Poetry / Love

Sadaf Zeeshan

Kaash Main Teray Bun Gosh Main Bunda Hota.


Kaash Main Teray Bun Gosh Main Bunda Hota…
Raat Ko By Khabri Main Jo Machal Jata Main…
To Teray Kaan Sy Chup Chaap Nikal Jata Main…
Subah Ko Girtay Teri Zulfon Sy Jb Basi Phool…
Meray Kho Janay Py Hota Tera Dill Kitna Malool…
Too Mujhay Dhondti Kis SHoq Sy Ghabrahat Main…
Apnay Mehkay Howay Bister Ki Hr Ik Salwat Main…
Joonhi Kartin Teri Narm Ungliyaan Mujhay…
Milta Us Gosh Ka Phir Gosha e Manoos Mujhay…
Kaan Sy Too Mujhay Hr Giz Na Utara Krti…
Too Kabhi Meri Judayee Na Gawara Krti…
Youn Teri Qurbat e Rangeen K Nashay Main Md Hosh…
Umr Bhar Rehta Meri Jaan Main Tera Halqa e Bagosh…

Kash Main Tery Bun Gosh Main Bunda Hota…!!!!

· 0 Like · Jun 08, 2018 at 10:06
Category: love
 
Poetry / Sad

Kainaat Siddique

Aankh Barsi Hai Tere Naam Par Saawan Ki Tarah.

Aankh barsi hai tere naam par saawan ki tarah
Jism sulga hai teri yaad mein eendhan ki tarah
Loriyan di hain kisi qurb ki khwahish ne mujhe
Kuch jawani ke bhi din guzre hain bachpan ki tarah
Is bulandi se mujhe tune nawaza kyun tha
Gir ke main toot gaya kaanch ke bartan ki tarah
Mujh se milte hue y baat to sochi hoti
main tere dil mein sama jaoonga dhadkan ki tarah
Muntazir hai kisi makhsoos si aahat ke liye
Zindagi baithi hai dahleez par birhan ki tarah.

· 0 Like · Jun 08, 2018 at 04:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Mehmood Khan

Wo Lamha

· 0 Like · Jun 07, 2018 at 22:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kamran Ullah Khan

Saza Poori Nahi Hoti

Mohabbat naam hai jis ka wo aisi qaid hai
K umren beet jati hain, saza poori nahi hoti

· 0 Like · Jun 07, 2018 at 15:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Yousuf Ahmed

Tum Kinara Dekhna

Badban Khulne Se Pahle Ka Ishara Dekhna
Main Samandar Dekhti Hun Tum Kinara Dekhna

Youn Bicharna Bhi Bahut Asan Na Tha Us Se Magar
Jate Jate Us Ka Wo Mur K Dubara Dekhna

Kis Shabahat Ko Liye Aya Hai Darwaze Pe Chand
Ay Shab-E-Hijran Zara Apna Sitara Dekhna

Aaine Ki Ankh Hi Kuch Kam Na Thi Mere Liye
Jane Ab Kya Kya Dikhaye Ga Tumhara Dekhna.

· 0 Like · Jun 07, 2018 at 09:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Waqas Moti

Ab Bhala Chhor Ke Ghar Kya Karte

Ab Bhala Chhor Ke Ghar Kya Karte
Shaam Ke Vaqt Safar Kya Karte

Terii Masrufiytain Jaante The
Apne Aane Kii Khabar Kyaa Karte

Jab Sitare Hi Nahi Mil Paye
Le Ke Ham Shams O Qamar Kya Karte

Wo Musafir Hi Khuli Dhuup Ka Tha
Saaye Phaila Ke Shajar Kya Karte

Khaak Hi Avl O Aakhir Thahri
Kar Ke Zarre Ko Gauhar Kyaa Karte

Raaye Pehle Se Hii Banaa Lii Tune
Dil Men Ab Ham Tere Ghar Kyaa Karte

Ishq Ne Saare Saliqay Bakhshe
Husn Se Ksb E Hunar Kya Karte

· 0 Like · Jun 07, 2018 at 03:06
Category: sad
 
Poetry / Love

Samreen Anjum

Aik Baat Kahoo''n Agar Suntay Ho.

Aik Baat Kahoo''n Agar Suntay Ho.... ???
Tum Mujh Ko Achay Lagtay Ho....
Kuch Chanchal Sey,,
Kuch Chup Chup Sey,,,,
Kuch Pagal Pagal Lagtay Ho....
Hain Chaahnay Walay Aur Bohat....
Tum Mien Hai Ek Baat Bohat....
Tum Apnay Apnay Lagtay Ho.....
Ye Baat Baat Pay Kho Jana....
Kuch Kehtay Kehtay Ruk Jana...
Ye Kiss Uljhan Mien Rehtay Ho...????
Kya Baat Hai Hum Sey Keh Daalo....???
Aik Baat Kahoo''n Agar Suntay Ho.... ???
Tum Mujh Ko Acha Lagtay Ho.....

· 1 Like · Jun 06, 2018 at 20:06
Category: love
 
Poetry / Sad

Nimrah Butt

Hasrat Bhari Nigaahoo''n Ko Aaraam Tak Nahi.

Hasrat Bhari Nigaahoo''n Ko Aaraam Tak Nahi....
Wo Yun Badal Gaya K Ab Salaam Tak Nahi,,,,,,

Jiss Ki Talab Mien Zindagi Apni Guzaar Di.....
Uss Bey_Wafa K Lab Pay Mera Naam Tak Nahi,,,,,

Jo Keh Gaye Thay Shaam Ko Baithien Gay Aaj Phir....
Kuch Saal Ho Gaye Koi Paighaam Tak Nahi,,,,,,

Madfoon Hun Terey Hijjar Ki Ek Aesi Qabar Mien.....
Kutbay Pay Jiss K Aaj koi Naam Tak Nahi,,,,,,

Bey_Ekhtyaar Uthtay Hain Meray Qadam Udhar.....
Haala''n_Keh Uss Gali Mien Mujhay Ab Koi Kaam Tak Nahi,,,,,

· 0 Like · Jun 06, 2018 at 13:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Kamran Kaliya

Wo Aks E Mauja E Gul Tha,

Wo Aks-e-Mauja-e-Gul Tha, Chaman Chaman Mein Raha
Wo Rang Rang Mein Utraa, Kiran Kiran Mein Raha
Wo Naam Haasil-e-Fun Ho Ke Mere Fun Mein Raha
Ke Rooh Ban Ke Meri Soch Ke Badan Mein Raha
Sakoon-e-Dil Ke Lye Mein Kahan Kahan Na Gayi
Magar Ye Dil, Ke Sadaa Oski Anjuman Mein Raha
Wo Sheher Waalon Ke Aagay Kaheen Mohazzib Tha
Wo Ek Shakhs Jo Sheheron Se Door Ban Mein Raha
Charaagh Bujhtay Rahay Aur Khwaab Jaltay Rahay
Ajeeb Tarz Ka Mausam Mere Watan Mein Raha..

· 0 Like · Jun 06, 2018 at 07:06
Category: sad
 
cactus or rocks?
Posted by Gulzar Ahmed
Posted on : Oct 26, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS