Poetry / General

Simran Chaudhry

Darta Hun Teri Khamshi Se Mai

· 1 Like · Apr 16, 2018 at 17:04
Category: general
 
Poetry / General

Mahu Arish

Woh Subah Kabhi To Aaye Gi

beete ge kabhi to din aakhir yeh bhook ke aur be kaari ke
tooten ge kabhi to butt aakhir doulat ki ajarah daari ke
jab aik anokhi duniya ki bunyaad uthai jaye gi
woh subah kabhi to aaye gi

#peotry />

· 0 Like · Apr 16, 2018 at 05:04
Category:
general
 
Poetry / General

Javed Akhtar

Wo Chahnay Walo''n Ko Mukhaatib Nahi Karta.

Wo Chahnay Walo''n Ko Mukhaatib Nahi Karta....
Aur Tak-e-Ta''alluq Ki Mian Wazahat Nahi Karta,,,,

Wo Apni Jafaa''on Pay Naadim Nahi Hota....
Mian Apni Wafaa''on Ki Tijaarat Nahi Karta,,,,

Khushboo Kisi Tash''heer Ki Mukhtaaj Nahi Hoti....
Sacha Hun Magar Apni Wakaalat Nahi Karta,,,,

Ehsaas Ki Sooli Pay Latak Jata Hun Aksar.....
Mian Jabr-e-Musalsal Ki Shikayat Nahi Karta,,,,

Mian Azmat-e-Insaa''n Ka Qaayal To Hun Mohsin.....
Lykin Kabhi Bandoo''n Ki Ebaadat Nahi Karta,,,,,

· 1 Like · Apr 14, 2018 at 19:04
Category: general
 
Poetry / General

Bilal Ahmed Khan

Daman E Gull Men Hi Gullzaar Bikhar Jatay Hen

Daman-E-GulL MEn Hi GulLzaar Bikhar Jatay Hen
Aag Bujhti Hai To Angaar Bikhar Jatay Hen
Shama JalLti Hai Sada Aik Hi Lamhe MEn Lekin
JalL K Parwane Kayi Baar Bikhar Jatay Hen
Jin Ko Yaar Pirota Hai Bohat UlLfat Se
Haye Wo GulL Sar-E-Bazaar Bikhar Jatay Hen
PaaOun Uthaty Hen Tere Kochay Ki Janib Jab Bhi
Apni Rahon Me Kayi Khar Bikhar Jatay Hen
Raat K PichlLe Pehar Khoon-e-Tamana Ki Tarha
Hum Teri Yaad Me Aye Yaar Bikhar Jatay Hen
Ho Ga AndaAz-e- Wafa Un Ka AlLag Hi
Jin Ki Rahon Me TalLab-Gaar Bikhar Jatay Hen.

#poetry />

· 0 Like · Apr 13, 2018 at 18:04
Category:
general
 
Poetry / General

Asma Altaf

Youn To Sayyad Bhi Ho, Mirza Bhi Ho, Afghan Bhi

Youn to sayyad bhi ho, mirza bhi ho, afghan bhi
tum sabhi kuch ho, batao to muslamaan bhi ho

#poetry

· 2 Like · Apr 13, 2018 at 06:04
Category: general
 
Poetry / General

Anam Lateef

Safar Khizaan Ka, Bahaar Manzil

Safar khizaan ka, bahaar manzil,
Hai fasilon ki shikaat manzil,
Mujhe ussi ne yeh khauf bakhsha,
Ke jis ne di thi udhaar manzil,
Ilaahi kuch tu hi silaa de,
Nazar ki hadh se guzaar manzil,
Tu jeet jaye ga, jeet mujh ko,
Tere galey ka hai haar manzil,
Tujhe talab thi ke mein bhi ro’un,
Aa dekh zaar-o-qitaar manzil,
Hird ka ultaa moaamla tha,
Gulaab rahain, to khaar manzil,
Jalaa ke nikla jo apne ghar ko,
Dhuaan si rahain, ghubaar manzil,
Ke meri sansain ukharr rahi hain,
Abhi to mujh ko pukaar manzil,
Khabar mili hai woh laut aya,
Ab us ke sar par se waar manzil,
Main aasmanon ko khaujta hoon,
Sunaa tha unke hai paar manzil,
Azal-abad ki talaash mein hai,
Ujaal rahain, sanwaar manzil,
khud hi kuch susst tha warna,
Talab mein thi be’qaraar manzil

#poetry

· 0 Like · Apr 10, 2018 at 22:04
Category: general
 
Poetry / General

Madiha Shahid

Patharon Ki Tabiaton Me Khod Ko Parakhane Wale

Patharon ki tabiaton me khod ko parakhane wale
Patharon k shehar me dil laga k kia karna
Nikal ae baton baton me agar mera tazkara
Khataen chopa kar meri sifat beyan karna
Tujhe chahne walon ki jo fehrisit likhane betho
To halka sa naam hamara bhi shumaar karna
Jane se pehle bus yahi bat yad rakhana
Jab bhi dil lagao to mohabbat lazawal karna
Tham lo kisi aur ka hath bhi lakin
Zindagani apni bus hamare hi naam karna
chahe cheen lain log tum se tumhara piar
Bus Khoda ki zaat par hi bharosa karna

#poetry

· 0 Like · Apr 10, 2018 at 09:04
Category: general
 
Poetry / General

Maleeha Bukhari

Yeh Kaafi Hai Ke Hum Dushman Nahin Hain

Yeh kaafi hai ke hum dushman nahin hain,
Wafaadari ka daava kyon karain hum..

#poetry

· 0 Like · Apr 10, 2018 at 02:04
Category: general
 
Poetry / General

Mahu Arish

Kitnay Nadaan Hain Tujhe Bhoolnay Walay Tujhe

· 0 Like · Apr 09, 2018 at 20:04
Category: general
 
is it real or fake?
Posted by iJunoon
Posted on : Jul 21, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS