Poetry / Humorous

Muzammil Shahzad

Banen

bnane lain jande o
bnane lay kay anday o
panday o te paindi nai
pe jaye te lehndi nai
leh jaye te duji vari pann jogi rehndi nai
bnane mein deyan ga
pao gay te pe jaye
laho gay te leh jaye
leh jaye te duji vari pann jogi reh jaye

banen meri wadhiya
banen meri taap di
waddeyan nu poori aawe nikeyan day naap di
cheez huvay asli te monhon pai boldi
dhup naloon gori lagey rassi utay doldi
jinay chaho tusi ais nu honda lo
fair bhanwein bachiyan da jhangiya bana lo

· 1 Like · Nov 09, 2015 at 19:11
Category: humorous
 
Poetry / Humorous

Muzammil Shahzad

دل بڑا کردا اے

حمید ا چوہدری جی آج میرا دل بڑا کر دائے
لسی جے قبول کرو جو مینوں سردائے
ہور جنھوں چاہو تسی اوہنوں دی بلا لو
اج راتیں مسا لونا میرے ولوں کھالو
چوہدری بلے ائے نواب دینا تیرے ولوں کھالیئے
بھورے تیرے چھابیان دے ڈھدوچ پالیے؟
ایہو جہیاں دعوتاں نوں میرے کو لون رکھ پرے
منہ ہووے بھیڑا بندہ گل تے نہ بھیڑی کرے

بھگھ منگے جاپنے آن ااسیں تینوں مورکھا
بھکھے ننگے چاپنے آن اسینں تینوں مورکھا
سانوں توں کھوان لگائیں روٹیاں سلونیاں
اساں کدی کھادیاں نیں ہسیاں تے لویناں؟
تیرے جیہا بندہ جیڑا چاہ پیودے گڑ دی
سانوں توں کیہ سمجھیا اے روٹی وی نئیں جرودی؟
کانوں نوں بنیریاں تے پائیے اسیں روٹیاں
تیرے جیہاں لکھاں نوں کھوائیے اسیں روٹیاں
حمیدا توبہ توبہ چوہدری جی میں کیہ قصور کیتا؟
ہن مینوں بولنے تے تساں مجبور کیتا
انج مینوں کدی کے بولیاں نہ ماریاں
ایویں تساں کیتیاں نین واہریاں سواہریاں
روٹی دا ای سدا دتائے یہ وی کوئی برائی اے
نیکی دی میں گل کیتی کر کے گوائی اے
تسی جے بلاوتے میں کدی وی نہ نانہھ کراں
سو واری جی کراں لکھ واری ہاں کراں

چوہدری لہجہ زرا دیکھوں ایہدا ایس دی زبان دیکھو
راہ جاندا، دھکے دا، دھگانے دا ممھان دیکھو
تیرے جیہے لہج نوں بلاواں گا میں حمیدیا
شھدیا، چھچوریا ائے بھکھیا، مذیدیا
گھر ساڈے دانے تیرا پیو تے نئیں پا گیا
چوری دی کمائی اے کوئی جہیڑا آیا کھا گیا
حمیدا لسی وچ چوہدری جی پانی پائی جاندے او
دیکھو جی ایہ گل تسی ایوں پے ودھاندے او

چوہدی مندیا کپتیا توں ذرا وی نئیں جھکدا
مینوں کھنائیں دیکھو جی میں دیکھ وی نئیں سکدا؟
سارایاں دے سامنے توں انھا مینوں آ کھیا
سانبھ لینا تینوں میں اوئے وڈیا سجا کھیا

· 1 Like · Nov 09, 2015 at 13:11
Category: humorous
 
Poetry / Humorous

Muzammil Shahzad

Waghera Waghera

hai aap kay honton par jo muskaan waghera
qurbaan gaye iss peh dil o jaan waghera
billi tou you naahi muft mein bud naam hai
thelay mein tou kuch aur tha samaan waghera

bay hirs o gharz farz ada kijiye apna
jis tarah poles karti hai chalaan waghera

ab hosh nahi koi keh badam kahan hai
ab apni hatheli peh hain dandan waghera

kis naz say woh nazam ko keh detay hain nasri
jab iss kay khata hotay hain awzan waghera

har shirt ki bushirt bana daali hai anwer
yun chaak kya hum nay gireybn waghera

· 1 Like · Nov 09, 2015 at 07:11
Category: humorous
 
Poetry / Humorous

Muzammil Shahzad

Mard Honi Chahiye Khatoon Hona Chahiye

mard honi chahiye khatoon hona chahiye
ab grammer ka yahi qanoon hona chahiye
nerceri ka daakhila bhi sersari mat janiye
aap kay bachay ko aflatoon hona chahiye

raat ko bachay parhai ki aziyat say bachay
unko t v ka bohat mamnoon hona chahiye
dostoo english zaroori hai hamaray wastay
feel honay ko bhi ik mazmoon hona chahiye

sirf mehnat kya hai anwer kamyabi kay liye
koi oopar say bhi tele phone hona chahiye

· 1 Like · Nov 09, 2015 at 01:11
Category: humorous
 
Poetry / Humorous

Muzammil Shahzad

Allah Mere Sun Zara

Ek nokri mujh ko dila
Allah meray sun zara

Ab to main borha ho chala
Allah meray sun zara

Paisa nahi pawwa nahi
Khaloo koi afser nahi

Degree key bel noker kara
Allah meray sun zara

Jootey hain mery ghis chukey
Patloon naiker ban gai

Ab nanga honay sey bacha
Allah meray sun zara

Ek roz mangaiter meri
Mujh sey hi yeh kehnay lagi

Chai ka cabin hi laga
Allah meray sun zara

Ek roz dil ney yeh kaha
Yeh degreeian beykar hain

Machis mangi teli dekha
Allah meray sun zara

· 1 Like · Nov 08, 2015 at 18:11
Category: humorous
 
Poetry / Humorous

Muzammil Shahzad

Maine kaha ke sheher ke haq mai dua karo
Us ne kaha ke baat ghalat mat kahaa karo

Maine kaha ke raat se bijli bhi band hai
Us ne kaha ke haath se pankha jhala karo

Maine kaha ke sheher mai paani ka qahat hai
Us ne kaha ke Pepsi Cola piya karo

Maine kaha ke car daketon ne cheen lee
Us ne kaha ke achha hai paidal chala karo

Maine kaha ke kaam hai na koi kaarobaar
Us ne kaha ke shayeri per iktifa karo

Maine kaha ke sau ki bhi ginti nahee hai yaad
Us ne kaha ke raat ko tare gina karo

Maine kaha ke hai mujhe kursi ki aarzoo
Us ne kaha ke Aayet ul Kursi padha karo

Maine kaha ghazal padhi jati nahee sahi
Us ne kaha ke pehle rehearsal kiya karo

Maine kaha ke kaise kahi jaati hai ghazal
Us ne kaha ke meri ghazal gaa diya karo

Har baat per jo kehta raha mai "baja" "baja"
Us ne kaha ke yun hi musalsal baja karo

· 1 Like · Nov 08, 2015 at 12:11
Category: humorous
 
Poetry / Humorous

Muzammil Shahzad

Lab Pe Aati Hai

Lub Pe Aati Hai Dua Ban K Tamana Meri
Zindagi Goli Se Ho Mehfooz Khudaiya Meri

Na Koi Bomb Dhamakay Se Uraday Mujh Ko
Muft Me Jam e Shahadat Na Piladay Mujh Ko

Mere ALLAH Talibaan Se Bachana Mujh Ko
Aur Sikha De Koi T.T Chalana Mujh Ko.

· 2 Like · Nov 08, 2015 at 06:11
Category: humorous
 
Poetry / Humorous

Muzammil Shahzad

Dil Chahta Hai

Kabi Kabi Dil Chahta Hai
K Kuch Aisa Hojae

Paperz Hon Mger Result Na Aaye
Classes Hon Mger Teacherz Na Ayen

Bus Me Bethain College Na Aaye,
Picnic Pr Jaeyen Mger Wapis Na Aaye,

Gaadi Chalean Magar Petrol Na Delwaen
Kabi Kabi Parhain Mger Pass Hojayen

Haftey Me Chaar Chaar Din Hon
Takay Itwar Jaldi Aaye

· 1 Like · Nov 07, 2015 at 22:11
Category: humorous
 
Poetry / Humorous

Muzammil Shahzad

Daikh Lia

Yaron Ko Aazama K Dekh Lia,
Party Me Bula K Dekh Lia.

Mot Bhi Hum Se Duur Bhagty Hai,
Car K Neechay Bhi Aa K Dekh Lia.

Merta Nahin Ye Jaraseem E Ishq,
Safe Guard Se bhi Nha K Dekh Lia.

Koi Sunta Nahi Feryaad E Gareeb,
Radio Peh Ganaa Gaa K Dekh Lia.

Hmmaray Dil Ka Pta He Nahi Lgta,
X-Ray Bhi Kerwa K Dekh Lia.

· 1 Like · Nov 07, 2015 at 16:11
Category: humorous
 
Good Night .
Posted by Abdul Kareem
Posted on : May 25, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS