Poetry / Occassional Events

Muzammil Shahzad

Pichlee raat ki nurm chandni shabnam ki khunki se rachi hai
yun kehne ko us ka tabassum, barq sifat hai shula numa hai

waqt ko mah-o-saal ki zanjeeroon mein jakarr ker kia paya hai
waqt to mah-o-saal ki zanjeeroon mein aur bhi taiz barha hai

ik masoom sey piyar ka tuhfa, ghar key aangan mein paya hai
us ko gham key pagalpan mein kothey kothey baant dia hai

nazam, ghazal, afsana, geet,aik tera hee ghum tha jis ko hum ne
kaisa kaisa naam dia hai, kaisay kaisay baant lia hai

aahoon kay baadal kyun dil mein bin barsey he loat gaey
ab key baras sawan ka maheena kaisa piyassa piyassa gaya hai

Advertisement
· 1 Like · Feb 07, 2015 at 08:02
Category: occassional-events
 

Latest Posts in poetry

Yuvi imitates Murali!
Posted by Funny Videos
Posted on : Aug 24, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS