Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Dil Ko Gam E Hayaat Gavaaraa Hai In Dinon

dil ko Gam e hayaat gavaaraa hai in dinon
pahale jo dard thaa vahii chaaraa hai in dinon

ye dil zaraa saa dil terii yaadon men kho gayaa
zarre ko aandhiyon kaa sahaaraa hai in dinon

har sail e ashk saahil e taskiin hai aaj kal
dariyaa kii mauj mauj kinaaraa hai in dinon


shamon men ab nahiin hai vo pahale sii roshanii
shaayad vo chaand anjuman e aaraa hai in dinon

tum aa sako to shab ko badhaa duun kuchh aur bhii
apne kahe men subah kaa taaraa hai in dinon

qurbaan hon jis ke husn peh sau jannaten Qateel
nazaron ke saamane vo nazaaraa hai in dinon

· 1 Like · Dec 05, 2018 at 06:12
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Door Tak Chhaye Thay Baadal Aur Kahin Saaya Na Tha

Door tak chhaye thay baadal aur kahin saaya na tha
Is tarah barsaat ka mausam kabhi aaya na tha

Kia mila aakhir tujhe saayon ke peechhey bhaag ker
Ae dile naadan tujhey kia humney samjhaya na tha

Uff yeh sannata ke ahat tak na ho jis mai mukhil
Zindgi mai is qadar hum ne sukoon paaya na tha

Khoob roye chhip ke ghar ki chaardeewari mai hum
Haale dil kehne ke qabil koi hamsaaya na tha

Ab khula jhonkon ke peeechey chal rahi theen aandhiyan
Ab jo manzar hai wo pehle to nazar aaya na tha

Sirf khushboo ki kami thee ghaur ke qabil Qateel
Warna gulshan mai koi bhi phool murjhaya na tha

· 1 Like · Dec 05, 2018 at 00:12
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Garmii E Hasarat E Naakaam Se Jal Jaate Hain

garmii-e-hasarat-e-naakaam se jal jaate hain
ham charaaGon kii tarah shaam se jal jaate hain

Khudanumaii to nahi shevaa-e-arabaab-e-vafaa
jin ko jalna ho vo aaraaam se jal jaate hain

shamaa jis aag men jaltii hai numaaish ke liye
ham usii aag men gumanaam se jal jaate hain

jab bhii aataa hai meraa naam tere naam ke saath
jaane kyuN log mere naam se jal jaate hain

rabtaa baaham pe hamen kyaa na kahenge dushman
aashna jab tere paiGaam se jal jaataa hai

· 2 Like · Dec 04, 2018 at 17:12
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Raabta Laakh Sahi Qaafla Salaar Ke Saath

Raabta laakh sahi qaafla salaar ke saath
Hum ko chalna hai magar waqt ki raftaar ke saath

Gham lage rehte hain han khushi ke peechhey
Dushmani dhoop ki hai saaya - e- deewar ke saath

Lafz chunta hoon to mafhoom badal jaata hai
Ik na ik khauf bhi hai jurrate izhaar ke saath

Dushmani mujh se kiye ja magar apna ban ker
Jaan le le meri sayyed magar pyaar ke saath

Do ghadi aao mil aayen kisi Ghalib se Qateel
Hazrate Zauq to wabasta hain darbaar ke saath

· 1 Like · Dec 04, 2018 at 11:12
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Yaaro Kisii Qaatil Se Kabhii Pyaar Na Maango

yaaro kisii qaatil se kabhii pyaar na maaNgo
apne hii gale ke liye talavaar na maaNgo

gir jaaoge tum apane masiihaa kii nazar se
mar kar bhii ilaaj-e-dil-e-biimaar na maaNgo

khul jaayegaa is tarah nigaahon kaa bharam bii
kaaNTon se kabhii phuul kii mahekaar na maaNgo


sach baat peh miltaa hai sadaa zahar kaa pyaalaa
jiinaa hai to phir jiine ka izahaar na ma.Ngo

us chiiz kaa kyaa zikr jo mumkin hii nahin hai
seharaa men kabhii saayaa-e-diivaar naa maaNgo

· 1 Like · Dec 04, 2018 at 05:12
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Kiyaa Hai Pyaar Jise Hamane Zindagii Kii Tarah

kiyaa hai pyaar jise hamane zindagii kii tarah
vo aashna bhii milaa hamase ajanabii kii tarah


barhaa ke pyaas merii us ne haath chhoD diya
vo kar rahaa thaa muravvat bhii dillagii kii tarah


kisay Khabar thii barhegii kuchh aur taariikii
chhupegaa vo kisii badalii mein chaaNdanii kii tarah


kabhii na sochaa thaa hamane Qateel us ke liye
karegaa ham peh sitam vo bhii har kisii kii tarah

· 1 Like · Dec 03, 2018 at 20:12
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Bhool Sakta Hai Bhala Koun Yeh Pyari Aankhain

Bhool Sakta Hai Bhala Koun Yeh Pyari Aankhain
Rang Mein Doobi Hui Neend Say Bhari Aankhain

Meri Her Saans Ne Her Sooch Ne Chaha hai Tumhain
Jab Se Dekha Hai Tumhain, Tab Se Saraha Hai Tumhain
Bas Gai Hain meri Aankhon Mein Tumhari Aankhain

Tum Jo Nazron Ko Uthao To Sitare Jhuk Jayen
Tum Jo Palkon Ko Jhukao To Zamane Ruk Jayen
Kyun Na Ban Jaye In Aankhon Ke Pujari Aankhain

Jaagti Raaton Ko Sapnon Ka Khazana Mil Jaye
Tum Jo Mil Jao Jeene Ka Bahana Mil jaye
Apni Qismat Peh Kerain Naaz Hamari Aankhain

· 2 Like · Dec 03, 2018 at 14:12
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Pyaas Vo Dil Kii Bujhaane Kabhii Aayaa Bhii Nahin

pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii nahin
kaisaa baadal hai jisakaa koi saayaa bhii nahin

beruKhii is se bari aur bhalaa kyaa hogii
ek muddat se hamen us ne sataayaa bhii nahin

roz aataa hai dur-e-dil peh vo dastak dene
aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii nahin

sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne
vo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii nahin

tum to shaayar ho 'Qateel' aur vo ik aam saa shaKhs
us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii nahin

· 1 Like · Dec 03, 2018 at 08:12
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Milkar Juda Huey Tou Na Soya Karenge Hum

milkar juda huey tou na soya karenge hum
ek doosre ki yaad meiN roya karenge hum

aaNsoo chalak chalak ke satayenge raath bhar
moti palak palak meiN piroyaa karenge hum

jab dooriyoN ki yaad diloN ko jalaayegi
jismoN ko chaandni meiN bhigoya karenge hum

gar de gaya daga hameN toofan bhi 'qateel'
sahil peh kashtiyoN ko dooboya karenge hum

· 1 Like · Dec 03, 2018 at 02:12
Category: love
 
The BUG-A-SALT In Action
Posted by Interesting Videos
Posted on : Aug 24, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS