Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Darta Hai


Yahan Hurr Shaks Hur Pal Haadsa Hone Se Darta Hai
Khilona Hai Jo Mitti Ka Fana Hone Se Darta Hai

Mere Dil Ke Kisi Kone Mein Eik Massom Sa Baccha
Baroon Ki Dekhkar Duniya Bara Hone Se Darta Hai

Na Bus Mein Zindagi Iske Na kaboo Maut Par Iska
Magar Insaan Phir Bhi Kab Khuda Hone Se darta hai

Ajab ye Zindagi Ki Qaid Hai, Duniya Ka Hur Insaan
Rihaai Mangta Hai Aur Riha Hone Se Darta Hai

· 1 Like · Dec 23, 2015 at 23:12
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Main Yeh Kis Key Naam Likhoon Jo Alam Guzar Rahay Hain


Main yeh kis key naam likhoon Jo alam guzar rahay hain
Meray shehar jal rahay hain, Meray log mar rahay hain

Koi ghuncha ho kay gul ho, Koi shaakh ho shajar ho
Woh hawa-e-gulistan hain kay sabhi bikhar rahay hain

Kabhi rehmatain thein nazil is hi khitta-e-zameen par
Wohi khitta-e-zameen hai kay aazaab uttar rahay hain

Wohi taroun ke jhurmat jo hawa main jhooltay thay
Woh fiza ko tak rahay hain tu aah bhar rahay hain

Koi aur to nahin hai pas-e-khanjar aazmai
Ham hi qatal ho rahay hain Ham hi qatal ker rahay hain

· 2 Like · Nov 06, 2015 at 21:11
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Mehengai

Hakumat Ka Her Wada Yahan Wahan Ho Gaya
Atta, Cheeni,Tail Bohut Mehnga Ho Gya

Maheenay Ka Budget Suker Ker Do Tihai Ho Gya
Guzray Ga Sal Kesay Status Symbol Ab Minus Ho Gya

Sham Ho Ya Sehar Ab To Her So Andhaira Ho Gya
Petrol Ko Lagi Aag Ab To Ameer Bhi Gunja Ho Gya
Koi Jena Chahay Ya Na Chahay Ab Merna Asan Ho Gya

· 1 Like · Oct 20, 2015 at 20:10
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Main Kiya Janoo

Kabhi Moosa Hoon Kabhi Firaon Hoon
Maen Kya Janoo Maen Kaun Hoon

Na Mujh Ko Pata Apni Subh Ka Hai
Na Shaam Se Apni Maen Waqif Hoon
Kis Raah Ka Maen Jane Musafir Hoon
Muslim Hoon, Kafir Hoon K Kaun Hoon

Kabhi Moosa Hoon Kabhi Firaon Hoon
Maen Kya Janoo Maen Kaun Hoon

Jis Ghar Men Maen Rehta Hoon
Jis Gali Men Maen Basta Hoon
Jis Mulk Ka Maen Rehayeshi Hoon
Jaane Kyun Ussi Mulk Ka Maen Don Hoon

Kabhi Moosa Hoon Kabhi Firaon Hoon
Maen Kya Janoo Maen Kaun Hoon

· 1 Like · Oct 09, 2015 at 21:10
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Dua Meray Pakistan K Leay

Sab Khush Rahain Abad Rahain
Dil En K Hameesha Shad Rahian

Kareen Ezat Sy Guzar Yahan
Her Pal Ho Qaim Aman Yahan

Hoon Puri Sb Ki Zarortain
Lot Aeain Sb Ke Muskrahtain

Hukmran Ho Emandar Yahan
Ho Qoom Zimay Daar Yahan

Jo Qabil Ho Ussy Pazerai Mily
Her Baigunah Ko Rehai Mily (Dr Qadeer Khan)

Dil Bharyy Hoon Muhabbat K Sath
Na Ho Salook Nafrat K Sath

Rehy Qaim Her Dum Pakistan
Hy Ekhtatam Es Dua K Sath

· 1 Like · Sep 20, 2015 at 22:09
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Pakistan Meri Jaan

Izat Mili Pehchan Bhe Poray Hoay Armaan Bhe
Ye Dharti Pakistan Ki Hy Hamari Jaan Bhe

Is Ki Himat Hy Jo Dykhy Maily Ankh Sy Essay
Es Ki Khatar Lain Gy Jaan Aur Kr Dain Gy Qurban Bhe

Ye Dharti Pakistan Ki Hy Hamari Jaan Bhe

· 1 Like · Sep 20, 2015 at 15:09
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Sada E Laal

Hum Ghariboon Ki Awaz Utthayen Gay
Mat Samjo Sar Jhukayen Gay

Hum 'Sur', 'Dhun' Ki Talwaroon Say
Zulmat Ka Tan Zakhmayen Gay

Hum Jabaroon Kay Ewanoon Tak
Aah-E-Mazloom Pohanchayen Gay

Zuban Hogi Na Ye Band Kabhi
Hum Suli Pay Bi Gungunayen Gay

Hum Faiz-O-Jalib Kay Naghmoon Say
Lahoo Thandda, Garmayen Gay

Hum 'Laal Music Band' Walay
Samraaj Ka Band Bjayen Gay

· 1 Like · Sep 20, 2015 at 08:09
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Ye Jungle Hai

Ye Jungle Hai Yahan Koi Qanoon Nahe
Yahan Apnon Ka Bhi Bakhshta Koi Khoon Nahe

Yahan Har Koi Apni Manmaani Kerta Hai
Yahan Baat Baat Per Hr Koi Jhgerta Hai

Yahan Mohabat Nahe Hr Koi Nafrat Kerta Hai
Yahan Burai He Burai Hy Achhai Ka Junoon Nahe

Ye Jungle Hai Yahan Koi Qanoon Nahe
Yahan Apnon Ka Bhi Bakhshta Koi Khoon Nahe

Na Insafi Ka Yahan Khoob Bol Baala Hai
Lootna Ghasootna Yahan Hukmranoo Ka Aala Hai

Ik Ik Leader Ne Ik Ik Lakh Gunda Pala Hai
Sb Lutery Hain Kisi K Dil Men Mulki Mohabat Ka Shagoon Nahe

Ye Jungle Hai Yahan Koi Qanoon Nahe
Yahan Apnon Ka Bhi Bakhshta Koi Khoon Nahe

· 1 Like · Sep 20, 2015 at 00:09
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Nahe Hen Hm Juda Ye Watan Hamara Hy

Otho Otho K Inkelab Lana Hy
Ye Apna Watan Hy Isay Ham Ny He Bachana Hy

Jala Dia Hy Isy Behasi K Maro Ny
Isay Ham Ny He Pholon Sy Sajana Hy

Hamary Mazhab Ko Badnam Kerny Ki Jo Sazish Hy
Usi Sazish Ko Nakam Ham Ny Kerna Hy

Chalo Chalo K Dushmano Ko Jatana Hy
Nahe Hen Hm Juda Ye Watan Hamara Hy

Chalo Phir Ehad Karo Is Shehr E Watan Ki Khatir
Lahu Ka Ik Ik Qatra Hamay Bahana Hy
Nahi Hen Ham Juda Ye Watan Hamara Hy

· 1 Like · Sep 19, 2015 at 12:09
Category: political
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS