Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Mera Tehvaar Tu Tum Ho

Na Main Ne Chaand Ko Dekha
Aur Na Koi Tahinat Ka Phool Khirki Se Uthaya
Mera Malboos Ab Bhi Malgaja Hai
Hina Se Hath Khali Aur Chori Se Kalai
Na Merey Paas Thay Tum Aur
Na Merey Shehar Sey Guzrey
Main Kia Afshaan Lagati
Maang Main Sindoor Bharti
Rung Aur Khushboo Pehanti
Chaand Ki Janib Nazar Kerti
K Meri Lazzat-E-Deedar To Tum Ho
Mera Tehwar To Tum Ho !

(Perveen Shakir)

· 1 Like · Feb 08, 2015 at 03:02
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Eid...hai...

Iss Qeemati Pal Sey Muhabbat Karo K Eid Hey
Ilyaas Rang Sey Gham Ghalat Karo K Eid Hey

Khushi Hey Sabko Jo Hamaara Milan Nahin Hey
Mujh Ghareeb Sey Baat Mat Karo K Eid Hey

Ittifaaq Sey Mujhsey Bhi Koyi Milney Aagaya
Isey Mithhaayi Dey Key Rukhsat Karo K Eid Hey

· 2 Like · Feb 07, 2015 at 21:02
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Naya Saal

Raat Kat Gayi Parda Hey Shaq
Qul A'oozu Birabbil Falaq
Yeh Jo Naqsha Jama Hey Teira
Khof Sey Meira Rang Hey Faq
Abhi Paas Aao Tafrih Hey Yeh
Aasman Kehin Sik'ha Na Dey Sabaq
Log Hein Keisa Yeh Meil-Jol Hey
Ishq Ka Sehra Hey Yeh Laq-O-Daq
Wa'iz Ko Jannat Ki Barri Parri Hey
Munn Sey Kehta Rehta Hey Hu-Haq
Na Hon Phool To Kayein-Kayein
Is Sey Bhi Baagh Ki Hey Ronaq
Abhi Talak Jo Tha Tu Ney Parrh Liya
Khoaja Aur Dek'ho Ulat Do Waraq.

· 1 Like · Feb 07, 2015 at 14:02
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Ab K Baras

Pichlee raat ki nurm chandni shabnam ki khunki se rachi hai
yun kehne ko us ka tabassum, barq sifat hai shula numa hai

waqt ko mah-o-saal ki zanjeeroon mein jakarr ker kia paya hai
waqt to mah-o-saal ki zanjeeroon mein aur bhi taiz barha hai

ik masoom sey piyar ka tuhfa, ghar key aangan mein paya hai
us ko gham key pagalpan mein kothey kothey baant dia hai

nazam, ghazal, afsana, geet,aik tera hee ghum tha jis ko hum ne
kaisa kaisa naam dia hai, kaisay kaisay baant lia hai

aahoon kay baadal kyun dil mein bin barsey he loat gaey
ab key baras sawan ka maheena kaisa piyassa piyassa gaya hai

· 1 Like · Feb 07, 2015 at 08:02
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Teri Baat!

aah! ye baaraanii raat

mii.nh, havaa, tuufaan, raqs-e-saayeqaat

shash-jahat par tiirgii umaDii huii

ek sannaaTe me.n bazm-e-hadasaat

aur merii khiDakii ke niiche

kaa.Npate podon ke paat

chaar suu aavaaraa hai.n

bhuule basare vaaqayaat

jhakka.Do.n ke shor me.n

jaane kitanii duur se

sun rahaa huu.N terii baat

· 1 Like · Feb 07, 2015 at 02:02
Category: occassional-events
 
Poetry / Occassional Events

Eid (pak Old)

Dil yeh kahta hay
Eid tum ne khub manayi ho gi
Bhula kar pardees ko
Mehfil eish bhi sajayi ho gi

Bichre huwe is badnaseeb ka
Khayaal bhi aya ho ga
Jab maang tum ne apni sitaroon
Se sajayi ho gi

Chand lamhe mazi ki yaad main
Khoye to ho ge
Jab aiyne ko tum ne shakal apni
Dekhayi ho gi

Do aansuon ne bhi rukh_e_zeba ko
Chuma to ho ga
Guzri hui yaad Eid jab tum ko
Ayi ho gi

Jab kahi apnon ko tum ne bhi
Milte to dekha ho ga
Tasawour main tasveer tum ne
Bhi banayi ho gi

Eid ka din hay
Khushyon main gum kar lo khud ko
Yeh samjh kar k is main bhi
Bahlayi ho gi

Tum khush raho ge idar bhi ho ga
Sukh naseeb
Warna samjh lo yeh aankh
Yahan bhi bhar ayi ho gi

Kismat ko jo huwa manzoor
To ho ga kabhi wasaal Eid
Is din chaand sitaroon ne bhi
Mehfil sajayi ho gi

Hans kar zara ab tasawour
Feda main chale aoo
Jab samjh lo k ab main ne
aankh melayi ho gi

· 1 Like · Oct 21, 2014 at 15:10
Category: occassional-events
 
There is no row at position 88.There is no row at position 89.There is no row at position 90.
Need Atleast 1000 Likes !!
Posted by kashif mali
Posted on : Mar 07, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS