Poetry / Humorous

Ijunoon

Tera Mera Net Ka Piyar

Rim jhim rim jhim pare pohaar

Tera mera net ka piyar

Jhan jhan bajeen man k taar

Tera mera net ka piyar

Aye mere paas tue aise

Duur kabhi na jaye

Murjhayeen na khil k kaliyan

Asi bhi ruth aye

Aye na pat jhar rahe bahar

Tera mera net ka piyar

Aaa bachpan k bichre sathi

Kyun muj ko tarsaye

Umr guzari ro ro main ne

Kahye dair lagaye

Samne aaa ja phir ek bar

Tera mera net ka piyar

,

· 1 Like · Apr 05, 2016 at 21:04
Category: humorous
 
Poetry / Humorous

Muzammil Shahzad

Kaha Uss Ne

Kaha Us Ne Kyun Yaad Tum Parha Nahi Karty
Kaha Man Ne Majnoo Ko Kabhi Apany Jhara Nahi Karty

Kaha Uss Ne Buhat Haseen Teachers School K Sare Hain
Kaha Man Ne Jab Tum Ho Tu Ham Kisi Or Ko Tarra Ni Karty

Kaha Us Ne Man Kamsin Sahi Per Ustani Tumhari Hon
Kaha Man Ne Jan-E-Man Rishta Bigara Ni Karty

Kaha Uss Ne Ye Harkatien Tumhay Ruswaiyan Dain Gin
Kaha Man Ne Khamkhuwa G Ko Sara Ni Karty

Kaha Uss Ne Man Shikayat Tumhari Principal Se Karon Gi
Kaha Man Ne Love Letter Ko Youn Phara Ni Karty

Kaha Uss Ne Samjh Jao,Sudhar Jao Na Karo Yun Daramy
Kaha Man Ne Sun Liya Ik Kan Man Dojey Man Warra Nai Karty

· 2 Like · Feb 09, 2016 at 03:02
Category: humorous
 
Poetry / Humorous

Muzammil Shahzad

Na Tera Band Hai Na Baaja Hai

Na Tera Band Hai Na Baaja Hai Kya Kiya Jaye
Phir Aaj Dhoop Bhi Ziada Hai Kya Kiya Jaye

Humhein Bhi Gany Bajany Ka Dhab Nhi Ata
Sunanay Wala Bhi Sada Hai Kya Kiya Jaye

Kuch Apny Dost Bhi Waylay Phirtay Hein
Kuch Apna Bhi Yehi Erada Hai Kya Kiya Jaye

Wo Raqeeb Hai Magar Dil Ki Bharas Bhi Tu Kam Hu
Ghusa, Khushi Se Ziada Hai Kya Kiya Jaye

Na Us Se Tarq-E-Dushmani Ki Bat Kar Paye
Na Hi Dosti Ka Fayda Hai Kya Kiya Jaye

Shadi-E-Mehboob Se Dil Dhoobny Laga Hai Soni
Magar Ye Shirqat Bhi Vada Hai Kya Kiya Jaye

· 3 Like · Feb 08, 2016 at 21:02
Category: humorous
 
Poetry / Humorous

Muzammil Shahzad

Na Kapray Hi Badlay Na Haal Acha

Na Kapray Hi Badlay Na Haal Acha Hai
Kis Manhos Ne Kaha Tha K Shadi Ka Khayal Acha Hai

Hum Tu Bachpan Se Ashiq Rahy, Janty Hein
Aik Doshiza Se Kaein Hasenaoun Ka Janjal Acha Hai

Mein Ne Pocha K Koi Dost Koi Boy Friend
Muskurati Hui Boli K Sawal Acha Hai

Bohat Dhonday Bahany Bhi Tu Asa Hai K Kabi Kabi
Meri Amaa Ka Halka Sa Jalal Acha Hai

Lazatein Flirt-O-Wafa Ki Hein Apni Apni
Mustakil Na Husan Acha Na Jamal Acha Hai

Azdawaji Zindagi Apni Ka Muqadar Kya Maloam
Iss Ka Kamal Acha Hai Na Zawal Acha Hai

Shadi Apni Jagha, Par Ye Hakiqat Hai Soni
Tery Andaz-E-Bayan Se Kahein Tera Ehval Acha Hai

· 2 Like · Feb 08, 2016 at 14:02
Category: humorous
 
Poetry / Humorous

Muzammil Shahzad

آکھن لگا دارا

اپنے بوہے آن اک راتین???آکھن لگا دارا
میں ادھ واٹیوں پر ت کے آیاں???دارئیے ڈردا مارا
پھوکاں مار بجھا ہیں چھیتی???اس دا لاٹ منارا
دیوا بلدا چھڈ گیائیں ???بندہ بھلن ہارا
کرماں والیے دیکھیں کد ھرے???تیل نہ سڑ جائے سارا
داری کہیا دے تو ں کیون پایا???گھاٹا ایڈا بھارا
سکے پھیرے بوٹ گھسائے???ایہ کیہ کیتوئی کارا
دارے آکھیاں توں کیہ جاتا??? ایڈا بھولا اے دارا
مینوں کتھے وارا کھاندائے ???ایڈا سخت خسارا
کچھے مارے کے جتی کیتائے???ننگے پیر گذارا

شوماں دی اس جوڑی دا سی ???بوجھ زمیں تے بھارا
ڈاہڈا چنگا کم اک کر گئے ???مر گئے واری دارا?

· 1 Like · Nov 11, 2015 at 15:11
Category: humorous
 
Poetry / Humorous

Muzammil Shahzad

Nah Tujhay Qarar Hota Nah Mujahe Qarar Hota

tujhay mujh say mujh ko tujh say jo baht he pyar hota
nah tujhay qarar hota nah mujahe qarar hota
tiraa har marz ulghta meri jaan natawan say
jo tujhay zukam hota tou mujahe bhukhaar hota

tujh ko yaad karta tujhay chhenknaa bhi parta
marey saath bhi yaqeenan yahi baar baar hota
kisi chok mein lagatay koi choorian ka khokha
shehar mein bhi apna koi karobaar hota

gham o ranj aashiqana nahi celculetrana
usay mein shumaar karta tou nah bay shumaar hota
wahan zair behas atay khudh o khal o khoye khuban
gham ishq par jo anwer koi seminar hota

· 1 Like · Nov 11, 2015 at 09:11
Category: humorous
 
Poetry / Humorous

Muzammil Shahzad

Goli

sar dard mein goli yeh bari zood asar hai
par thora sa nuqsaan bhi ho sakta hai iss say
ho sakti paida koi tabkheer ki soorat
dil tang o pareshan bhi ho sakta hai iss say

hosakti hai kuch saqal samaat ki shikayat
bay kaar koi kaan bhi ho sakta hai iss say
mumkin hai kharabi koi hojaye jigar mein
haan aap ko yarqaan bhi ho sakta hai iss say

par sakti hai kuch jald kharashi ki zaroorat
kharish ka kuch imkaan bhi ho sakta iss say
hosakti hain yaden bhi zara iss say mutasir
mamooli sa nasiyan bhi ho sakta hai iss say

binaie kay haq mein bhi yeh goli nahi achi
deeda koi heran bhi ho sakta hai iss say
ho sakta hai la-haq koi paicheeda marz bhi
ghurda koi weraan bhi ho sakta hai iss say

mumkin hai keh hojaye nasha iss say zara sa
phir aap ka chalaan bhi ho sakta hai iss say

· 1 Like · Nov 11, 2015 at 03:11
Category: humorous
 
Poetry / Humorous

Muzammil Shahzad

Sochye Pe Aan Hun Ki Kariye

pappu sanun tang nah kar ton
baday zaroori kam lagey aan
sochye pe aan hun ki kariye
roti shoti kha bathay aan
lassi shasi pi baitay aan
hukay da kash laa bathay aan
puch pach kay andron bahron
bhanday wi kharka bathay aan
sochye pe aan hun ki kariye

daikh liyan nein sab akhbaran
sabhay warqay thul bathay aan
parh bathay aan saaray akhar
saaray harf suna bathay aan
sochye pe aan hun ki kariye
kaisay kaisay aslehay ban gaye
wadday wadday maslay ban gaye
wadday shehar wasa bathay aan
sara chain gava bathay aan
sochye pe aan hun ki kariye

ji kadra si wotaan paiye
marshal laa ton jaan chhadaiye
wotaan shotaan pa bathay aan
aye jamhoori raula rappa
kane saal handa bathay aan
sochye pe aan hun ki kariye

soda koi pachda nai
koi rasta sanjhda nai
raste day vich aa bathay aan
sochye pe aan hun ki kariye

· 1 Like · Nov 10, 2015 at 20:11
Category: humorous
 
Poetry / Humorous

Muzammil Shahzad

Action Film

hospital say yeh bas jati hai thaana ki taraf
phir kachehri ki imarat aur khulay medaan tak
phir pahonch jati hai paagal khanay aur phir iss kay baad
jail say hoti hoi jati hai qabarastan tak

taaqub police karti hai ya az raah majboori
koi gulzaar phirta hai kisi gulnar kay pechay
iss kay dur par woh jo ik darbaan paaya jaye hai
kitney nuqsanaat ka imkaan paaya jaye hai

sirf darya par nahi moqoof aisi khulbali
chaye ki piyali mein bhi tufaan paaya jaye hai
tou nay anwer koi action film dekhi hai zaroor
teri baton mein bara hejaan paaya jaye hai

· 1 Like · Nov 10, 2015 at 14:11
Category: humorous
 
24 Hours of Care
Posted by iJunoon
Posted on : Feb 23, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS