Archives

Jokes / Miya Aur Biwi

Haseeb Naqbi

Joke Of The Day

Mareez: Mujhe ajeeb si beemari ho gai hai jab meri biwi bolti hai to mujhe kch sunai nahi deta.
Doctor: yeh beemari nahi tum pe ALLAH ki khaas rehmat hai.

· 6 Like · Jun 02, 2018 at 07:06
Category: miya-aur-biwi
 
Poetry / Sad

Shabana Gul

Tera Muskurate Hoye Aana Hum Ko Acha Laga

Tera Muskurate hoye aana Hum ko acha laga
Wo Tera Sharam se guzar jana acha laga
Door se Dekhna wo Tera Pass aa ker
Nazrain Jhukana acha laga
Wo jo Barson se Tere Seene mai Qaid hai
Aankhon se batana acha laga
Tera jate waqt Murr ker na dekhna
Phir Qadmon ka Ruk jana acha laga
Tuu Falak ki tarha chaya tha Mujh per
Aaj wo Falak ka Toota Tara acha laga
Suna hai Mohabbat mai hote hain her taraf Andhere
Aaj Duniya ka wo Qaul sacha laga.....


· 1 Like · Jun 02, 2018 at 07:06
Category: sad
 
Poetry / Sad

Saeed Sarwar

Hath Mera Ae Meri Parachaai Tuu He Thaam Le.

Hath Mera Ae Meri Parachaai Tuu He Thaam Le
Ek Muddat Se Mujhe Tou Sujhtaa Kuch Bhi Nahin

Shahar.e.shab Mein Koun Sa Ghar Thaa Na Di Jis Par Sadaa
Neend Ke Andhe Musaafir Ko Mila Kuch Bhi Nahin

Umar Bhar Umr.e.Gurezaan Se Na Meri Ban Saki
Jo Kare, Karti Rahe, Main Puchta Kuch Bhi Nahin

Wo Bhi Shaayad Ro Pare Veeraan Kaaghaz Dekh Kar
Main Ne Usko Aakhri Khat Mein Likha Kuch Bhi Nahin...

· 3 Like · Jun 02, 2018 at 00:06
Category: sad
 
Social Wall / Videos

Zaidalit

Desi Aunties Gone Wild!

· 7 Like · Jun 02, 2018 at 00:06
Category: videos
 
Jokes / Miscellaneous

Shayan Shahid

Dukhon Ki Daastan

Teen aadmi apas mai bethe apne apne dukhon ki dastan suna rahe thay.
Pehla: Mai teen saal africa k jangalon mai raha hun.
Dosra: Mai 5 saal arab k sehraon mai rha hun.
Teesra Dukhi andaz mai: Meri bhi to suno, mai bees saal se apni biwi k sath reh raha hun.

· 0 Like · Jun 01, 2018 at 23:06
Category: miscellaneous
 
Poetry / Sad

Ak Motiwala

Tanhai Ka Ehsas

Jab bhi tanhai ka Ehsas had se barh jata hai
Mai apne saaye ko pehlo mai bitha leta hun

· 1 Like · Jun 01, 2018 at 18:06
Category: sad
 
Jokes / Miscellaneous

Ali Awan Malik

Noutanki

''Galileo used lamp to study,
Grahmbell used candle, Shakespeare
used streetlight
.
.
.
.
Moral : Sab apne jaise hi the, Din mai
timepass aur Raat mai nautanki...!''

· 1 Like · Jun 01, 2018 at 16:06
Category: miscellaneous
 
Social Wall / Videos

Zaidalit

Speaking Another Language To Strangers!

· 6 Like · Jun 01, 2018 at 14:06
Category: videos
 
Poetry / Love

Meena Kumari

Little Pause In Love.

Little PAUSE in love♥♥♥
Suno jana..
Kuch dair ruko..
Mujhe kuch kaam karny hain..
Abi kuch farz baqi hain..
Abi muje fone aya hai..
Zruri kam para hai aik..
Kuch rishton k bojh ko..
Bs umr bhar dhona hai..
Meri ik zimadari hai..
Mujhe ik ghar bnana hai..
Ik unchaha bndhan hai..
Muje kul zeest nibhana hai..~
suno aisa karo..
Baarish wali rat se bolo..
Bs kuch din thehar jaey..
Chaand ko mera msg dena..
Ik sham hmara intazar karay..
Taaron bhara asman bhi..
Hamaray sath tk yunhi rahay..
Kaan ki baali..
Kanch ki choori..
Kaali choti..
Haath hinai..
Balon ki wo kaali pin..
Naranji lipstick..
Chunri k pehnaway,.
Moff clr ka urusi jora..
Aur han wo meri nose pin..
Husn ki is chalbal ko..
Sirf aur sirf tmhari khatir..
Mein bhi moakhar krti hun..
Esa kro is arsay mein..
Ap bhi apnay kaam kar lo..
Abhi ham 2no msruf hain..
Mohabat ki takmil mein..
Hamen fursat darkaar hai..
Lekin ye haqiqat hai k..
Tumhen chahna meri fitrat hai..
Tumhen paana meri chahat hai..
Tumhen mangna meri riazat hai..
Aur tum bin jeevan krna.
Mere bas ki baat nahin..
Tao ham thehar k milty hain..
Chalo ham mar k milty hain..

· 0 Like · Jun 01, 2018 at 12:06
Category: love
 
Lahore,Pakistan..How Many LIKES ??
Posted by asiya faheem
Posted on : Mar 04, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS