Poetry / Love

Zulf Raaton Si Hai Rangat Hai Ujaalon Jaisi

Zulf raaton si hai rangat hai ujaalon jaisi
par tabiat wohi hai bholnay walon jaisi

Ik zamanay ki rifaqat pe bhi ram-khorda hai
us kam aamaiz ki khu bu hai ghazalon jaisi

Dhoondta phirta hoon logon mein shabahat uski
ke woh khuabon mein bhi lagti hai khayalon jaisi

Uski batain bhi dil awaiz hain surat ki tarah
meri sochain bhi paraishan mere balon jaise

Uski ankhon ko kabhi ghor se daikha hai Faraz
sonay walon ki tarah jagnay walon jaisi

· 1 Like · Jun 16, 2017 at 01:06
Category: love
 
Poetry / Love

Baandh Lain Hath Pe Seenay Pe Saja Lein Tum Ko

Baandh Lain Hath Pe Seenay Pe Saja Lein Tum Ko
Jee Main Ataa Hai Ke Taweez Bana Lain Tum Ko

Phir Tumhe Roz Sanwarain Tumhe Bharrta Dekhin
Kiun Na Angan Main Chanbaili sa Lagga Lein Tum Ko

Jaise Baloon Main Koi Phool Chunna Karta hai
Ghar Ke Guldaan Main Phooloon Sa Saja Lein Tum Ko

Kya Ajab Khwahish Othti Hai Humare Dil Main
Kar Ke Munna Sa Hawaoon Main uchalain Tum Ko

es Kader Toot Ke Tum Pe Humein Pyar Ata Hai
Apnii Bahoon Main Bharain Maar He Daalein Tum Ko

Kabhi Khowaboon Ki Tarah Ankh Ke Parday Main Raho
Kabhee Khwahish Ki Tarah Dil Main Bulain Tum Ko

Hai Tumhare Liye Kuch Aise Aqidat Dil Main
Apne Hathoon Main Duaoon Sa Uthaa Lein Tum Ko

jAan Denay Kii Ijazat Bhe Nahi Detay Ho
Warna Mar Jayin Abhee Mar Ke mana Lein Tum Ko

Jis Tarah Raat Ke Seenay Main Hai Mehtaab Ka Nuur
Apne Tareek Makanoo Main Saja Lein Tum Ko

Ab Toh Bas Ek He Khwahish Hai Kisi Morr Per Tum
Hum Ko Bikheray Hue Mil Jao Sanbhalain Tum Ko

· 1 Like · Jun 15, 2017 at 12:06
Category: love
 
Poetry / Love

Yehi Sochti Mein Chali Gaie

woh khaloos tha ke khumar tha
woh janoon tha ke saraab tha
mujhey sochney mein zamana laga
mujhey manzilon ne bhula diya
mujhey jis masiha pe maan tha
mujhey us ne sooli charha diya

kai humsafar kai rehguzaR
mujhey rastey mein miley magaR
meri tishnagi kuch or hai
meri justajoo koi or hai

woh jo roshni ki tarha barheY
magar ansuon mei sama sakeY

jo subha ki pehli kiran bane
mujhey us wafa ki talaash hai

magar es jahan-e-kharab meiN
yahan khowishoN ke saraab meiN
mujhey kaun de aise wafa
mein kahan se laoon woh wafa
inhi uljhanoN meiN ghiri huwi
yehi sochti mein chali gaie

· 1 Like · Jun 14, 2017 at 17:06
Category: love
 
Poetry / Love

Mujhay Apna Sitara Dhoondna Hai

sitaron say bharay es aasman ki vusaton men

mujhay apna sitara dhoondna hai

na us ka naam hai maloom, na koi nishani hai

bus itna yaad hai mujh ko

azal ki subha jab saray sitaray

alwidai guftagu kartay huay raston pay niklay thay

to us ki aankh men ik aur tara jhilmilaya tha

usi taray ki surat ka

meri bheegi hui aankhon men bhi ik khvab rehta hai

mein apnay aansuon men apnay khowabon ko sajata hoon

aur uski raah takta hoon

suna hai gumshuda cheezen

jahan pay khoi jati hain

wahin say mil bhi jati hain

MUJHAY APNA SITARA DHOONDNA HAI

· 1 Like · Jun 14, 2017 at 09:06
Category: love
 
Poetry / Love

Akelay Tum Nahi Kehtay

Akelay TUm nahi kEhtay..

TumHare IshQ meIn JaaNa

MerAy sAb DosT GhAr WalaY

MuJhE AawaRa kEhtAy HaiN

MeRi mAnZil kaHan hO tUm?

SaFar Ab kItNa BaQi hAi?

MerAy PaAon kay Ye Chaalay

MuJHe AaWaRa kEhtAy HaIn

TumHari YaaD SE fUrSat ho

ToU iNki Bhi SuNon bAteIn

MeRay kAmRey kay YeH jaalay

MuJhE AaWaRa kehTaY hAiN

TeRay NaiNo kI MaSti MeIN

MAin ApNa aAp khO bEtHa

ShaRabOn kay BhaRaY piyalay

"MujHe AaWaRa KehTay HaiN"

· 1 Like · Jun 13, 2017 at 20:06
Category: love
 
Poetry / Love

Usay Jab Yaad Aaye Ga, Ke Saawan Laut Aaya Hay

usay jab yaad aaye ga, ke saawan laut aaya hay
bula le ga wo mujh ko ya khud hi laut aaye ga

usay jab yaad aaye ga, main kaise muskuraata tha
to aankhein muskurayen gi, ya daaman bheeg jaaye ga

usay jab yaad aaye ga, main kaise naam leta tha
to mera naam likhe ga, ya apna bhi mitaaye ga

usay jab yaad aaye ga, mera khaamosh sa rehna
to sab ko bol de ga wo ya khud se bhi chupaaye ga

usay jab yaad aaye ga, mera nange sar phirna
to bijli ban ke karkay ga, ya baadal ban ke chaaye ga

usay jab yaad aaye ga, mera chalna, mera phirna
to raah mein khaar boye ga, ya phir palkein bichaye ga

· 1 Like · Jun 13, 2017 at 14:06
Category: love
 
Poetry / Love

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Kay Dekhtay Hain
So Hum Bhi Hoslay Apnay Jigar Kay Dekhtay Hain

Ragon Men Dourta Phirta Hai Wo Lahu Ban Kar
Usay Hum Apnay He Dil Men Utar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Sabr Say Jo Bhi Milay Wo Nourus Hai
So Hum Bhi Zaiqay Apnay Samar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Us Kay Bhi Dil Men Khayal Paltaay Hain
So Es Khayal Ko Tehreer Kar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Us Ki Maseehai Ka Hai Rang Juda
So Aaj Hum Bhi Hawa Men Bikhar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Uski Nigaahen Bhi Shair Kehti Hain
So Aaj Hum Bhi Qareenay Nazar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Zoam Hai Usko Kuch Apnay Khowabon Par
So Us Kay Khvab Ko Tabeer Kar Kay Dekhtay Hain

Suna Hai Muunh Say Jo Niklay Qabool Hota Hai
So Hum Bhi Moajzay Lail e Qadr Kay Dekhtay Hain

Wo BayWafa Hai Usay Pas e Ishq Raas Nahi
Muhabbaton Say Hum Apni Mukar Kay Dekhtay Hain.

· 1 Like · Jun 13, 2017 at 08:06
Category: love
 
Poetry / Love

Meri Mohabbat Kabool Ker Lo

Meri mohabbat kabool ker lo
garib shayer ke ansoon ka hakeer
tohfa kabool ker lo.

Meri mohabbat main saadgi hai
meri mohabbat main aashti hai,
Meri mohabbat main shayari hai
ye shayari bhi to aapki hai.

Meri mohabbat hai chand jaisi
jo shab main kirnain luta raha hai,
Meri mohabbat hai phool jaisi
jo her ghari muskara raha hai

Mujhe to kuch iska gam nahin hai
ki meri duniya main gam hi gam hai,
Meri mohabbat chakor jaisi ki jisme
jitna ho Naz kam hai.

Meri mohabbat kabool kerlo !

· 1 Like · Jun 13, 2017 at 02:06
Category: love
 
Poetry / Love

Mili Har Qadam Per Rafaqat Tumhari

Mili Har Qadam Per Rafaqat Tumhari
Kahan Hum Kahan Yeh Inayat Tumhari

Humay Chahiya Bus Taaluq Tumhara
Muhabbat Milay Yah Adawat Tumhari

Kisi Say Bhe Milna Usay Jeet Laina
Bari Dil Nashen Hay Yeh Adat Tumhari

Na Dekha Jahan Main Koi Aur Tum Sa
Bari Munfarid hay Tabiyat Tumhari

Hum hain Zindagi K Kaien Rastoon Par
Hamesha Rahay Ge Zaroorat Tumhari

· 2 Like · Jun 12, 2017 at 08:06
Category: love
 
Assalm-o-Alaikum..!
Posted by maria waheed
Posted on : Jul 18, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS