Poetry / Political

Nasim Rana

Teesri Duniya

teesri duniya ko tabha na subh-o-sham karo
hum hain insaan hamara bhi ehteraam karo

samajh rahay ho tum kainaat k rab ho
khuda banay ho karam bhi tu sab pay aam karo

khoon-e-nahuq say buhut haath rang liye tumnay
mashwara manoo muhabbat say sab ko ram karo

hum apnay gham say tafakur say khud hee nimtain gai
tum apnay ghar ki hifaazat ka intezaam karo

jahan jahan bhi gaye maut baant kar aaye
zindagi hansnay lagay koi aisa kaam karo

· 1 Like · Aug 24, 2015 at 10:08
Category: political
 
Poetry / Political

Nafrat Ka Zahar

Arbaab Artaqaa Ka Ye Kaisa Asool Hai

Sehra Me Hai Gulaab Chaman Me Babool Hai

Sehra Me Kho gayi Hai Baharoun Ki Sar Zameen

Gulbaar Mousamoun Ki Tamanna Fuzool Hai

Jis Ko Saleeb Waqt Par Latka Diya Gaya

Shayed K Sach Kaha Hai Yahi Iski Bhool Hai

Apni Anaa Ke Saamne Majboor Hogaya

Hota Jo Sar Ka Taaj Woh Qadmoun Ki Dhool Hai

Apni Hayath Ko Koi Unwaan Na Desaka Dil Ke Lahoo Se Likh Ke

Kahani Malool hai Lamhoun Ki Udti Gird Le

Ab Kis Jagah Panah Jab Gaoun Gaoun Murda Rutoun
Ka Nuzool Hai

khud Apne Jism Wo Ruhh Ka Le Kaise Jaizah Jab

Nafratoun Ka Zahar Lahoo Me Halool Hai

· 1 Like · Jun 19, 2015 at 00:06
Category: political
 
Poetry / Political

Kamran Ullah Khan

kya bayan kya bayan kya bayan

kya bayan - kya bayan - kya bayan
be juban - be juban - be juban

jane kyoon muzse se wo ho gaye
badguman - badguman - badguman

apni kismat me rub ne likhe
imtehan - imtehan -imtehan

dhoondata phir raha hoon tujhe
to kahan - to kahan -to kahan

dil ke gulshan ka wo ho gaya
bagwaan -bagwaan -bagwaan

ab bhi dil hai ye unka magar
neemjan - neemjan - neemjan (bimar)

chod kar sab parinde gaye
aashiyan - aashiyan - aashiyan

bum dhamako ne di hai hume
arthiyan - arthiyan - arthiyan

fasle bas nazar bhar rahe
darmiyan - darmiyan - darmiyan

apni kismat mai 'ghayal' nahi
mehraban - mehraban - mehraban

· 1 Like · Jun 13, 2015 at 13:06
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Yeh Nafrat

Ye Nafrat buri hai,

na Paalo isay.


Dilo mein Khalish hai,

Nikalo isay.


Mahajir naa
pathan na sindhi na punjabi

Phle hain hum musalman phr hain pakistani

Na Iska,Na Uska.

Na mera na tera

Ye Sab ka WATAN hai,

Bacha lo isay

Hum sab ka watan hai
Bachaa lo isay...

"Pakistan zinadabad"

· 1 Like · Feb 27, 2015 at 22:02
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Main Pakistani Hun

Tauheed ka Naara hai, Umeed ka Parcham hai
Apni meri Dharti, Apna Mera Mausam hai
Iss Khhak peh main Qurbaan, Iss ki hi Deewani hun

Main Pakistani Hun..
Main Pakistani Hun..!!

In Paak Fizaon main goonjay gi meri Dhaarkan
Chamkay gi meri chokhat, mehkay ga mera aangan
Main Apnay Buzurgo k, Khwabon ki Nishani hun

Main Pakistani Hun..
Main Pakistani Hun..!!

Dushman keliye Shola, Apno keliye Shabnam
Baatil keliye bijli aur Haq keliye Sir' khum
Jazbon ka Samandar hun, Maujon ki Rawani hun

Main Pakistani Hun..
Main Pakistani Hun..!!

Meri Zaat k Angan main, jo Sabz Ujala hai
Iss Chaand Sitaray k, Parcham ka hawala hai
Main Iss k hawalay se, Khud ko Pehchani hun

Main Pakistani Hun..
Main Pakistani Hun...!![

· 1 Like · Feb 06, 2015 at 20:02
Category: political
 
Poetry / Political

H.u.rehman

Terrorism (nazam)

deko ، dour ik laash paree hai

kay dayen janib

konay par sunsaan gali kay

kachra daikh rahay ho

uss kay paas lahoo mein luthri

khaak aloodah ، bhikri bhikri

ghair ya apna ، kaun hai jaaney

aao dekhin aur pehchanen

naqsh mita daalay goli nay

rangat khoon mein doob gayi hai

jayb tatolo ، kya rakha hai

ye dou khoon say tar hain

das das kay dou nott rakhe hain

haath jo neechay daba howa hai

iss ki sakht giraft mein kya hai

shayad hai school ka basta

jayb say ye kya jhaank reha hai

ik parcha hai ، khat hai shayad

toty phooti si urdu mein

rang birangi pislon kay

sab rangon say likha howa hai

" aaj jo basta mera

ho jaye gi tum say

aur biscuit bhi lana ،

pyare abboo ! jaldi aana ! ! "

· 2 Like · Feb 06, 2015 at 14:02
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Mairay Watan Kay Loug

gham zeist say bay zaar hain mairay watan kay log
mahngai ka shikar hain mairay watan kay log

hain muntazir to badlay ga nizaam
taa umar intzaar me hain mairay watan kay log

po choo to in ki dastaan gham say bhari hui
daal to khush gawaar hain mairay watan kay log

meli nazar jo daalay ga iss sar zameen par
usi kay liye talwar hain mairay watan kay log

mukhlis tmhari soch ki gehrai daal kar
milnay ko bay qarar hain mairay watan kay log

· 1 Like · Jan 15, 2015 at 16:01
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Tuloo Sehar

teree manzil sehr say hai gafil
to raat peh iktifa nah kar

to hai parwar daaye ahal hukam
ki kisi baat peh iktifa nah kar

apni zaat mein sahab kar paida
mangi hui barsaat peh iktifa nah kar

faqa masti behtar hai aseeri say
yoon ghairon ki khairaat peh iktifa nah kar

kuch kar tudaaruk apnay tang ayyaam ka
in rawaan halaat peh iktifa nah kar

· 2 Like · Jan 15, 2015 at 10:01
Category: political
 
Poetry / Political

Muzammil Shahzad

Kaash ?

Leader Jaali Naaray Khaali
Awam Baichari Dukhoon Ki Mari

Vote Be Dalain Khun Bhi Bhaain
Phir Be Koi Murad Na Paain

60 Saloon Say Wohi Kahani
Awam Ka Band Hai Dana Pani

Jarsi Mehngi Tind Nangi
Is Say To Hai Maot He Changi

Na Saans Chalay Gi Na Dil Jalay Ga
Misayal Say Goya Chain Milay Ga

Kaash Magar Wo Din Be Aaiy
Mulak Main Koi Inqalab Laiy

Saaray Watan Ko Wo Qaomeaay
Zulmat Ka Jug Say Dagh Mittay

Mehloon Bangloon Ko Aaag Lagaay
Ghariboon Ko Unkay Hakooq Dilaye

Insaan To Dour Bakri Ka Bacha
Bhi Mulak Main Uskay Soay Na Bhuka

Ghurba Kay Bachay Be Jahan School Jaain
Parrh Likh Kay Wo Naam Kamaain

Kisan-O-Hari Fakoon Maray Na
Mazdoor Bhi Apnay Bhatteoon Main Saday Na

Log Be Apnay Aapas Main Laray Na
Na Katl-O-Gharat Na Ho Badkari
Band Ho Mulak Say Choor Chkaari

Chman Chman Main Aman Aman Ho
Sab Logoon Ka Aik Watan Ho

· 1 Like · Jan 15, 2015 at 04:01
Category: political
 
Word Crimes
Posted by Funny Videos
Posted on : Aug 04, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS