Poetry / General

Safia Saeed

Agar Na Ho Tujhay Uljhan To Ye Khol Kar Keh Doon.

Agar Na Ho Tujhay Uljhan To Ye Khol Kar Keh Doon......???

Wajood-e-Hazrat-e-Insaan Na Rooh Hai Na Badan.....!!!


· 0 Like · May 24, 2018 at 19:05
Category: general
 
Poetry / Love

Seddiq Al Khan

Badalti Rut Ka Ishara Dekhte Hain.

Badalti rut ka ishara dekhte hain
Ab kaise ho ga guzara dekhte hain

Muhabbat ki yeh rasam bhi kitni ajeeb hai
Jaane wale palat kar dobara dekhte hain

Doobne waale doobne se zara pehle
Aik ummeed par kinara dekhte hain

Teri Khudaai se gilah hone lagta hai
Jab duniya men koi be-sahara dekhte hain

Kya muhabbat hamain bhi raas aaye gi
Aao apna apna sitara dekhte hain.


· 0 Like · May 24, 2018 at 13:05
Category: love
 
Poetry / Sad

Abdul Rasheed

Kabhi Tarrap Utha Meri Aah Se.

kabhi tarrap utha meri aah se
Kabhi ashk se na pighal saka
Sar e rah mila wo agar kabhi
To nazar jhuka k guzar gya
Wo uter gya meri aankh se
Meray dil se kyun na uter saka
Wo chala gya jahan chorr k
Main waha se phir na palat ska
Wo sanbhal gya tha mgar
Main bikhar k phir na simat saka...


· 2 Like · May 24, 2018 at 07:05
Category: sad
 
Poetry / Sad

Urooj Imran

Main Bhool Jaoon Tumhay

Main Bhool Jaoon Tumhay Ab Yahi Munasib Hai
Mager Bholana Bhi Chahon To Kis Tarah Bholoon

Ke Tum Tu Phir Bhi Haqeeqat Ho Koi Khuwab Nahi
Yahan To Dil Ka Yah Aalam Hai Kya Kahoon

Bhola Saka Na Yah Wo Silsala Jo Tha He Nahi
Wo Ak Khayal Jo Aawaz Tak Gia He Nahi

Wo Aik Baat Jo Main Kah Na Saka Tum Say
Wo Aik Rabt Jo Ham Main Kabhi Raha He Nahi

Mujhay Hai Yaad Wo Sab Jo Kabhi Howa Hi Nahi
Ager Yah Haal Hai Dil Ka Tu Koee Samjhaye

Tumhe Bhulana Bhi Chahoon Tu Kis Tarah Bholoon
Ke Tum Tu Phir Bhi Haqeeqat Ho Koi Khawb Nahi....!^s~UHV^


· 0 Like · May 24, 2018 at 01:05
Category: sad
 
Poetry / Sad

Shahida Malik

Gum Sum Hua

Gum Sum Hua, Awaz Ka Darya Tha Jo Ik shakhs
Pathar Bhi Nahin Ab Wo Sitara Tha Jo Ik shakhs

Aey Taiz Hawa Koi Khabar Isky Janon Ki
Tanha Safar Shoq Pe Nikla Tha Jo Ik shakhs

Ab Akhri Sutron Me Kahin Naam Hai Uska
Ahbab Ki Fehrist Me Pehla Tha Jo Ik shakhs

Hathon Me Chhupaey Howy Phirta Hai Kae Zakham
Shishay Ke Khilono Se Behta Tha Jo Ik shakhs

Ab Us Ne Bhi Apna Liay Duniya Ke Qarinay
Saey Ki Rafaqat Se Bhi Darta Tha Jo Ik shakhs

Munkar Hai Wohi Ab Meri Pehchan Ka Mohsin
Aksar Mujhy Khat Khon Se Likhta Tha Jo Ik shakhs...!

· 1 Like · May 23, 2018 at 19:05
Category: sad
 
Poetry / General

Imran Khan

Raftar E Zindagi

· 0 Like · May 23, 2018 at 13:05
Category: general
 
Poetry / Sad

Naila Ahmed

Wo Ajeeb Shakhs Tha

Wo ajeeb shakhs tha, k mai usay aaj tak na samajh saka
Mujhe chahta bhi ghazab ka tha, mujhe chhor kar bhi chala gaya

· 2 Like · May 23, 2018 at 07:05
Category: sad
 
Poetry / Sad

Uzma Shaheen

Meri Zaat Pe Ehsaan Apna

· 0 Like · May 22, 2018 at 23:05
Category: sad
 
Poetry / Love

Kamran Kaliya

Muskaan

· 0 Like · May 22, 2018 at 16:05
Category: love
 
Dad car ki chabi dain.
Posted by shama qadir
Posted on : Aug 18, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS