Bhi Jao Ke Dil Hua TuMhare NaaM

Aa Bhi Jao Ke Titliyan Raqs Karne Lagi,
Aa Bhi Jao Ke Saansein Machalne Lagi,

Aa Bhi Jao Ke TuM Yaad Aane Lage,
Aa Bhi Jao Ke Jazbat Phir Jazbaat Hai,

Aa Bhi Jao Ke Hathon Ko Hai ThaMna,
Aa Bhi Jao Ke Mera Ye Ehsaas Hai...

· 1 Like · Dec 01, 2015 at 02:12
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Inn Khawabon Ko Roshan Kar Dou

inn khawabon ko roshan kar dou
chheen lo mujh say meri sochen
mairay zehan ko banjar kar dou
meri ankhien pathar kar dou
gir chaho tou
mujh ko tum deewana kardo
mairay jisam kay sahraoon mein
phool khilao moti bhar dou
mairay andhay jevan ko tum
apnay pyar say roshan kar dou
ik lamhay ko tum bhi socho
mairay khowaab hain jo
inn khawabon ko roshan kar dou

· 1 Like · Nov 30, 2015 at 14:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Jo Hum Mehsoos Kartay Hain

jo hum mehsoos kartay hain
agar tum tak pahonch jaye
tou bas itna samajh lena
yeh in jazbun ki khushbu hai
jinhein hum keh nahi saktay
magar tum jo ijazat dou
tou chand alfaaz mein keh daloon
keh tum bin ji nahi saktay
keh tum bin mar nahi saktay

· 1 Like · Nov 30, 2015 at 02:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Samajh Lena Muhabbat Hai

agar sansen mehak jayen
agar ankhien chhalak jayen
agar khawabon ki khwahish ho
agar phoolon ki barish ho
agar hanstay huay ronay ko ji chahay akailey mein
agar koi daikh ko kahin kho jaye melay mein
poochnay jao ke akhar kya haqeeqat hai
aur iss ka yeh jawaab aaye
mujahe tum say nafrat hai
samajh lena muhabbat hai
samajh lena muhabbat hai

· 1 Like · Nov 29, 2015 at 20:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Teri Yaad Rehti Hai

Zehan Ke Khialoon Main
Rooh Ke Ujaloon Main

Zindgi Ki Jheeloon Main
Zaat Ki Fasiloon Main

Ratjagoon Ke Daman Main
Khawahishoon Ke Aangan Main

Dil Ke Khushk Sehra Main
Chashm-E-Tar Ke Darya Main

Dard Ke Jahan Main Bhi
Ashk-E-Be-Zaban Main Bhi

Aur Kuch Nahi Rehta
Teri Yaad Rehti Hai

· 1 Like · Nov 29, 2015 at 13:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mere Sath Tum Bhi Dua Karo

Mere Sath Tum Bhi Dua Karo,Yuoon Kisi Ke Haq Me Bura Na Ho
Kaheen Aur Ho Na Ye Hadsa,Koi Raste Me Juda Na Ho

Meri Chahat Se Raat Ki Seij Tak Koi Aansoun Ki Lakir Hai
Zara Barh Ke Chand Se Pochna Wo Issi Taraf Se Gea Na Ho

Issi Ehtiat Me Woh Raha,Issi Ehtiat Main Me Raha
Woh Kahaan Kahaan Mere Sath Hai Kisi Aur Ko Ye Pata Na Ho

· 1 Like · Nov 29, 2015 at 07:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Aankhain

Woh Husn-E-Mujassam Kamal Uski Aankhein,
Saraapa Muhabbat Jamaal Uski Aankhein,

Jhukein To Lagti Hain Zaywar Haya Ka,
Uthein To Karein Phir Sawaal Uski Aankhein,

Milein To Mein Dono Jahaan Day Ke Le Loo.N,
Woh Chehra Woh Zulfein Woh Gaal Uski Aankhein,

Agar Koi Poochay Ke Duniya Mein Kya Hai,
Deewaana Kahey Ga Misaal Us Ki Aankhein,

Un Aankhon Ke Kaajal Mein Dooba Hoon Shayad,
Ajjab Phir Chali Hain Yeh Chaal Uski Aankhein.

· 1 Like · Nov 29, 2015 at 01:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Suno Pagal Si Aye Lerki

Suno Pagal Si Aye Lerki
Kahi Aur Un Kahi K Darmiyan
Soli Pe Latki Ho
Tumhein Maloom Hay Tum Jaan Ker
Manzil Se Bhatki Ho?
Yeh Maana Tum Buhhat Khuddar Ho
Per Yeh Haqeeqat Hay
Anaa Ik Had Tak Achi Hay
Magar Uss Had Se Agay
Yeh Mehaz Ik Khud Faraibi Hay
Aziyat Seh Rahi Ho Aur Chup Ho
Kiya Qayamat Hay
Tum Akhir Kioun Nahin Kehti
Tumhein Muhabat Hay!!!

· 1 Like · Nov 28, 2015 at 12:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mohabbat Jin Se Hoti Hai

Muhabbat Jin Se Hoti Hai
Unhain Khone Ka Der Her Waqt DAMAN GEER Rahta Hai
Yaqeen Ki Akhri Manzil Pe Aa Kar Bhi
Koi Khadsha, Koi Shak, Koi Andesha
Buhat Bechain Rakhta Hai
Muhabbat Jin Se Hoti Hai
Unhain Khone Ka Dar Har Waqt DAMAN GEER Rahta Hai
Kahin Yeh Visaal Ke Lamhe
Badal Jayain Na Furqat Main
Kahin Ye Qurb Ki Gheriyan
Judai Main Na Dhal Jayain
Kahin Aisa Na Ho K Koi Usko Badgumaa Kar De
Kahin Aisa Na Ho K
Jis Ko Hum Ne Hasil-E-Umr-E-Rawan Samjha
Jhatak Kar Hath Wo Bedard Sab Kuch Raigaan Kar De
Kahin Aisa Na Ho K
Wo Meharbaan Ankhain Badal Jayen
Kahin Aisa Na Ho K
Ye Garamjoshi Sard Par Jaye
Tapaak-E-Jaa’n Se Milne Ki Rawish
Yakh Basta Ho Jaye
Ada’e Dilbarana Berukhi Ka Roop Dhare
Aur Dil Ka Dard Ban Jaye
Muhabbat Jin Se Hoti Hai
Unhain Khone Ka Dar Har Waqt DAMAN GEER Rahta Hai
Kabhi Mahfil Mai Sab Ke Samne Wo Ahtiyatan Bhi
Agar Nazrain Churaye Tou Dil Pe Thees Lagti Hai
Ansoo’n Ka Mena Barasta Hai
Kabhi Masrofiat Mai, Mahwiyat Main
Phone Ki Ghanti Ka Wo Notice Na Le
Aur Rabte Ka Silsila Moqoof Ho Jaye
Dharak Uthta Hai Dil
Kya Janiye Kya Ho Gaya Us Ko
Tawajja Main Kami Kyun Agai…?
Kyun Us Ki Janib Ik Sannata Sa Chaaya Hai….?
Jo Apna Is Qadar Apna Tha
Akhir Kyun Paraya Hai..?
Muhabbat Jin Se Hoti Hai
Unhain Khone Ka Dar Har Waqt DAMAN GEER Rahta Hai

· 1 Like · Nov 28, 2015 at 00:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Chalo Kahin Door Chalte Hain

Chalo Khain Door Chalty Hain...
Jaha Sirf Hum Aur Tum Hon..
Jaha Koi Ghum Na Huwa Kary..
Sapno Ka Jaha Basa Kary
Chalo Aisi Jagah Chalty Hain..
Jaha Per Pyar Rehta Ho
Jaha Ehsaas Zinda Ho..
Jaha Tery Mery Jazbat Huwa Karien
Chalo Na Kissi Aisi Jagah Chalty Hain..
Jaha Hum Tum Main Gum Ho Kar
Sara Jaha Bhula Dein..
Khushiyaan Hi Khushiyaan Huwa Karien
Chalo Aisi Jagah Chalty Hain

· 1 Like · Nov 25, 2015 at 02:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Main Tum Ko Chahta Hun

Main Tum Ko Chahta Hoon
Junoon Ki Dehshat Main
Jaan Se Ghuzar Jane Ki Had Tak

Main Tum Ko Janta Hoon
Rooh K Bay Unt Saagar Main
Utar Jane Ki Had Tak

Main Tum Ko Poojta Hoon
Mohabbat Ki Haseen Devii Se
Sir Takra K Mar Jane Ki Had Tak

Main Tum Ko Souchta Hoon
Kabhi Duniya Kabhi Khud Se
Magar Jane Ki Had Tak

Main Tum Ko Dekhta Hoon
Faseel Dard Par Rakhay
Mehaktey Khuab Ki Khushboo
Bikhar Jane Ki Had Tak

Yakin Janoo K Main Ye Jurm
Ek Pal Main Hazaroon Baar Karta Hoon
Tumhain Maloom Hota Kaash
K
Main Tum Se Kitna Pyaar Karta Hoon

· 1 Like · Nov 24, 2015 at 20:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Ijazat De Do

Khud Ko Is Dil Main Basane Ki Ijazat Day Do
Mujh Ko Tum Apna Bananay Ki Ijazat Day Do

Tum Meri Zindagi Ka Ek Haseen Lamha Ho
Phoolon Say Khud Ko Sajanay Ki Ijazat Day Do

Main Kitna Chahta Hoon Kis Tarha Bataoon Tumhain
Mujhay Yeh Aaj Batanay Ki Ijazat Day Do

Tumhari Raat Si Zulfon Main Chand Sa Chehra
Mujhay Yeh Sham Sajanay Ki Ijazat Day Do

Mujhay Qaid Kar Lo Apnay Ishq Main
Yeh Jaan Tum Pe Lutanay Ki Ijazat Day Do

· 1 Like · Nov 24, 2015 at 08:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Rasta Shayad Thak Sa Gyia Hai

rasta shayad thak sa gyia hai

baras baras say

tera rasta taktee ankhien

palkein jhapak jhapak kay tujh ko khoj rahi hain

lekin janan !

mairay dur tak anne wala

rasta shayad thak sa gyia hai

· 1 Like · Nov 24, 2015 at 02:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Aakhri Khuwahish

"AAKHRI KHUWAHISH"

Jab Meri Roh Bi
Mere Jisam Ka Sath Chhor Dey
TO
Eik Baar Aa Kr
Meri Be Noor Ankhon K
Adhure Khuwabon Ko Yaad Kr K
Kuch Der K Ley Rona
OUR
Mere Be Jaan Chahray Ko
Hathon Me Ley Kr
Ho Sakey To Aansu Bahana

LEKIN
Aik Baar" JAAN " Sirf Eik Bar
Itna Keh Dena!!
"MUJHE TUM YAAD ATY HO"

· 1 Like · Nov 23, 2015 at 19:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Neend Is Soch Se Tooti Aksar

Chehra Mera Tha Nigahen Us Ki
Khamushi Main Bhi Wo Baten Us Ki

Mere Chehre Pe Gazal Likhti Gain
Sher Kahti Hui Ankhen Us Ki

Shokh Lamhon Ka Pata Dene Lagin
Tez Hoti Hui Sansen Us Ki

Aise Mausam Bhi Guzare Ham Ne
Subhen Jab Apni Thin Shaamain Us Ki

Dhyan Main Us K Ye Alam Tha Kabhi
Ankh Mahtab Ki Yaden Us Ki

Faisala Mauj-E-Hawa Ne Likkha
Andhiyan Meri Baharen Us Ki

Neend Is Soch Se Tooti Aksar
Kis Tarah Kat’ti Hain Raten Us Ki

Door Rah Kar Bhi Sada Rahti Hain
Mujh Ko Thamey Hue Baahein Us Ki

· 2 Like · Nov 23, 2015 at 13:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Ujaale Apni Yadon K

Humara DIL Saweeray Ka Sunehra Jaam Ho Jaye
Chiraghon Ki Tarah Ankhein Jalein Aur Shaam Ho Jaye

Kabhie Tow Asmaan Se Chand Utray Jaam Ho Jaye
Tumharay Naam Ki Ek Khoobsurat Shaam Ho Jaye

Ajab Halaat Thay Yun Dil Ka Soda Ho Geya Akhir
Mohabbat Ki Haveeli Jis Tarah Nelaam Ho Jaye

Sumandar K Safar Mein Iss Tarah Awaz De Hum Ko
Hawayen Teez Hon Aur Kashtiyun Mein Shaam Ho Jaye

Mujhay Maloom Hai Usska Thikana Phir Kahan Ho Ga
Parinda Asmaan Choonay Mein Jab Nakaam Ho Jaye

Ujalay Apni Yaadon K Humaray Sath Rehnay Do
Najanay Kis Gali Mein Zindagi Ki Shaam Ho Jaye

· 1 Like · Nov 23, 2015 at 01:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Dam E Vaapsi

Tum Aur Fareb Khaao Bayaan-E-Raqeeb Se
Tum Se To Kam Gilaa Hai Ziyaada Naseeb Se

Goyaa Tumhaari Yaad Hi Meraa Ilaaj Hai
Hota Hai Peharon Zikr Tumhaara Tabiib Se

Barbaad-E-Dil Ka Aakhiri Sarmaaya Thi Umeed
Vo Bhi To Tum Ne Chheen Liya Mujh Gareeb Se

Dhundhla Chali Nigaah Dam-E-Vaapsi Hai Ab
Aa Paas Aa K Dekh Lon Tujh Ko Qareeb Se

· 2 Like · Nov 22, 2015 at 12:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Ae Chaand Usy Kehna

Ay Chand
Usay Kehna Wo Jo Door Bohat Door Basta Hai
Usay Koi Yaad Karta Hai
Aur Behisaab Karta Hai
Usay Kehna
Jab Wo Kisi Aur K Sang Basta Hai
Tou Phir Door Bohat Door Kisi Ka Dil Dharakta Hai
Aur
Jab Wo Udas Hota Hai
Pass Us K Na Koi Gham Shanas Hota Hai
Tou Phir Bohat Door Kisi Ki Aankhon
Say Laho Barasta Hai
Ay Chand
Usay Kehna
Jisay Wo Chhor Aya Tha
Jisay Wo Tor Aya Tha
Wo Aaj Bhi Teray Aas Pass Basta Hai
Tery Pass Pass Basta Hai

· 1 Like · Nov 20, 2015 at 16:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Tumhen Yaad Aaegi Beeti Kahani

Kisi Roz Barish Me Ghar Se Niklna..
Khizan Me Girey Totey Paton Pe Chalna..
Tapakney Lagey Ga Jab Darakhton Se Paani..
Tumhen Yaad Aaigi Beeti Kahani..
K Jab Hum Kisi Sham Tum Se Miley Thay..
Muhabbat K Raston Pe Hum Tum Chale Thay..
Wo Barson K Qissey Wo Baaten Purani..
Tumhen Yaad Aaegi Beeti Kahani

· 1 Like · Nov 19, 2015 at 22:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Tum Doosri Ho

Suna Hai
Zameen Per Wohi Loog Milte Hain…
Jin Ko
Kabhi Aasmano K Us Paar
Raahon K Meylay Mein
Aik Dosre Ki Mohabbat Mili Ho
Mager Tum...
K Mere Liye Nafraton K Andhere Mein
Hansti Hoi Roshni Ho
Lahoo Mein Rachi
Ragon Mein Basi Ho
Hamesha Sakoot-E-Shab-E-Gham Mein Awaz-E-Jaan Ban K
Chaaron Taraf Goonjti Ho
Ager Aasman K Us Paar
Raahon K Maylay Mein Bhi Mil Chuki Ho
Tou Phir Is Zameen Per
Meri Chahton K Khile Mousmon Se Guraizaan
Meri Dhoop Chaaon Se
Kuon Ajnabi Ho..???
Kitabon Mein Likhi Hoi
Aur Kanon Suni
Sari Batain Galat Hain...???
K TUM DOSRI HO...???

· 1 Like · Nov 19, 2015 at 09:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Farz Karte Hain

Chalo Yeh Farz Karte Hain
Ke Tum Mashriq, Main Maghrib Hoon

Chalo Yeh Maan Lete Hain
Bada Lamba Safar Hai Yeh!

Magar Yeh Bhi Haqeeqat Hy Tumhari Zaat Ka Suraj
Bohat Sa Rasta Chal Kar, Meri Hasti Mein Doobay Ga!!!

· 1 Like · Nov 18, 2015 at 20:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Haqeeqat Khol Di Us Ne

Mairay Israar Par Aakhir,
Bohat Majboor Ho Kar Aaj.
Mujhay Apni Nigaahoon Ki,
Udaasi Soanp Di Uss Nay.
Bohat Baybas,
Bohat Tanha,
Bohat Bikhri Mohabbat Ki.
Haqeeqat Khol Di Uss Nay.
Khalish Jo Uss Kay Dill Main Thi,
Wo Ab Meri Amaanat Hay.
Shikasta Lehjay Ki Jitnni,
Thakan Thi,
Boal Dii Us Nay.
Meri Khatir Mujhay Apni,
Mohabbat Keh Nahin Paai.
Magar Aaj Apnay Aansoo Say,
Mohabbat Toal Di Uss Nay.
Haqeeqat Khol Dii Uss Nay...........

· 1 Like · Nov 18, 2015 at 14:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Suno Ae Chand Si Lerki

Suno Ae Chand Si Lerki
Abhi Tum Keh Rahi Thi Na
Tumhain Mujh Se Mohabbat Ho Nahin Sakti
Chalo Maana K Yeh Sach Hai
Mager Aye Chand Si Lerki
Mujhe Itna Batao Tum
K Jab Mousam Badalte Hain
Gulon Mein Rang Bherte Hain
Tou Phir Kuon Muztrib Ho Ker
Aikele Pan Se Ghabra Ker
Hawa Ko Raaz Deti Ho
Mujhe Awaz Deti Ho
Suno Ae Chand Si Lerki
Tumhare Samne Koi Mera Jab Naam Leta Hai
Tou Phir Kuon Chonk Jati Ho
Chalo Maana Tumhain Mujh Se Mohabbat Ho Nahin Sakti
Mager Itna Samjh Lo Tum
Jahan Chahat Nahin Hoti
Wahan Nafrat K Hone Ka Koi Imkaan Nahin Hota
Mera Dawa Hai Chahat Mein
Jahan Nafrat Nahin Hoti
Wahan Akser Yeh Dekha Hai
Ager Kuch Waqt Kat Jaye
Samay Ki Dhool Jhat Jaye
Tou Wehshat Bhag Jati Hai
Mohabbat Jaag Jati Hai

· 1 Like · Nov 18, 2015 at 07:11
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Usne Kaha

Us Ne Kaha Kon Hai Tumhay Bohat Aziz

Main Ne Kaha DIl Pay Jis Ka Ikhtiyar Hai

Us Ne Kaha Kon Sa Tofha Doun Main Tumhay

Main Ne Kaha Wahi Sham Jo Abhi Tak Udhaar Hai

Us Ne Kaha Khizan Main Milnay Ka Jawaz

Main Ne Kaha Qarb Ka Mutlab Bahaar hai

Us Ne Kaha Seinkron Gham Zindagi Main Hain

Main Ne Kaha Ghum Nahi Jub Sath Ghum Guzaar Hai

Us Ne Kaha Sath Kahan Tak Nibhao Gay

Main Ne Kaha Jub Tak Yah Sanson Ki Taar hai

· 1 Like · Oct 31, 2015 at 02:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Suna Hai Ishq

Abhi Kuch Din Mujhe Meri Muhabbat Azmane Do
Mujhe Khamosh Rehne Do

Suna Hai Ishq Sacha Ho To
Khamoshi Laho Ban Kar Ragon Mien Nach Othti Hai

Zara Uss Ki Ragon Mien Khamoshi Ko Jhoom Jane Do
Abhi Kuch Din Mujhe Meri Muhabbat Azmane Do

Usey Mien Kuyn Bataon Us Ko
Mein Ne Kitna Chaha Hai
Bataya Jhoot Jata Hai

K Sach Baat Ki Khusbo To
Khud Mehsoos Hoti Hai

Meri Baaten Meri Sochen Usey Khud Jaan Jane Do
Abhi Kuch Din Mujhe Meri Muhabbat Azmane Do

· 1 Like · Oct 20, 2015 at 13:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Chandni

Raat Ki Chandni Main Kuch Khas Baat Hai
Wo Meray Saath Hain Wo Meray Saath Hai

Kuch Baatain Kahi Sitarou Nay
Kuch Baatain Kahi Nazarou Nay

Aaj Chand Ki Roshni Kuch Khas Hai
Wo Meray Saath Hain Wo Meray Saath Hai

Kuch Madham Baat Karou Iss Chandni Raat Main
Raat Ki Chandni Main Kuch Khas Baat Hai

Baitho Meray Pahlou Main Tum Raat Bhar
Aaj Chand Ki Rooshni Hai Khob Tar

Kuch Baatain Karou Nai Wo Purani
Iss Raat Main Je Lay Gay Zindagi Suhani

Muhabat Ki Baatain Karni Hain Suhani
Iss Raat Main Je Lay Gay Zindagi Suhani

Aaj Chand Ki Rooshni Kuch Khas Hai
Raat Ki Chandni Main Kuch Khas Baat Hai

· 1 Like · Oct 20, 2015 at 06:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mere Ho K Raho

Tum Mere Hoke Raho
Apni Khatir Jagey Ho Soye Ho
Apni Khatir Hansey Ho Roye Ho
Kis Liye, Aaj Khoey Khoey Ho
Tum Ne Ansoo Bohat Piye Apne
Tum Bohut Saal Reh Liye Apne
Tum Azal Se Dokhoon Ke Derey Ho
Chahey Khud Ko Ghumoon Main Gheiray Ho
Jub Se Paida Hoye Ho Mere Ho
Aaj Kholengey Lab Siye Apne
Tum Bohut Saal Reh Liye Apne
Ab Mere, Sirf Mere Hoke Raho
Dil Ki Or Baat Dil Se Kehne Do
Meri Bahoon Main Khud Ko Beney Do
Moddaton Zakham Khud Siye Apne
Tum Bohut Saal Reh Liye Apne
Ab Mere Sirf Mere Hoke Raho

Husn He Husn Ho, Zeenat Ho
Ishq Hon Main Tou Tum Muhabbat Ho
Tum Meri Bus Meri Amanat Ho
Jee Liye, Jis Qadar Jiye Apne
Tum Bohut Saal Reh Liye Apne
Ab Mere Sirf Mere Hoke Raho
Rehte Ho Ranj-O-Gham Ke Gharon Main
Dukh Ke, Aasaib Ke Baseron Main
Kaise Chhoron Tumhey Andhero Main
Tum Ko De Donga Sub Diye Apne
Tum Bohut Saal Reh Liye Apne
Ab Mere Sirf Mere Hoke Raho
Tum Bohut Saal Reh Liye Apne
Aab Mere Sirf Mere Hoke Raho

· 1 Like · Oct 19, 2015 at 21:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Zamane Ko

Zamane Ko Jalne Do Chalo Ek Sath Chalte Hain
Nayi Dunia Basane Ko Chalo Ek Sath Chalte Hain

Hamain Jivan Ka Har Lamha Tumhare Naam Karna Hai
Yehi Waada Nibane Ko Chalo Ek Sath Chalte Hain

Suna Hai Mil K Chalne Se Muqaddar Jaag Uthte Hain
Yehi Sach Hai Aazmane Ko Chalo Ek Sath Chalte Hain

· 1 Like · Oct 19, 2015 at 13:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mashkook Na Ho

Mere Ishk De Wich Mashkook Na Ho
Nai Aj Tak Ghalat Nigah Kitti

Teri Har Mulakat Main Ainj Kitti
Jevain Musa Naal Khuda Kitti

Nai Fark Kitta Teri Pooja Wich
Nai Khatraan Di Parwa Kitti

Ik Tenu Rab Nai Keh Sakda
Baki Sari Rasam Ada Kitti

· 1 Like · Oct 19, 2015 at 04:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Sham K Ujalo

Shaam K Ujalo Par
Apne Narm Hathon Se
Koi Baat Achi Si
Koi Khawab Sacha Sa
Koi Bolti Khushbu
Koi Sochta Lamha
Jab Bhi Likhna Chaho Ge
Soch K Darichon Se
Yaad K Hawalon Se
Mera Naam Chhup Chhup Kar
Tum Ko Yaad Aaye Ga
Hath Kaanp Jaingay
Shaam Teher Jaye Gi
Meri Yaad Aaye Gi
Meri Yaad Aaye Gi

· 2 Like · Oct 18, 2015 at 12:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Aankhain

Mujh Se Miltay Hain To Milte Hain Chura Kar Aankhain
Phir Wo Kis K Liye Rakthe Hain Saja Kar Aankhain

Mein Unhain Dekhta Rehta Hun Jahan Tak Daikhoon
Ek Wo Hain Jo Dekhain Na Utha Kar Aankhain

Uss Jagha Aaj Bhi Beitha Hoon Akaila Yaaro
Jis Jagha Chhor Gaye The Wo Mila Kar Aankhain

Mujh Se Nazrain Wo Aksar Chura Letay Hain Faraz
Mein Ne Kagaz Peh Bhi Dekhi Hain Bana Kar Aankhain

· 1 Like · Oct 18, 2015 at 06:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Tumhare Bin

Tumhare Bin Nahi Rehna Mujhe Tum Se Muhabbat Hai
Hai Bus Tum Se Yehi Kehna Mujhe Tum Se Muhabbat Hai

Zubaan To Keh Nahi Sakti Tumhein Ehsas To Hoga
Meri Ankhon Ko Parh Lena Mujhe Tum Se Muhabbat Hai

Tumhare Naam Kardi Hai Ye Poori Zindagi Apni
Bhalay Hi Dukh Parain Sehne Mujhe Tum Se Muhabbat Hai

Humhain Ehsas Hai Tum Ko Bhi Hum Se Piyar Hai Lakin
Ye Mere Samne Kehna Mujhe Tum Se Muhabbat Hai

· 1 Like · Oct 17, 2015 at 19:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Ajao Laut K

Khamosh Palkhon Peh Dariya Ruka Hai Abhi
Tumhare Intezar Mein Ek Lamha Ruka Hai Abhi

Sadiyyun Ka Fasla To Tay Karliya Hum Ne
Sirf Do Qadmon Ka Safar Ruka Hai Abhi

Waqat Ke Safar Peh Rawan Ho Tum Ye Jaan Lo
Tumhare Piyar Ke Liye Ek Shakhs Ruka Hai Abhi

Ajao Ke Zindagi Tamam Na Ho Jaye Meri
Baray Emtehan Se Mout Ko Tala Hai Abhi

Sadain De De Ke Beawaz Na Ho Jaon Kahin Mein
Ajao Laut Ke Ek Jumla Meri Zubaan Peh Ruka Hai Abhi

· 1 Like · Oct 17, 2015 at 13:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Main Khushnasibi Hun Teri

Main Khushnasebi Hon Teri Mujhy Bhi Raas Hai Toh
Tera Libaas Hon Main Aur Mera Libaas Hai Toh

Ajeeb Shay Hai Mohabbat Ke Hum Kahan Jayen
Tere Pass Hon Main Bhi Mere Bhi Pass Hai Toh

Main Nay Khud Ko Faramosh Kia Tere Liye
Aam Hai Sara Jaha Mere Liye Khass Hai Toh

Band Hoton Par Mere Reet Jami Jati Hai
Mere Pass Hai Phir Bhi Meri Pyas Hai Toh

Darmiyan Tere Mere Jab Se Log Annay Lagay
Us K Baad Se Main Tanha Aur Bey Ass Hai Toh

Zamaana Hum Ko Judaa Kar Sake Nahin Mumkin
Mohabbat Mein Jo Naakhun Hoon Main Toh Maas Hai Toh

Door Ho Kar Bhi Nahin Hai Koi Doori
Tere Qareeb Hoon Mein Mere Bhi Paas Hai Toh

Ye Kon Tere Mere Darmiyan Hai Janaa
K Main Be Dard Main Hoon Or Mehw e Yaas Hai Toh

Zindagi Meri Tere Gird Ghoomti Hy Faqat
Aam Hy Sara Jahan Mere Liye Ek Khaas Hy Toh

Ajeeb Shay Hy Mohabbat Main Kahin Chala Jaon
Tere Qareeb Hoon Main Or Meri Pyass Hy Toh

· 1 Like · Oct 17, 2015 at 06:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Kabhi Mujh Ko Saath Lekar

Kabhi Mujh Ko Saath Lekar, Kabhi Mere Saath Chal Ke
Vo Badal Gaye Achaanak Meri Zindagi Badal Ke

Huye Jis Pe Meharbaan Tum Koi Khushnasib Hogaa
Meri Hasaraten To Nikalin Mere Aansuon Mein Dhal Ke

Teri Zulf-O-Rukh Ke Qurbaan Dil-E-Zaar Dhoondhata Hai
Vahi Champai Ujaale Vahi Suramai Dhundlake

Koi Phol Ban Gayaa Hai Koi Chaand Koi Taaraa
Jo Chiraag Bujh Gaye Hain Teri Anjuman Men Jal Ke

Mere Dosto Khudaara Mere Saath Tum Bhi Dhondo
Vo Yahin Kahin Chhupe Hain Mere Gham Ka Rukh Badal Ke

Teri Bey Jhijhak Hansi Se Na Kisi Ka Dil Ho Maila
Ye Nagar Hai Aainon Kaa Yahaan Saans Le Sambhal Ke

· 1 Like · Oct 12, 2015 at 08:10
Category: love
 
Poetry / Love

Ek halki halki (Pak Old)

Ek halki halki ahat hay
Ek mehka mehka saya hay
Yeh kon muj ko khiyalon main
Diwana banane aya hay

Kuch kehti hui woh un ki nazar
Bijli bhi naheen sholah bhi naheen
Is par bhi magar dil ko hum ne
Sene main sulagta paya hay

Mehsos huwa dunia main
Andhra koy naheen
Aankhon main diye se jalne lage
Jab dil se dil takraya hay


Zulfoon main chupa kar chehre ko
Hum apne aap se sharmayee
Bhule se humare honton par
Jab naam tumara aya hay


· 2 Like · Oct 02, 2015 at 04:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Aagay Nahi Barha

Qissa Abhi Hijaab Se Aagay Nahin Barha
Main Aap Woh Janab Se Aagay Nahin Barha

Muddat Hui Kitaab-E-Mohabbat Shuroo Kiay
Lekin Main Pehlay Baab Se Aagay Nahin Barha

Lambee Musaafatain Hain, Magar Iss Sawaar Ka
Paaon Abhi Raqaab Se Aagay Nahin Barha

Logon Ne Sang-O-Khisht Kay Qalay Bana Liay
Apna Mehel To Khawab Say Aagay Nahin Barha

Tool-E-Kalam Kay Liay Main Ne Kiay Sawaal
Woh Mukhtasar Jawab Se Aagay Nahin Barha

· 1 Like · Oct 01, 2015 at 13:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Jan Hi Jay Miri

Aaj Subhoo Say Yad Aarahi Thi Aapki
Socha Message Karoon Kah Jan Jaag Gayi Aapki

Phir Masroof Is Qadar Ho Gaya Kaam Main
Jaisey Washing Machine Lagi Ho Hamam Main

Kuch Fursat Mili Socha Zara Baat Hojaye
Wo Bheee Masroof Kaheen Or Na Hojaye

Buhut Dair Say Par Jawab Tu Diya Us Na
Kaisay Na Daiti Jan Joo Keh Diya Uus Na

Likha Us Nay Main Bhee Buhut Masroof Thi
Zara Kuch Chezain Lanay Bazar Tak Gayi Thi

Phir Us Nay Kaha Thak Gayi Hoon Kuch Aram Kar Loon
Main nay Kaha Kar Lo Kar Lo Main Bhee Aik Item Tayar Kar Loon

Sunanay Ka Wada Bhee Kar Liya Us Say Sham Ko
Waisa Hee Item Joo Banaya Tha Kal Sham Ko

Wo Yai Sooch Kar So Gayi Hogi Abhee
K Main Keh Doonga Chalo Uth Jao Abhee

Buhut Piyar Us Say main Bhee Tu Karta Hon
Rooz Us Sa Dheeroon Bateen Bhee Tu Karta Hon

Kaisay Kahoon Is Main Shak Bhee Tu Naheen Koe
Buhut Daikha Na Deekha Us Jaisa Koe

Tareef Us Ki Or Kiya Karoon Wo Jan Hee Tu Hay Miri
Na Daikhoon Na Baat Karoon Tu Jaisay Jan Hee Jay Miri

· 2 Like · Oct 01, 2015 at 07:10
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Tairi Attaa Hay Kab Say

Buhut Majboor Ho Kar Likh Raha Hoon
Kyun k Kal Sham Say Ro Raha Hoon

Kuch Aisi Baat Kar Di Us Na
Jaisay Khangar Hee Ghonp Diya Ho Us Na

Jo Us Na Ki Main nay Suni Dehan Sa
Wo Boli Kyun Lag Rahay Hain Aap Pareshan Say

Isi Doraan Line Cut Gayi Achanak
Chaa Gaya Hoo Jaisa Andhera Bhayanak

Phir Buhut Roka Samjaya Dil Ko Main nay
Na Kar Paya Bardasht Kaha Shab Khair Main nay

Wo Boli Apna Khayal Rakhiye Ga
Main Bhee Bola Aap Bhee Aisa Hee Kijiye Ga

Subha Hotay Hee Ajeeb See Halat Thi
Jaisay Khulay Road Par Zabardast Traffic Jam Thi

Fasila Kiya Ab Na Bolonga Us Say
Na Daikhoonga Na Kahoonga Kuch Us Say

Bus Yeh Hee Iltija Hay ab Rub Say
K Day Day Wo Jo Tairi Attaa Hay Kab Say

· 2 Like · Sep 30, 2015 at 16:09
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Na Aisay Tum Tarpaya Karou

Apni Muhabat Main Itna Na Tarpaya Karou
Apni Chahat Main Itna Na Jalaya Karou

Yay Deewana Hai Tera Kuch Bhi Kar Jaye Ga
Iss Ko Na Aisay Tum Tarpaya Karou

Wo Jo Shama K Parwanay Jalnay Lagay
Wo Jo Tarou Ki Baraat Honay Lagi

Wo Jo Tanhai Ka Zoor Barhta Gaya
Aisay Main Tum Kahi Say Aajaya Karou
Apni Muhabat Main Itna Na Tarpaya Karou

Wo Jo Aankhain Meri Num Honay Lagin
Meri Aankhou Say Barsaat Honay Lagi

Meri Aankhou Ki Barsaat Daikh Kar
Baadal Bhi Barsaat Barsanay Lagay
Baadal Bhi Mera Saath Chour Gaye

Aisay Main Tum Kahin Say Aajaya Karoun
Apni Muhabat Main Itna Na Tarpaya Karou

· 1 Like · Sep 30, 2015 at 09:09
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

My Forever Love

Your friendship and love,
And all the wonderful things
That they bring into my life,
Are like nothing else
I have ever known.

My heart is complete
With the love we share,
And our love grows more
Beautiful each day.

I love you,
And as long as we are together,
I have everything I need.

You are with me always...
In a smile, a memory, a feeling
Or a moment we share.

You will always be
My Forever Love

· 1 Like · Sep 26, 2015 at 18:09
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Dost K Aanay Se

Khusheyan Milain Sary Jahan Ki Hum Ko Tery Aany Sy
Dukh Aur Dard Ko Bhol Gaey Hum To Tery Aany Sy

Kisi Aur Sy Milty Thy Bari Ehteyat Sy Hum
Bas Tery He Ho Gaey Hum To Tery Aany Sy

Sadagi Kuch Door Hui Banny Sanwarny Sy Apni
Mahkny Lagy Aur Chehkny Hum Bhe Tery Aany Sy

Her Mehfil Main Teri Bateen Achi Lagti Theen Hamain
Dost Chera Krty Thy Hum Ko Tery Aany Sy

Phol Kaha Krty Thy Tumhain Pyar Keya Krty Thy
Tum Ko He Dykha Krty Thy Hum To Tery Aany Sy

Her Din Ead Thi Aur Her Rat Chand Rat Thi Apni
Sapnoo Key Mehal Banatay Hum To Tery Aany Sy

Bara Badal Geya Hy Yeh Larka Asim Rafiq Sheraz
Partay Nahi Hain Paoon Zameen Pay Tery Aany Sy

· 1 Like · Sep 24, 2015 at 07:09
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Mustand Hawala

Guzar Rahe Hain Jo Mujh Pe Azab Us K Hain
K Meri Chashm-E-Tamanna Mein Khawab Us K Hain

Kitab Meri, Qalam Mera, Soch Bhi Meri
Magar Jo Likhay Hain Mein Ne Wo Baab Us K Hain

Wo Meri Zaat Ka Ik Mustand Hawala Hai
Kitab-E-Ishq Mein Sare Nisaab Us K Hain

· 1 Like · Sep 17, 2015 at 13:09
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Yeh Ajeeb Mairi Mohabbatain

koi poochey to main kia kahoon
ussey kia bataoon

yeh roz-o-shabb to janam janam pay muheet hain
merey zakhm zakhm dil-o-nazar

mujhey iss janam main nahi miley
merey rattjagey merey hamsafar

merey saath aaj nahi chaley
yeh muheeb wehshat-e-fiqr jo

merey naqsh naqsh ki rooh hai
koi bey sabaat bayaan nahi

yeh to aatmaon ka aks hai
yeh to devtaaon ka dhiyyan hai

yeh to janey kaisi sadi sadi ki azyaton ka giyyan hai
yeh ajeeb mairi mohabbatain yeh ajeeb mairey gham-o-allam

yeh naseeb sang-o-siyaah par
yeh warq warq pai garey qalam

yeh karra hisaar naya nahi
maira intazaar qadeem hai

maira uss sey piyaar qadeem hai
yeh ajeeb mairi mohabbatain

· 1 Like · Sep 16, 2015 at 16:09
Category: love
 
Poetry / Love

Mohabbat Kis Ko Kehtay Hain

Mohabbat Kis Ko Kehtay Hain
Humien Tum Ne Sikhaya Tha

Ibadat Kis Ko Kehtay Hain
Yeah Bhi Tum Ne Bataya Tha

Mager Jab Hum Mohabat Ki Kisi Wadi Main Khoye Thay

Suhanay Khawab Mairy Jagti Aankhoon Main Soye Thay

Humien Tanha Kiya Tum Ne Koi Awaz Tak Na Di

Tumhain Dhoondha Bohat Sapnay Sajati Mairi Aankhoon Ne

Bohat Khush-Fehmian Palay
Bohat Hi Door Ja Niklay

Jahan Se Lout Anay Main
Humien Ik Umer Lagni Thi

To Us Dam Ik Pal Socha!
Ke Kion Na Hum Kuch Door Aur Ja Batkien

Kisi Nayee Oor Ja Niklien
Kisi Ke Sath Phir Hum Bhi

Khail Mohabbat Ka Phir Khailien
Kisi Ka Torr Dain Dil Hum

Kisi Ko Sozz Main Dhakelien
Mager Mushkil Padi Hum Ko

Ke Hum Pather Nahi Balkay
Dharakta Dil Hi Rakhtay Hain

· 3 Like · Sep 15, 2015 at 09:09
Category: love
 
Poetry / Love

Haseeb Raza

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

Chand Nikla Hai Teri Aankh ke Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker

Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker

Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai Jo Naghma Banker

Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Banker

Mera Kya Haal Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Vada Banker

Dhoup Main Kho Gaya Woh Haath Chhura Kar
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

· 1 Like · Sep 12, 2015 at 07:09
Category: love
 
Poetry / Love

Usama Arshad

Tum Ko Apna Banaana Chahta Hoon

Iss Baar Kuch Aisa Mein Chahta Hoon
Tum Ko Apna Banaana Chahta Hoon

Bhula Kar Apne Sab Gham
Tumhe Dilse Apnana Chahta Hoon

Tumhe Tumhari Ijazaat Se
Apne Dil Mein Basana Chahta Hoon

Apne Naam K Saath Joar Kar Tumhara Naam
Duniya Ko Sar-E-Aam Dikhana Chahta Hoon

Kab Ho Qubooliyat Ki Ghari Na Jaane
Tumhe Har Dua Mein Mangna Chahta Hoon

Ho Jaao Tum Meri Aur Main Tumhara
Har Pal Bas Yehi Ehsaas Chahta Hoon

Tum Se Hi Ki Bass Mohabbat Main Ne
Apni Sari Zindagi Tumhare Sang Bitana Chahta Hoon

Karta Hai Aaj ASHIQE Ye Iqraar
Main Bass Tumhe Bass Tumhe Hi Chahta Hoon

Haq Ke Saath Kahoon Tumhe Main Apna
Tumse Bass Aaj Main Yehi Raza Chahta Hoon

· 1 Like · Sep 10, 2015 at 12:09
Category: love
 
Poetry / Love

Muhammad Aftab

Tum Ko Apna Banaana Chahta Hoon

Iss Baar Kuch Aisa Mein Chahta Hoon
Tum Ko Apna Banaana Chahta Hoon

Bhula Kar Apne Sab Gham
Tumhe Dilse Apnana Chahta Hoon

Tumhe Tumhari Ijazaat Se
Apne Dil Mein Basana Chahta Hoon

Apne Naam K Saath Joar Kar Tumhara Naam
Duniya Ko Sar-E-Aam Dikhana Chahta Hoon

Kab Ho Qubooliyat Ki Ghari Na Jaane
Tumhe Har Dua Mein Mangna Chahta Hoon

Ho Jaao Tum Meri Aur Main Tumhara
Har Pal Bas Yehi Ehsaas Chahta Hoon

Tum Se Hi Ki Bass Mohabbat Main Ne
Apni Sari Zindagi Tumhare Sang Bitana Chahta Hoon

Karta Hai Aaj ASHIQE Ye Iqraar
Main Bass Tumhe Bass Tumhe Hi Chahta Hoon

Haq Ke Saath Kahoon Tumhe Main Apna
Tumse Bass Aaj Main Yehi Raza Chahta Hoon

· 1 Like · Sep 10, 2015 at 04:09
Category: love
 
Poetry / Love

Dil Lagi Thhi K Sulagti Rahi Har Dharkan Men

Dil Lagi Thhi k Sulagti Rahi Har Dharkan Men
Jaan leti Rahi Ye Aag,Teri Chaah k Saathh

Be,Irada Hi Teri Simt Safar ko Nikli
To nay Khud Bhi ki Pazeeraai,Baray Maan k Saathh

Ji Ye Chaahy k Choraalon Men,Nigaahen Sab Say
Tujhko Suchon,Tujhy Chaahon Men kisi Khuaab k Saathh

To milay Yaa Na Milay,Teri Muhabbat Ho Meri
Omr Guzray Meri Bas Yonhi,Tery Naam k Saathh

Jaan-e-jaan,Shukh Sukhan,Chaand kahon ya Soraj
kitnay Onwaan Huay Mansob,Teri Zaat k Saathh

Phir Buhut Shuoq Say Muot Aay Tu Hasrat Hi Na Huu
Teray Sang Beetay Meri Subha,koi Shaam k Saathh

Meray Sapno ko Sadaa Yonhi Mehektaa Rakhnaa
Me nay Thaamaa Hay Teraa Haathh Baray Naaz k Saathh

· 1 Like · Sep 07, 2015 at 09:09
Category: love
 
Poetry / Love

Meri Neend Main Abhi Aik Khwab Baqi Hai

Meri neend main abhi aik khwab baqi hai
Meri mohabbat ka sawal o jawab baqi hai

AnkhooN say izhaar e mohabbat kiya to kiya
Khamoshi kay ghamooN ka hisaab baqi hai

Aapki justjoo nay aisi aag laga di dil maiN
Ab bhi shama jalti hai aur iltihaab baqi hai

Aap hi ki ankhooN main gum, madhosh rahooN
Woh sunehra lamha, shab-e-mahtaab baqi hai

Murjha chukka hai waqt intezar kartay huay
Laikin meri mohabbat ka woh gulaab baqi hai

Ranga hai mujhay kuch aisay rangooN maiN
Kay wafa ki dastaan, aik kitaab baqi hai

Chua hai aapkay labooN ko us paimanay nay
JismaiN meri zindagi, kuch sharab baqi hai

· 1 Like · Sep 02, 2015 at 18:09
Category: love
 
Poetry / Love

Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Nagma Banker

Kabhi Aansu Kabhi Khushbu Kabhi Nagma Banker
Hum Se Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar

Chand Nikla Hai Teri Ankh K Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker

Meri Jaagi Hui Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker

Dil K Kaghaz Par Utarta Hai To Sheron Ki Tarah
Mere Honto Pay Machalta Hai To Nagma Banker

Raat Bhi Aaye To Bujhti Nahin Chehre Ki Chamak
Ruh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Banker

Mera Kya Haal Hai Yeh Aa K Kabhi Dekh To Le
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Vaada Bankar

Dhup Me Kho Gaya Vo Haath Chhuda Kar Kahin
Ghar Se Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker

· 2 Like · Aug 25, 2015 at 02:08
Category: love
 
Poetry / Love

Ijunoon

Bohat Acha Sa Lgta Hai

Tumhari Guftgo Karna
Mujhe Acha Sa Lgta Hai
Bohat Acha Sa Lgta Hai

Tumhi Ko Dekhte Rehna
Tumhi Ko Sochty Rehna

Bohat Gehry Khyalon Men
Jwabon Men Swalon Men

Mohabat K Khyalon Men
Tumhara Naam Aajana

Mujhe Acha Sa Lgta Hai
Bohat Acha Sa Lgta Hai.

· 1 Like · Aug 22, 2015 at 00:08
Category: love
 
Poetry / Love

Tum Ho (Pak Old)

JIS SIMT BHI DEKOON NAZAR ATA HY K TUM HO
AEY JAN-E-JAHAN YE KOI TUMSA HY K TUM HO

YE KHWAB HY , KHOSHBOO HY K JHONKA HY K PAL HY
YE DHUND HY , BAADAL HY K SAYA HY K TUM HO

IS DEED KI SAAT ME KAI RANG HEN LARZAA
ME HOON K KOI OR HY , DONYA HY K TUM HO

DEKO YE KISI OR KI AANKHIEN HEN K MERI
DEKOON YE KISI OR KA CHEHRA HY K TUM HO

YE OMRE GOREZAN KAHEEN THERY TO YE JANOO
HAR SANS ME MOJH KO YEHI LAGTA HY K TUM HO

IK DARD KA PHELA HOWA SEHRA HY K ME HOON
IK MOJ ME AYA HOWA DARYA HY K TUM HO

WO WAQT NA AAYE K DILZAR BHI SOCHY
IS SHEHER ME TANHA KOI HAMSA HY K TUM HO

AY JAN ITNI BHI TOFEEQ KISY THI
HAM KO GHAME HASTI BHI GAWARA THI K TUM HO

· 1 Like · Aug 21, 2015 at 04:08
Category: love
 
Poetry / Love

Yaad Tum Bohot Ate Ho (Pak Old)

Jab duoor ofaq pe lali ho
Jab shaam udasi wali ho

Jab zabat ka bandhan tuta jaye
Jab aas ka daman chuota jaye

Jab darshan piyas bhujaty hoon
Jab mosam geet sunaty hoon

Jab kaan hoon tarsey batoon ko
Jab neend na aaye ratoon ko

Jab aankhon main jug ratay hoon
Jab apne dard sunaty hoon

Tab yaad tum bohut aty ho
Tab yaad tum bohut aty ho

· 1 Like · Aug 20, 2015 at 10:08
Category: love
 
Poetry / Love

Dekha Na Jaye (Pak Old)


Yeh aalam shoq ka dekha na jaye

Woh but hay ya KHUDA dekha na jaye

Yeh kin nazroon se aaj tu ne dekha

K tera dekhna, dekha na jaye

Hamesha k liye muj se bichar jao

Yeh manzar bar bar dekha na jaye

Yeh mere sath kesi roshni hay

K muj se raasta dekha na jaye

Faraz apne sewa hay koun tera

Tujhe tuj se juda dekha na jaye

· 1 Like · Aug 15, 2015 at 15:08
Category: love
 
Poetry / Love

Urooj Imran

Dil To Kaheta Hai Zamane Se Chupalon Tujh Ko

Dil to kaheta hai zamane se chupalon tujh ko
Dil ki dhadkan ki tarah dil me basalon tujh ko

Koi ahsas judai ka na rahne paye
Is tarah khud me meri jaan samalon tujh ko

To jo ruthe kabhi mujh se mere dil ke malik
Sari duniya se khafa ho ke manalon tujh ko

Jabhbhi dekhon tere chahre pe udasi ka samaa
Yehi chahon ke kisi tarah hansalon tujh ko

To jo thak har ke lote to yehi khawahish ha
Yas in palkon ki chaon me solalon tujh ko

Poet : Yasmeen Yas




· 2 Like · Aug 02, 2015 at 17:08
Category: love
 
Poetry / Love

Faisal Razzaq

Chand Taaroo Ki Aur Sitaroo Ki

CHAND TAAROO KI AUR SITAROO KI
AAJ KI RAAT HAI NAZAAROO KI
MUJH SE MILNE WO ARAHE HAIN GHAR
KIYA ZARORAT HAI BHALA BAHANO KI

IN MAKINO KI IN MAKANO KI
HIRS RAKHO NA CHAND TAAROO KI
KAAM DIL NE NIGAHON SE KIYA
IS ME GALTI HAI KYA NIGAHON KI

AISI MITHAS THI LABO KI USKE DOOSTO
CHUMA LABO KO JIS GHADI MADHOSH HO GAYA
SAR MERA USNE JIS GHADI ZANO PAR RAKH LIYA
MAI EK HASEEN NAZAAROO KI DUNIYA ME KHO GAYA




· 1 Like · Jul 31, 2015 at 10:07
Category: love
 
Poetry / Love

Jaan_e_Baharaan ( Pak Old)

Jaan_e_baharaan rashke chaman

Ghuncha dahan seemeen badan

Aye jaan_e_mann

Janat ki hureen tuj pe fida

Raftar jaise mouj_e_saba

Rangeen ada toba shikan

Aye jaan_e_mann

jaan_e_baharaan

Sham_e_ferozan aankhen teri

Har ek nazar main jado gari

Zulfeen teri mushk e qufen

Aye jaan_e_mann

jaan_e_baharaan

Aye naazparwar naz afreen

Lakhon haseen hain tuj sa naheen

Khanda jabeen sher e sukhan

Aye jaan_e_mann

jaan_e_baharaan

· 2 Like · Jul 29, 2015 at 07:07
Category: love
 
Poetry / Love

Udas Logon Se (Pak Old)

Udas logon se pyaar karna koy tu sekhe
Safed lamhon main rang bharna koy tu sekhe

Koy tu aaye khizan main patay ugane wala
Guloon ki khushbo ko kaid karna koy tu sekhe

Koy dekhaye mohabbton ke cherag mujh ko
Meri nigahon se baat karna koy tu sekhe

Koy tu aaye nayi ruton ka pagaam le kar
Andheri ratoon main chand banena koy tu sekhe

· 1 Like · Jul 28, 2015 at 16:07
Category: love
 
Poetry / Love

Tumain Hum Pyaar Karte Hain (Pak Old)

Chahe hamain tum thukra do ya apna bana lo

Tumain hum pyaar karte hain

Zamana hum pe marta hay

Arye hum tum pe marte hain

Mohabbat asa jazba hay

Kabhi jo kam naheen hota

Mohabbat karne walon ko

Jahan ka gham naheen hota

Arye jo pyaar karte hain

Woh kab duniya se darte hain

Ishara hay baharon ka

K hum tum aik ho jayeen

Sahara le k bahoon ka

Hum aik douje main kho jayeen

Tum jo duur rahte ho

Kasam se ahhain bharte hain

Tumare dil pe chahat ka

Najane kab asar ho ga

Idar jo haal hay apna

Najane kab udar ho ga

Tumara naam le le kar

Sanam hum jetey marte hain

· 1 Like · Jul 27, 2015 at 20:07
Category: love
 
Poetry / Love

Agar Main Bata Doon (Pak Old)

Agar main bata doon

Mere dil main kiya hay

To muj se nigaheen

Chura to na lo ge


Agar barh gayi meri

Betabi e dil

Kaheen muj se daman

Churaa to na lo ge


Zubaan chup rahe to

Nazar bolti hay

Nazar chup rahe to

Zubaan doolti hay

Koy raaz dil ka

Jo khul jaye muj se

To muj ko fasana

Bana to na lo ge


Naye se naya teer

Barsa rahe ho

Abhi to mujhe tum hi

Tarpa rahe ho

Jo main ne lagayi

Koy choot dil par

To dil ki lagi ko chupa

To na lo ge


Dikha kar umangoon ki

Gulpoush raahein

Bulaa to rahi hain

Tumari nigaheen

Mohabbat k rastye main

Jab a gaya main

Qadam apna piche

Hata to na lo ge

Agar main bata doon

· 1 Like · Jul 27, 2015 at 14:07
Category: love
 
Poetry / Love

Wahda karo (Pak Old)

Wahda karo milo ge

kal phir isi jaga

Aaye ga do dilon ko

Mulaqat ka maza


Chumain gi yeh hawayeen

Barh kar qadam tumare

Meri tara raheen ge

Bechin yeh nazare

Aaye na tum jo milne

To ho ga inhain gilaa


Tum mere humsafar ho

Tum ho mera sahara

Pal bhar ki bhi judayi

Muj ko naheen gawara

Tum hi ho meri manzil

Tum hi mera pata

Wahda karo milo ge

· 1 Like · Jul 27, 2015 at 07:07
Category: love
 
Poetry / Love

Mohabbat naam ho jaye (Pak Old)

Abhi to dil main halki si

Khalish mahsos hoti hay

Bohot mumkin hay kal is ka

Mohabbat naam ho jaye



Khayalon main yeh koun aya

Sitaroon ki chamak le kar

Mere shanoon pe bikhere hain

Yeh kis ki zulf k saye

Bohot mumkin hay kal is ka

Mohabbat naam ho jaye



Yeh kasi beykhudi hay

Dil main kaisa kaif chaya hay

Yeh meri jaagti aankhon main

Kaise khuwaab lahraye

Bohot mumkin hay kal is ka

Mohabbat naam ho jaye



Ruki hay zindagi ek

Muskarate morr pe a kar

Kaheen yeh muskarahat

Zindagi ka gham na ban jaye

Bohot mumkin hay kal is ka

Mohabbat naam ho jaye

· 1 Like · Jul 26, 2015 at 06:07
Category: love
 
Poetry / Love

Kash main keh sakoo kabhi tum se (Pak Old)

Kash main keh sakoo kabhi tum se
Dil ki har bat ankahi tum se

Kash main keh sakoo kabhi ye bhi
bari mushkil hai dil lagi tum se

Kash ke main keh sakoo ke tum kya ho
Hai mere dil main chandni tum se

Kash main keh sakoo kabhi ke mujhe
Baat karni hai zaroori tum se

Kash ke ye bhi kabhi pooch sakoo
kaise hoti hai berukhi tum se

Kash wo waqt bhi ajaye ke ho
meri duniya main roshni tum se

Kash ye raz keh sakoo main kabhi
Hai haseen meri shairi tum se

Kash lafzon main kabhi keh paoon
Mil ke hoti hai jo khushi tum se

Kash ye umr yoon guzar jaye
meri yadain rahain saji tum se

· 1 Like · Jul 25, 2015 at 11:07
Category: love
 
Poetry / Love

Mohabbat (Pak Old)

Mohabat ik samunder hai
buhat piyara bohat dilkash
kinarey per kharey ho ker
Mohabat ko jo dekhay ga
Samunder ko jo dekhay ga
Kashish pani mein aisi hai
ke lehron mein wo utrey ga
kadam bheegay tu sumjhay ga
Mohabat mein adaien hain
Wafaien he Wafaien hain
Magar Pani Mohabat ka
Sir sey jo guzeray ga
to janey ga
Haseen lehroon k neachay tu
jafaien hee jafaien hain
Mohabat ik sumnder hai
buhat piyara buhat dilkash

· 1 Like · Jul 24, 2015 at 19:07
Category: love
 
Poetry / Love

Yeh Haseen Wadiyan (Pak Old)

Yeh haseen wadiyan

Yeh samaa

Dekh kar dil mera

Gungunane laga

Geet gane laga

Muskarane laga

Har taraf noor ki

Yun faza chayi hay

Jase janat zameen pe

Utar ayi hay

Dil ki dharkan main

Kaliyan chatakne lageen

Phool ban ban k

Khushiyan mahekne lageen

Le k aya kidar

Yeh suhana safar

Khud rahi na humain

Aaj apni khabar

· 1 Like · Jul 24, 2015 at 07:07
Category: love
 
Poetry / Love

Sham Se Pahle (Pak Old)

Sham se pahle aana

Dhoup sari dhal rahi ho

Phool sare khil gaye hoon

Mousam sare le ana

Phir wohi din aaye hain

Jane kiya le aaye hain

Jewan mera

Sara tera

Jeena to ek bahana hay

Aik tere a jane se

Mil rahe hain zamane se

Jewan mera

Sara tera

Duur phir kiya jana hay

Sham se pahle aana

Dhoup sari dhal rahi ho

Phool sare khil gaye hoon

Mousam sare le aana

· 1 Like · Jul 23, 2015 at 23:07
Category: love
 
Poetry / Love

Teri Chahat

Zindagi Ka Sahara Hai Teri Chahat

Jeene Ka Bahana Hai Teri Chahat

Tujh Se Juda Hona Bass Mein Nahi Chahti

Har Pal Deewana Banati hai Teri Chahat

Khamoshi Me Sargoshi Karti Hoon Khud Se

Mujhe Madhoosh Karti Hai Teri Chahat

Bheed Me Bhi Tanha Hoti Hoon Mein

Jab Se Mujhe Me Samayai Hai Teri Chahat

· 1 Like · Jul 23, 2015 at 15:07
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Pagal Larki

Pagal Si Ek Ladki Thi
Har Pal Woh Mujhko Takti Thi

Aankh Main Uski Masti Thi
Woh Baat Baat Pe Hansti Thi

Har Roz Woh Roop Badalti Thi
Har Roop Main Achi Lagti Thi

Es Dil Main Aag Badhakti Thi
Jab Meri Taraf woh Barti Thi

Deedar Ko Deed Tarasti Thi
Fursat Main Aankh Barasti Thi

Woh Jub Bhi Mujhse Milti Thi
Yeh Zalim Dunya Jalti Thi

Pyar Woh Mujse Karti Thi
Izhaar Se Laiken Darti Thi


Pagal Si Ek Ladki Thi

· 2 Like · Jul 23, 2015 at 04:07
Category: love
 
Poetry / Love

Muqaddar K Sitaron Par,

Muqaddar k sitaron par,

Zamano k asharoon par,

Udasi k kinaroon par,

Kabhi veraan shehron main,

Kabhi sunsaan rastoon par,

Kabhi heraan ankhoon main,

Kabhi bejaan lamhon par,

Tumari yaad chupke se,

Koi sargoshi karti hai,

Ye palkein bheeg jati hain

To ansoo toot girte hain,

Hum palkun ko jhukaty hain

Bazahir muskraty hain,

Fakat itna he kahty hain

Mujhy tm yaad aty ho…

Mujhy Tm yaad aty ho ….

· 2 Like · Jul 14, 2015 at 10:07
Category: love
 
Poetry / Love

Chamaktay Chand Ko Tuta Hua Taara Bana Dala

chamaktay chand ko tuta hua taara bana dala
meri awargee ne mujhko awara bana dala

baDa dilkash baDa rangeen hai yeh shahar kahtay hain
yahan par hain hazaron ghar, gharon me.n log rehtay hain

mujhe is shahar ne galiyon ka banjara bana dala
chamaktay chand ko tuta hua taara bana dala

mai.n is duniya ko aksar dekh ke hayraan hota hun
na mujhse ban saka chota sa ghar din raat rota hun

KHUDAYA tu ne kaise yeh jahan sara bana dala
chamaktay chand ko tuta hua taara bana dala

mere malik mera dil kyu.n taDapta hai sulaghta hai
teri marzee teri marzee pe kis ka zor chalta hai

kisi ko gul kisi ko tu nay angaraa bana dala
chamaktay chand ko tuta hua taara bana dala

yehi aaghaaz tha mera yehi anjaam hona tha
mujhe barbaad hona tha mujhe naakaam hona tha

mujhe taqdeer ne taqdeer ka mara bana dala
chamaktay chand ko tuta hua taara bana dala…

· 1 Like · Jul 12, 2015 at 09:07
Category: love
 
Poetry / Love

Aati Hain Jab Hume Yaad Tumhari

Aati hain jab hume yaad tumhari
Humse mat poocho kya hasrat hai humari
Ek koshish thi kabhi pana tasvir tumhari
Jo keh na sake apni juban se kabhi hum,
Bina kahe pooch leti tasvir tumhari
Hoti jo aahat aangan me mere kabhi
Bhar jaati tumhare ehsas se chahat humari
Rehti hoon jab main saaye mein khamoshi ke kabhi
Yaad karti hoon hamesha muskan tumhari
Aati hain jab hume yaad tumhari

· 1 Like · Jul 08, 2015 at 18:07
Category: love
 
Poetry / Love

Ab Ke Tajdid E Vafa Ka Nahin Imkan Jaanaa

ab ke tajdid-e-vafa ka nahin imkan jaanaa
yad kya tujh ko dilayain tera paiman jaanaa

yon hi mausam ki ada dekh ke yad aya hai
kis qadar jald badal jate hain insan jaanaa

zindagi teri ataa thi so tere nam ki hai
ham ne jaise bhi basar ki tera ehsan jaanaa

dil ye kahata hai k shayad ho afsurda tu bhi
dil ki kya bat karain dil to hai nadan jaanaa

akhir akhir to ye alam hai ki ab hosh nahin
rag-e-mina sulag uthi ki rag-e-jan jaanaa

muddaton se ye alam na tavaqqo na ummid
dil pukare hi chala jata hai jana jaanaa

ham bhi kya sada the ham ne bhi samajh rakha tha
gam-e-dauran se juda hai gam-e-jaanaa jaanaa

ab ki kuch aisi saji mahafil-e-yaran jaanaa
sar-ba-zanu hai koi sar-ba-gireban jaanaa

har koi apani hi avaz se kanp uthata hai
har koi apane hi saye se hirasan jaanaa

jis ko dekho vahi zanjir-ba-pa lagata hai
shahar ka shahar hua dakhil-e-zindan jaanaa

ab tera zikr bhi shayad hi gazal main aye
aur se aur hua dard ka unvan jaanaa

ham k ruthi hui rut ko bhi manaa lete the
ham ne dekha hi na tha mausam-e-hijran jaanaa

hosh aya to sabhi khvab the reza-reza
jaise urate huye auraq-e-pareshan jaanaa

· 1 Like · Jul 03, 2015 at 21:07
Category: love
 
Poetry / Love

Mere Pyar Da Pehla Khat Ay

Mere pyar da pehla khat ay
Kisi hor nu yar parhavin na

Menu soch samajh k dil devin
Mere naal mazaq Bnavin na

Is pyar vich rolay Hunde ne
Dil Qaim rakhein Ghabravin na

Jey tu mangain te main jind Daysan
Par kise hor nu yar Bnavin na

Vairi jag sara is piyar da Ay
Be Qadare nu Dard sunavin na

· 1 Like · Jul 03, 2015 at 02:07
Category: love
 
Poetry / Love

Yeh Duniya Hy Yahan Pay Yeh Tamasha Ho Bhi Sakta Hy

Yeh duniya hy yahan pay yeh tamasha ho bhi sakta hy
abhi jo ghum humara hy tumhara ho bhi sakta hy,

tum apnay aap ko hargiZ koi ilzaam mat dena
yeh sauda hy mohabat ka khasara ho bhi sakta hy,

na yeh samjho kay tum hi aakhri meri mohabat ho
mohabat jurm hy hum say Dubara ho bhi sakta hy.

· 1 Like · Jul 02, 2015 at 07:07
Category: love
 
Poetry / Love

Mery Qareeb Aoo K Bhout Udas Houn Main

Mery qareeb aoo k bhout udas houn main
Bus aj toot k chaho k bhout udass houn main,

Kisi bhi jhooty dil se dill ko bahlao
koi khani sunao k bhout udass houn main,

Andherri raat hai kuch bhi nazar nahi ata
sitary toor k laoo k bhout udass hoon main,

Main ne SUNA hai tery nagar mai khushi bhi milti hai
Mujhe Yaqeen dilao k bhout udass houn main.

Yah raat yunhi guzar jae ge dabay paoun
Payar k geet sunao k bhout udas houn main.

· 1 Like · Jul 01, 2015 at 12:07
Category: love
 
Poetry / Love

Ussay Apny Farda Ki Fikr Thi

Ussay apny farda ki fikr thi
wo jo mera wakif-e-haal tha
wo jo us ki subh e urooj thi
wohi mera waqt-e-zawal tha

Mera haal kaisay janta
meri bat kaisay manta
wo tu khud fana k safer pe tha
usay rokna bhi mahaal tha

Wo louta tu sadyon k baad bhi
mere lb pe koi gila na tha
ussay meri chup ny rula diya
jisay guftagu main kamal tha

· 1 Like · Jul 01, 2015 at 06:07
Category: love
 
Poetry / Love

Barish Me Hum Thy Aur Ghani Ho Rahi Thi Sham,

Barish me hum thy aur ghani ho rahi thi sham

Tm ne liya tha kanptay hountoon se mera nam

Main ne kaha tha aoo yunhi bheegty chalain

In rastoon main dair tak ghoomtay rahin

Meri kamar main yah hath phoolon sa daal kr

kandhe pe mery yunhi rakhy raho apna sar

Hathoun ko main kabhi! Kabhi baloun ko chum loun

Daikho meri traf tu ankhoon ko chum loun

Pani k yah jo phol hain ruksaar pe khilay hoy

In main Dhanak k rang hain sary ghulay hoy

Hontoon se in ko chuntay rahen khush dilly k sath

Yunhi kisi darakht k neechay kharay rahen

Barish k dair baad Bhi liptay kharay rahen

Nasha sa charooun oorh phelta geya

Pher us k baad main ne tumain kuch nahi kaha!

· 1 Like · Jul 01, 2015 at 00:07
Category: love
 
Poetry / Love

Kabhi Tum Milny Aoo Na

KABHI TUM MILNY AOO NA

Tumain mahsos karna hai

Tumari zaat main kho kar

Tumhara hisa banena hai

Teri viran ankhoon main

Tumari bikhri batoon main

Wafa k rang bharnay hain

Tumhare phool chahry pay udasi ka jo manzer hai

Yahn apni chahat se hasi NAQSH karni hai

Kabhi tum milny aoo na…

· 2 Like · Jun 30, 2015 at 18:06
Category: love
 
Poetry / Love

Muzammil Shahzad

Wo Aik Larki

Udass Logon Ki Bastiyon Main,
Wo Titlion Ko Talash Karti,

Wo Aik Larki,

Wo Sanwla rang Wo Kali Aankhein,
Jo Karti Rehti Hazaar Baatain,
Mizaj Saada Wo Dil Ki Achi,

Wo Aik larki,

Wo Mohabbaton K Nisaab Jane,
Wo Janti Hey Ehad Nibhane,
Wo Achi Dost Wo Achi Saathi,

Wo Aik Larki,

Wo Jhootay Logon Ko Sacha Samjhe,
Wo Saari Duniya Ko Acha Samjhe,
Wo Kitni Saada Wo Kitni Pagli,

Wo Aik Larki

Wo Aik Larki,,

· 1 Like · Jun 27, 2015 at 05:06
Category: love
 
Poetry / Love

Masoom Si Muhabbat Ka Bas Itna Sa Fasana Hai

masoom si muhabbat ka bas itna sa fasana hai
kagaz ki haweli hai barish ka zamana hai..

kya shart-e-muhabbat hai kya shart-e-zamana hai
awaz bhi zakhmi hai aur geet bhi gana hai

us paar utarne ki umeed bahot kam hai
kashti bhi puraani hai tufaan bhi aana hai..

samajhe wo ya na samajhe is andaaz-e-muhabbat ko
ek shakhs ko aankhon se ek shair sunana hai..

bholi si aada koi phir ishq ki zid par hai
phir aag ka dariya hai phir doob ke jana hai..

· 2 Like · Jun 21, 2015 at 14:06
Category: love
 
Poetry / Love

Sharam Aayi Humen Is Shiddat Se,

Sharam aayi humen is shiddat se
Ke hum nazre jhuka baithe.
Jab wo hame dekhne k khatir
Hamara chilman utha baithe.

Jhuki nazren larazte lab
Dhadakta dil aur mohabbat.
Wo hum ko dekh kar hi
Apna dil ghuma baithe.

Haseen si thi suhani sham
Aur dilaon me muhabbat.
Hum ek doosre se kar
Wadaa-e-wafa baithe.

Bhool k apni sharam-o-haya
Hum kareeb aa baithe.
Us haseen raat ko hum
Yaadgaar bana baithe.

· 2 Like · Jun 20, 2015 at 19:06
Category: love
 
Poetry / Love

Kuch Door Hamare Saath Chalo

Kuch door hamare saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge

Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo jaley na hon khud ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge

Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge

Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain Aashik mager
Har baat poorani kehdein ge...

· 1 Like · Jun 18, 2015 at 17:06
Category: love
 
Poetry / Love

Rumana Shahzad

Aap Se Kabhi Mil Na Paaye Hum

Aap se kabhi mil na paaye hum
phir bichadne ka dar kaisa
meri har dhadkan me aap ho shamil
phir aapki judaai ka gham kaisa

deedaar-e-yaar ki khatir jee rahe hain hum
unki talaash hai ab har taraf
umr-e-tamaam kisike naam kar diya humne
ab maut se bhi hume ghabraana kaisa

aapki yaad yun zindagi ko mehka de
bahaar bankar fiza me rang bhar de
sanwaara hai mujhe aapne is kadar
k patjhad se bhi ab nazren churaana kaisa

sitaron ki mehfil saji thi har taraf
phir bhi roshni ko taras gaye the hum
mahtaab jo ban gaye aap zindagi ke
ab andheron ka humse naata kaisa

Khuda se jo maangi humne duayen
kabool kiya unhone hamaari mohabbat ko
zamana hume ab baddua de bhi toh kya
hume ab zamaane se shikayat kaisi

· 1 Like · Jun 18, 2015 at 11:06
Category: love
 
Poetry / Love

Obaid Kayani

Main Apni Khuahishon

main apni khuahishon main bas tumhain hi yaad karta hoon

sadaien jab bhi daita hoon tumhain faryaad karta hoon

tere aik baar kehne pe main duniya chod jaoon ga

tere aik harf pe main zindagi barbad karta hoon

bas aik koney main baithe mera har din guzarta hai

main teri yaadon se is ghar ko bhi aabad karta hoon

ghalat bayani hai teri hamare dil se niklo ge

nikal sakte ho to jao tumhain aazad karta hoon

· 1 Like · Jun 15, 2015 at 03:06
Category: love
 
kaka shararti k karnamay
Posted by samreen qaisar
Posted on : Nov 06, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS