Poetry / General
Naa Inteshaar Ka Khatra Naa Inhedam Ka Hai
Yeh Marhala To Tabahi Ke Ekhtataam Ka Hai
Jo Khatam Ho Gaya Rishtaa Woh Dosti Kaa Thaa
Jo Bach Gaya Hai Taaluq, Woh Inteqaam Ka Hai
Har Aik Lamha Ajab Khauf Be Panahi Kaa
Hamare Ahad Mein Ye Rang Subh-oo-Shaam Kaa Hai
Bachaiyen Kis Tarah Balaaon Se Bastii Ko
Mohafizon Kaa Iraada Bhii Qatl e Aam Kaa Hai
Yeh Buzdili Hai Ke Hote Hain Phool Unke liye
Woh Jin Ke Haath Mein Khanjar Hamare Naam Ka Hai
Safar Hai Dasht Kaa Aur Raat Hogaii 'Alam'
Hamaare Saamne Ab Masla Qayaam Ka Hai

Advertisement
·
1 Like ·
Oct 05, 2016 at 08:10
Category: general
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on

- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video