Poetry / Love

Baar E Muhabbat

Suno jana!
Yun tanha ab akailay..
Raat bhar jaaga nahin jata.
K tanha bojh chahat ka…
Tou ab uthta nahin mujh say,
Suno!
Kia aisa ho nahin sakta…
K
Aadhi raat ko..
Kuch dair sahi….
Tum agar jago?
Ye chahat ka haseen aik bojh,
Aadha hi sahi….
Tum baant lo mujh say,
Phir aadha dard tum lay lo…
Phir aadhay khwaab tum daikho..
Ye dil ki beqarari…
Mujh say aadhi baant lo tum bhi,
Tou ab tum hi kaho jana!
Phir es baar-e-muhabbat ko…
Tum aadha baant lo gay naa...?

· 1 Like · Nov 10, 2017 at 08:11
Category: love
 
Poetry / Love

Tumhay Zidd Hai K Main Keh Doon

Tumhay zidd hai k main keh doon
Mujhay zidd hai k tum keh dou
Mujhay tum say mohabbat hai
Kaho mujh say mohabbat hai
Nahin yeh jantay dono
Mohabbat kab bhala mohtaaj hai lafzo ki
Mohabbat tou hamari dharkano ki saaz main shamil
Surelay geet ki manind
Mohabbat yaad ki devi
Jo tanha raat ko aksar utar aati hai aankho main
Mohabbat muskurahat hai haseen nazuk say honto main
Mohabbat sandali haathon ki nazuk larzish main hai
Mohabbat soch ki gehraiyon say phootti khushboo
Hamesha saath rehti hai
Mohabbat aankh main palta woh pur israr jazba hai
jisey ab tak nahin koi samajh paya
Na es ki koi surat hai
Na es ka koi paymana
Dhekay alfaaz main es ka bohat izhar hota hai
Kuch aisay he k jaisay aab
Tah-he-dil say tou hum dono bohat iqrar kartey hain
Magar phir bhi na janay kiyon
Tumhe zidd hai k main keh doon
Mujhey zidd hai k tum keh dou
Mujhay tum say mohabbat hai...!

· 1 Like · Nov 10, 2017 at 02:11
Category: love
 
Poetry / Love

Tareef Karoon Agar Main Tumhari

Tareef karoon agar main tumhari
Sochta hun andaaz-e-bayaan kya hoga
Ghazal sunaoon auron k kalam se
Par unme aakhir naya kya hoga!

Tohfa doon agar main tumhe
Na kaafi gul-e-gulaab hoga
phir sochta hun jaan or ruh doon tumhe
Bhala isse nayaab aur kya hoga!

Samet loon agar tumhe ek lafz me
Chota jaan-e-wafa hoga
Kamzori nahi ho tum meri
Par es taakat ka naam naya hoga!

Dekhoon agar main tumhari nazron me
Ajab saa haal mera hoga
Main ki zaroorat nahi aainda
Usme tumsa nasha hi kya hoga!

Chhoo loon agar main tumhe
Bada kanpta sa haath mera hoga
Kaanch ki bani si tum
Toot gayin to mera kya hoga!

· 1 Like · Nov 09, 2017 at 20:11
Category: love
 
Poetry / Love

Bisaat E Jaan Pe Azab Utarte Hain Kis Tarah

Bisaat-e-jaan pe azab utarte hain kis tarah

Shab-o-roz dil pe ataab utarte hain kis tarah

Kabhi ishq ho to pata chaley

Ye jo log se chuppay huey hain pas-e-dostaan

To ye kon hain?

Ye jo rog se hain chuppay huey pas-e-jism-o-jan

To ye kis liye?

Ye jo kaan hain meri aahaton pe lagey huey

To ye ku bhala?

Ye jo hont hain saf-e-dostaan main siley huey

To ye kis liye?

Ye jo iztaraab racha hua hai wajood main

To ye kun bhala?

Ye jo sang sa koi aa gira hai jamood main

To ye kis liye?

Ye jo dard dil main chira hua hai lateef sa

To ye kab se hai?

Ye jo putliyoun main hai aks koi khafeef sa

So ye kab se hai?

Ye jo aankh main koi baraf si hai jami hui

To ye kis liye?

Ye jo doston main nayi nayi si kami hui

To ye kyun bhala?

Ye jo log peechey parey huey hain fazool main

Unhain kya pata unhain kya khabar?

Kisi raah k kisi mor per jo unhain zara

Kabhi ishq ho to pata chaley...?

· 1 Like · Nov 07, 2017 at 17:11
Category: love
 
Poetry / Love

Mile Kisii Se Nazar To Samajho Gazal Hoi

mile kisii se nazar to samajho Gazal hoi
rahe apanii Khabar to samajho Gazal hoi

milaa ke nazaron ko vo hayaa se phir
jhukaa le ko_ii nazar to samajho Gazal hoi

idhar machal kar unhen pukaare junuuN meraa
bhaDak uThe dil udhar to samajho Gazal hoi

udaas bistar kii silavaTain jab tumhen chubhen
na so sako raat bhar to samajho Gazal hoi

vo badgumaN ho to sher sughay na shayari
vo maherban ho Zafar to samajho Gazal hoi...!

· 1 Like · Nov 07, 2017 at 11:11
Category: love
 
Poetry / Love

Kisi Ke Kandhay Se Jo Dupatta Saraktay Dekha

Kisi ke kandhay se jo dupatta saraktay dekha,
Yoon laga jese baadal baraste dekha,

Mehsoos huyi mohabbat ki takat ab,
Apni ankhon se tufaan murrtay dekha,

Maanti thi mantain mere liye jo Khuda se,
Usey kisi aur ko chahte huye dekha,

Jo ubhar gaye thay tere door jane se,
Tere aney per woh zakham bharte huye dekha,

Nahin thi tu tou pass kuch bhi nahin tha,
Tujh se milne par naseeb khultay huye dekha,

Hussain zameen par tarapti huyi machli ki tarah,
Khud ko tere bin machalte dekha...!

· 1 Like · Nov 06, 2017 at 15:11
Category: love
 
Poetry / Love

Chalo Mohsin Mohabat Ki Nayi Bunyaad Rakhte Hein

chalo mohsin mohabat ki nayi bunyaad rakhte hein,
khud paband rehtay hai usay azaad rakhtay hein,

hamare khoon main rab ne yahi taseer rakhi hai,
burai bhool jaty hai achai yaad rakhtay hein,

mohabat main kahien hum se gustakhi na ho jaye,
hum apna har qadam us k qadam k baad rakhte hein...!

· 3 Like · Nov 05, 2017 at 14:11
Category: love
 
Poetry / Love

Main Ne Es Tor Se Tujhey Chaha Aksar

main ne es tor se tujhey chaha aksar
jaisey mehtab ko be ant samandar chahey
jaisey sooraj ki kiran seep k dil main utrey
jaisey khoshbo ko hawa rang se hat kar chahay
jaisey pathar k kalejay se kiran photti hay
jaisey ghunchay khiley mousam se hina mangtey hain
jaisey khowabon main khayalon ki kaman totti hay
jaisey barish ki doa aabla pa mangtey hain
mera har khoab merey sach ki gawahi de ga
wosat_e_deed ne tujh se teri khahish ki hay
meri soochoon main kabhi dekh sarapa apna
main ne dunya se alag teri parastish ki hay...!

· 1 Like · Nov 05, 2017 at 02:11
Category: love
 
Poetry / Love

Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna

kabhi kitabon mein phool rakhna
kabhi darakhton pe naam likhna
hamein bhi hai yad aj tak wo
nazar se harf-e-salam likhna

wo chand chehre wo behki baten
sulagte din the mehakti raten
wo chotay chotay se kaghazon par
muhabbaton k payam likhna

gulab chehron se dil lagana
wo chupke chupke nazar milana
wo arzuon k khwab bunna
wo qissa-e-natamam likhna

mere nagar ki hasin fizao
kahin jo un k nishan pao
to puchna ye kahan base ho
kahan hain un ka qayam likhna

gai ruton mein Hassan hamara
bas ek hi to ye mashgala tha
kisi k chehre ko subah kahna
kisi ki zulfon ko sham likhna...!

· 1 Like · Nov 03, 2017 at 11:11
Category: love
 
This summer may cross 45 degrees.
Posted by ameera gul
Posted on : Jul 31, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS