Poetry / General

Meena Kumari

Hairan

· 0 Like · Sep 11, 2018 at 15:09
Category: general
 
Poetry / Sad

Hafiz Mehran

Soaz E Gham Se Jis Qader Shikwa Sada Hotay Hain Log.

soaz-e-gham se jis qader shikwa sada hotay hain log
jal bujian aur lab na kohlian woh bhi kia hotay hain log
fasl-e- gul mein saath hai khushboo daman ki tarah
ruth badaltie hai to bas moj-e-hawa hotay hain log
kis ko barham kiejea ilzam kis ko dejea
naam kis ka leajea sab bea-wafa hotay hain log
is ada ka kia tekahna is rawesh ka kia jawab
baat ranjesh ki na ho phir bhi khafa hotay hain log
hum gunahgaroun per ilzam gunahgarie baja
parsaoun mein bhi kitnay parsa hotay hain log
ghar gay Iqbal tum rangien kabaoun mein kahan
miltay deakho un se jo sada kaba hotay hain log.

· 0 Like · Sep 11, 2018 at 07:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Pinky Queen

Jab Kabhi Bolana Waqt Par Bolana.

jab kabhi bolana waqt par bolana
muddaton bolana mukhtasar bolana
dal dega halaqat mein ik din tujhe
ae parinde tera shakh par bolana
pahale kuch dur tak sath chal ke parakh
phir mujhe hamsafar hamsafar bolana
umr bhar ko mujhe besada kar gaya
tera ik bar muh pher kar bolana
meri khanabadoshi se puche koi
kitna mushkil hai raste ko ghar bolana
q hai khamosh sone ke chidiya bata
lag gai tujh ko kis ke nazar bolana.

· 1 Like · Sep 11, 2018 at 00:09
Category: sad
 
Poetry / General

Andaleeb Siddiqui

Dil Hy To Ishq K Azaar Main Kaam Aaye Ga.


Dil Hy To ISHQ K Azaar Main Kaam Aaye Ga...

Wrna Hamsaye Ki Deewar Main Kaam Aaye Ga...!!!

· 2 Like · Sep 10, 2018 at 18:09
Category: general
 
Poetry / Sad

Kinza Hussain

Faslay Kb Km Howay Hain.

Faslay Kb Km Howay Hain, Rabton K Baad B...

Ajnabi Thay, Ajnabi Hain, Muhabatton K Baad B...!!!

· 1 Like · Sep 10, 2018 at 11:09
Category: sad
 
Poetry / General

Shagufta Yasmeen

Ghar Aa K Boht Roye Maan Baap Akailay Main.

Ghar Aa K Boht Roye MAAN BAAP Akailay Main...

Mitti K Khilonay B Sastay Na Thay Mailay Main...!!!

· 2 Like · Sep 10, 2018 at 02:09
Category: general
 
Poetry / General

Asiah Rahi

Zindagi Ka Ajab Muamla Hai.


· 3 Like · Sep 09, 2018 at 17:09
Category: general
 
Poetry / Sad

Mahu Arish

Hum Se Bahal Rahe Hain Aap Aap Bahut Ajeeb Hain.

hum se bahal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
dard mein dhal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
saya-e-vasl kab se hai aap ka muntazir magar
hijr mein dhal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
apne khilaf faisala khud hi likha hai aap ne
hath bhi mal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
waqt ne aarzoo ke lau der hui bujha bhi di
ab bhi pighal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
zahamat-e-zarbat-e-digar dost ko dijiye nahi
gir ke sambhal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
dayera waar hi to hain ishq ke raste tamam
rah badal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
dasht ke sari raunaqen khair se ghar mein hain to q
ghar se nikal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
apni talash ka safar khatm bhi kijiye kabhi
khwab mein chal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain.

· 2 Like · Sep 09, 2018 at 10:09
Category: sad
 
Poetry / Sad

Sehar Saeed

Khwab Ke Tarah Se Hai Yaad Ke Tum Aaye The.

khwab ke tarah se hai yaad ke tum aaye the
jis tarah daman-e-mashriq mein sahar hoti hai
zarre zarre ko tajalli ke khabar hoti hai
aur jab nur ka sailab guzar jata hai
raat bhar ek andhere mein basar hoti hai
kuch isi tarah se hai yaad ke tum aaye the
jaise gulashan mein dabe paon bahar aati hai
patti patti ke liye leke nikhar aati hai
aur phir waqt wo aata hai ke har mauj-e-saba
apne daman mein liye gard-o-gubar aati hai
kuch isi tarah se hai yaad ke tum aaye the
jis tarah mahv-e-safar ho koi virane mein
aur raste mein kaheen koi khiyaban aa jaye
chand lamhon mein khiyaban ke guzar jane par
samane phir vohi duniya-e-biyaban aa jaye
kuch isi tarah se hai yaad ke tum aaye the.

· 2 Like · Sep 09, 2018 at 03:09
Category: sad
 
A New Hope
Posted by Abdul Khaliq
Posted on : May 21, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS