Poetry / Love

Seddiq Al Khan

Jee Chahta Hai Un Se Pyari Si Baat Ho,

Jee chahta hai un se pyari si baat ho,
Haseen chand taray hon, lambi si raat ho,
Phir raat bhar yehi guftagu rakhen hum dono,
Tum meri zindagi ho, tum meri kainat ho

· 2 Like · Apr 27, 2018 at 13:04
Category: love
 
Poetry / Love

Kainaat Siddique

Apni Zindagi Ki Her Shaam Tere Naam Kardoon,

Apni Zindagi ki her Shaam Tere Naam kardoon,
Teri hi Aankhon ka Jaam Tere Naam kardoon,
Main Doob jaoon Teri in Jheel si Gehri Aankhon mai,
Phir apni Barbadi ka ilzam Tere Naam kar doon,
Mai apni Rooh ko Tere Wajood mai bhardoon,
Phir apni Zaat apna her Payam Tere Naam kardoon,
Tuu Mujhey Mohabbat ka Agaaz de Sanam,
Mai Apne Pyaar ka Anjaam Tere Naam kardoon,
Mohabbaton ke Qaseeday likhoon Teri Sanaa mai,
Hazaron Pyaar ke Peghaam Tere Naam kardoon,
Ho jiska Zikar Mohabbat ki her kahani mai,
Ek aisa Pyaar ka Peghaam Tere Naam kardoon??.

· 0 Like · Apr 27, 2018 at 07:04
Category: love
 
Poetry / Love

Alishba Khan

Haathon Main Pighal Janay Ko Jee Chahta Hay.

haathon main pighal janay ko jee chahta hay
Aatish-e-shoaq main jal janay ko jee chahta hay?
Tujh say ik raaz ki sargoshi bhi karna chahoon
Phir wohi raaz nigal janay ko jee chahta hay?
Dil yeh chahay kay tere dil main rahoon dil ban kay
Phir usi dil say nikal janay ko jee chahta hay?
Wehshat abad makanon main nahi jee lagta
Sheher say door nikal janay ko jee chahta hay?
Hum say yeh rasm ki zanjeer bhi kab toot saki
Dil ki zidd par bhi machal janay ko jee chahta hay.

· 0 Like · Apr 27, 2018 at 01:04
Category: love
 
Poetry / Love

Sadaf Faiz

Tum Say Manzil Ka Nahirishta Safar Ka Hai Meraye Zaroori To Nahisath Challa B...

Tum say manzil ka nahi
rishta safar ka hai mera
Ye zaroori to nahi
Sath challa bhi jayee
Ye zaroori to nahi
Tum say milla bhi jayee
Ishq deedar ka muhtaj nahi hota
Aik ahsaan ka rishta hai ye khushboo ki tarahan
daikhnay choonay say ady kisi jadoo ki tarahan
Sirf awaz hi kafi hai muhabbat k liye
Aur sab kuch hi azafi hai muhabbat k liye..

· 0 Like · Apr 23, 2018 at 04:04
Category: love
 
Poetry / Love

Asma Altaf

Main Khush Naseebihoon Teri,

Main Khush-Naseebi
Hoon Teri, Mujhy Raas
Hy Tu
Tera Libaas Hoon Main
Aur Mera Libaas hy Tu
Zindagi Meri Tere Gird
Ghoomti Hy Faqat
Aam Hy Sara Jahan
Mere Liye Ek Khaas Hy Tu
Ajeeb Shai Hy
Mohabbat Main Kahin
Chala Jao?n
Tere Qareeb Hoon Main
Meri Pyaas Hy Tu ? !!!

· 0 Like · Apr 22, 2018 at 20:04
Category: love
 
Poetry / Love

Simran Chaudhry

Shab E Wehshat Ki Aadat Ho Gayi Hai,

Shab-e-wehshat ki aadat ho gayi hai,
Mujhe tum se mohabbat ho gayi hai,
Kisi ka lamss hai jis ke hunnar se,
Mukammal sab ibaadat ho gayi hai,
Koi din ke liye deewangi bhi,
Mere dil ko ghaneemat ho gayi hai,
Bohat behaal rehte they magar ab,
Humain hijrat ki aadat ho gayi hai,
Gulaab asaar rastey muntazir hai,
Ke mausam ki inaayat ho gayi hai,
Zameen se aasman tak roshni hai,
Meherbaan hum pe fitrat ho gayi hai.

· 0 Like · Apr 22, 2018 at 13:04
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Karim Khan

Zaroori To Nahi Muhabbat Lafzo''n Mien Bayaa''n Ho.

Zaroori To Nahi Muhabbat Lafzo''n Mien Bayaa''n Ho....

Kya Sach Meri Aankhien Tumhien Kuch Nahi Kehtin......?


· 0 Like · Apr 20, 2018 at 05:04
Category: love
 
Poetry / Love

Jalaluddin Ahmed

Be Rehem Hawaon Mein.

Be rehem hawaon mein; Ajnabi manaazir mein; Iss dil-e-musaafir ko Koi gham nhi kyun keh; Mushkilon mein bhi apna Raabta to Rab se hei; Aur jaanay kub se hei; Maadiyyat ki duniya mein; Khwahishon keh jungle mein; Kis sukoon se mera; Be qaraar dil thehra ; Be panaah adab se hei; Aur jaanay kub se hei ; Dil sada ka baaghi hei; Sirf khud se raazi hei ; Be fikar jahan se hei; Per hei ussko darr jitna; Bus Tere ghazab se hei ; Aur jaanay kub se hei; Mujhko aankh khulne se; Kuchh nazar nhi aata ; Meri band aankhon mein ; Aaj jalwa gar ho ja; Mein ne tujh ko socha hai Ik ajeeb dhubb se hei; Aur jaanay kub se hei ; Sub se hi shanasaai; Aur khud mein tanhaai; Kya ajab paheli hei ; Zindagi ka rishta bhi Ustawaar sub se hei ; Aur jaanay kub se hei; Muntazir wahan tu hei; Muntazir yahan mein hun; Ab hijaab pulta de ; Mein ne Tere baaray mein Sun rakha to sub se hei ; Aur jaanay kub se hei; Jab kbhi bhi jaana hei Uss ki simt jaana hei; Rooh or Khuda k beech Abdiyyat ka yeh rishta; Bus issi sabab se hei; Aur jaanay kub se hei; Dil jab Uss se lagta hei; Phir sukoon milta hei ;Kaatna nigaahon mein Raat ka kahan mushkil ; Dosti to apni bus Iss charaagh e shab se hei; Aur janay kub se hei ; Noor ki Tajalli ho ; Dil ko ik tasalli ho; Mujh pe bus karam itna; Kuchh zarur ho jaey; Rooh k andheron mein Koh e toor ho jaey ; Munfarid ye bashar... apni Bus issi talab se hei.

· 0 Like · Apr 18, 2018 at 09:04
Category: love
 
Poetry / Love

Jiya Daniyal

Suno! Sahib E Ishq Se Akelay Me Kehna

suno! sahib e ishq se akelay me kehna,
ibn e aadam par haath zara halka rakhe!

#poetry

· 0 Like · Apr 06, 2018 at 19:04
Category: love
 

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS