Poetry / Love

Sabaat

muhabaton ke cheragh jaisa
saba kii zinda dili ka hasil
baRa hii pyara sa tha wo ik shakhs
usii kii yadon k hii sahare
hararat-e-jism-o-jaan hay baqi
mere takhayyul mein hay wo ab bhi
adeem hay wo to kya gaya hay
rahe ga baqi wajood uska mere takhayyul kii anjuman mein
usii kii yadon ka hay aahata charo janib mere badan ke
junoon mera isii wajah se thama hua hay
agar kabhii jo mila wo mujh se, koii bataye
rahe ga kyun'kar sabaat mujh ko?

· 1 Like · Jul 12, 2017 at 06:07
Category: love
 
Poetry / Love

Naye Dinon Ke Naye Safar Main Dhayan Rakhna

naye dinon ke naye safar main dhayan rakhna
khamosh, chup chap
kuch na kehti in saaton ne
sonp dale naye taqazay rafaqaton ke
dhayan rakhna
ke apne hisse ke sab taqazay nibhane hain
sath chalte hoye safar main
her ik dagar pe chahaton ke ghulab likhna
warq warq aitamad jis main
harf harf main ho jaan nisari
naii khushiyan, naye manazir
naii misalein, naye hawale
bus aik aisi hi muhabtoon ki kitaab likhna
naye dinon ke naye safar main

· 1 Like · Jul 11, 2017 at 15:07
Category: love
 
Poetry / Love

Kabhi Yaad Aaey Tu Puchna

kabhi yaad aaey tu puchna
zara apni khalwat-e-sham say

kisey ishq hai teri zaat say
kisay pyar hai tery naam say

wo jo ji uthaa tery naam say
wo jo mar mita tery naam pay

na kabhi visaal ki chah ki
na kabhi firaaq main Aah ki

ke mera tareeqa-e-bandagi
hai juda tareeqa-e-Aam say.

· 2 Like · Jul 11, 2017 at 09:07
Category: love
 
Poetry / Love

Kal Chodween Ki Raat Thi

Kal chodween ki raat thi, shab bhar raha charcha tera
Kuch ne kaha yeh chand hai, kuch ne kaha chehra tera

Hum bhi wahin mojood the, hum se bhi sub ne poocha
Hum huns diye hum chup rahe, manzoor tha parda tera

es sheher mein kis se milein? Hum se to choote mehfilein
Her shakhs tera naam le, her shakhs deewana tera

Kooche ko tere chor ker jogi hi ban jaein magar
Jungal tere, parbat tere, basti teri, sehra tera

Hum or rasm-e-bandagi? aashuftagi? uftadgi?
Ehsan hai kia kia tera? Ay husn-e-be parwah tera

Wo ashk jane kis liye, palkon pe aa ker tik gaye
Altaaf ki barish teri, ikraam ka darya tera

Hum per yeh sakhti ki nazar? Hum hain faqeer-e-rahguzar
Rasta kabhi roka tera? Daman kabhi thama tera?

Be dard sunani ho to chal, kia achi kehta hai ghazal
Aashiq tera, ruswa tera, shair tera, Insha tera

· 1 Like · Jul 09, 2017 at 20:07
Category: love
 
Poetry / Love

Suno Ek Bat Kehni Hay

Suno Ek Bat Kehni Hay
Jo Kehni Bhi Zaruri Hay

Na Keh Paenge Phir Tumse
Jo Bs Tumse Hi Kehni Hay

K Yun Naraz Ho Kr Tum
Mere Dil Ko Dukhate Ho

Meri Tanhai Men Bhi
Mujhe Aa Kr Rulate Ho

Mere Zakhmon Pe Marhm Bhi
Jata Kr Tum Lgate Ho

Hui Mujhse Jo Ghalti Bhi
Mujhe Ab Maaf Bhi Kr Do

Bhala Dil Ko Dukha Kr Tum
Sukun Kese Yun Patay Ho

Suno Ab Bhool Bhi Jao
Jo Baten Hen Purani Si

Jo Sab ko Dukh Hi Deti Hen
Unhen Dafna K Tum Aao

Mujhe Sung Apne Le Jao
Khushi Hum Mil K Bantain Ge

Suno Ek Bat Kehni Hay

· 1 Like · Jul 09, 2017 at 07:07
Category: love
 
Poetry / Love

Tumhara Khat Mila Jana

Tumhara Khat Mila Jana
Woh Tum Ne Jis Main Pucha Hai
K Ab Halaat Kese Hain
Mere Din Raat Kese Hain
Meharbani Tumhari Hai
K Tumne es Tarha Mujhse
Mere Halaat Puche Hain
Tumhain Sub Kuch Bata Donga
Mujhe Itna Bata Do K
Kabhi Sagar Kinary Per
Kisi Machhli Ko Dekha Hai
K Jisko Lehrain Pani Ki
Kinaray Tak To Laati Hain
Magar Phir Chor Jati Hain
Mere Halaat Aisay Hain

· 1 Like · Jul 08, 2017 at 19:07
Category: love
 
Poetry / Love

Hum Nay Teri Ibadaat Kabhi Be Wuzu Na Ki

Woh Chahta Tha Phir Bhi Koi Guftago Na Ki
Main Nay Bhi Poochnay Ki Justajoo Na Ki

Tasveer Teri Dekh Kar Ankheein Chalak Parein
Hum Nay Teri Ibadaat Kabhi Be Wuzu Na Ki

Baithay Rahay Chup Chap Hum Pardah Nasheen K Paas
Musa Ki Tarhan Dekhnay Ki Arzoo Na Ki

Woh Hay Nasha-e-Ishq Ki Lazat Say Bay Khabar
Jis Nay Ye Zindagi Kabhi Nazar-e-Subo Na Ki

Karta Raha Biyaan Woh Gheroon Kay Samanay
Us Nay Kabhi Shekayat Merey Roo ba Roo Na Ki

KyuN Dil Mein Chupaye Rakhay Hain Hum Nay Raaz-e-Ishq
Ahel-e-Janoon Ki Baat Kabhi Koo ba Koo Na Ki

Milta Nahi Hay Us Ko Shahadat Ka Martaba
Rah-e-Kudha Mein Jis Nay Ye Gardan Lahoo Na Ki

· 1 Like · Jul 08, 2017 at 12:07
Category: love
 
Poetry / Love

Log Kehtey Hein Kaisi Ajeeb Larki Hoon

Log kehtey hein kaisi ajeeb larki hoon..
per zindagi sey qareeb larki hoon,

Chahatoon ki chahat mey khud ko hi badal dala....
per chahatoon key mamley mey
main bilkul ghareeb larki hoon,

Samjha hey mujh ko usney, jisey janti nahi main....
Mujhey chahta hey laikin yeh manti nahi main....

Main apney aap ki shayed...
khud hi raqeeb larki hoon...
Kaisi ajeeb larki hoon,

Meri zindagi ka hey falsafa…
mery pyar me bhi mantaq hey,

Usey chahoon sirf, jesey paa sakoon,
jo na miley tu bhula sakoon,

naye deep phir sey jala sakoon,
naye khawab aankhoon mey saja sakoon,

Yeh hi pyar hey, yeh hi zindagi..
Yeh hi hey haqeeqi bandagi,

per yeh baat jab kabhi bhi...
kisi ko samjha nahi sakti,
faqat itna hi kehti hoon...

haan main ik ajeeb larki hoon...
per zindagi sey qareeb larki hoon.

· 2 Like · Jul 08, 2017 at 00:07
Category: love
 
Poetry / Love

Halat E Dil Bhi Kia Ajab Ho Gi

Halat-e-dil bhi kia ajab ho gi
Bat meri jo zair-e-lab ho gi
Tm aty ho to phool khiltay hain
Or es dil ki kia talab ho gi
Wada pyar ka jb wafa hoga
Or kitni taveel wo shab hogi
Walehana jo meri chahat hai
Tm bano gaye mery to be sabab ho gi
Subah tk tm hogay rukh pheray
Hashar ki subah or kb hogi
Nazuk badan sy jb uthy ga naqaab
Chandni me nahai shab hogi
Jb jalayen gay kashtiyan sari dost
Dastaras zindagi pe mukamal tb ho gi.

· 1 Like · Jul 06, 2017 at 17:07
Category: love
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS