Poetry / General

Daud Bhatti

Milte Hain Kaha Aisay Mohabbat Raseedah Log

mlitay hain kahan aisay mohabbat Raseedah log
karte raho hamari ziyarat kabhi kabhi

· 4 Like · Mar 23, 2018 at 11:03
Category: general
 
Poetry / General

Sakeena Hussain

Parh Parh Kitaban Ilam Diya Tu Naam Rakh Leya Qazi

· 2 Like · Mar 22, 2018 at 22:03
Category: general
 
Poetry / General

Sajjad Yaqoob

Adawaten Theen, Taghaful Tha, Ranjishen Thee Bohat

adawaten theen, taghaful tha, ranjishen thee bohat
bicharne walay me sab kuch tha, bewafai na thi

· 2 Like · Mar 22, 2018 at 16:03
Category: general
 
Poetry / General

Asiya Faheem

Badi Dilchasp Ghaflat Hogai

badi dilchasp ghaflat hogai hai
achanak uss se ulfat hogai hai
gham e jana bhi go ikk hadsa hai
gham e dora se fursat hogai hai

· 2 Like · Mar 21, 2018 at 09:03
Category: general
 
Poetry / General

Maleeha Bukhari

Hamesha Hi Nahe Rehtay Kabhi Chehray Naqabon Mein

hamesha hi nahe rehtay kabhi chehray naqabon mein
sabhi qirdaar khultay hian kahani khatam honay par

· 2 Like · Mar 21, 2018 at 03:03
Category: general
 
Poetry / General

Wafa Chaudhry

Muhabbat Dekh Li Mein Ne Zamany Bhar Kay Logon Ki

Muhabbat Dekh Li Mein Ne Zamany Bhar Kay Logon Ki,
Jahan Kuch Daam Ziyada Hoon, Wahein Insan Bikta Hai.!

· 2 Like · Mar 20, 2018 at 15:03
Category: general
 
Poetry / General

Bushra Shah

Googni Hogai Aaj Kuch Zaban Kehtay Kehtay

· 1 Like · Mar 20, 2018 at 09:03
Category: general
 
Poetry / General

Ameera Gul

Wo Jo Khud Pairvi E Ahd E Wafa Karta Tha

Wo jo khud Pairvi-e-Ahd-e-wafa karta tha
Mujh se milta tha....tou Talqeen-e-wafa karta tha
Uss k Daaman mein koi phool nahi meray liye
Jo meri Tangi-e-Daamaan'' ka Gila karta tha
Aaj jo uss ko Bulaya tou wo Gumm-Summ he raha
Dil dharaknay ki jo awaz suna karta tha
Aaj wo meri har ikk baat k ma''ani poochay
Jo meri soch ki tafseer likha karta tha
Uss ki Dehleez pe sadiyon se kharra hoon ''Mohsin''
Mujh se milnay ko jo Lamhaat gina karta tha.
.
MOHSIN NAQVI

· 2 Like · Mar 20, 2018 at 03:03
Category: general
 
Poetry / General

Sadaf Faiz

Saaray Khilonay Chore Kar, Jazbaat Se Kheltay Hain Log

saaray khilonay chore kar, jazbaat se kheltay hain log

· 1 Like · Mar 19, 2018 at 20:03
Category: general
 
Hazrat Anas (R.A) se riwayat hai.
Posted by neelum chaudhry
Posted on : May 03, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS