Sms / Ghazal

Shahbaz Ishaq

Ek shakhs ko deakha tha
Taron ki tarha Hamney

Ek shaks ko chaaha tha
Apnon ki tarha Hamney

Ek shaks ko samjha tha
Phoolon ki tarhaa Hamney

Wo shaks qayamat tha
Kya uski karein Batain

Din us ky liye Paida
Aur uski he thi Ratain

Kab milta kisi se tha
Ham se thi mulaqatain

Aankhain thi ke jaadu tha
Palkain thi k talvarain

Dushman bi agar dekhein
so jaan se dil Harain

Kuch tum se wo milta tha
Baton mein shabahat thi

Han tum sa hi lagtaa tha
Shokhi mein sharaarat main

Lagta bhi tumhe sa tha
Dastur-e-mohabbat main

Wo shaks hamain aik din

Apnon ki tarhaa Bhola
Taron ki tarha doba
Phoolon ki tarha tuta

Phir haath na aaya woh
Hamney bohat dhoondha

Tum kis liye chonkay ho
Kab zikar tumhar hai
Kab tum se taqaza hai
Kab tum se shikaayat hai

Ikk taaza Hikayat hai
Sun lo tou inayat hai

Ek shaks ko chaaha tha
Apnon ki tarha Hamney...!

Advertisement
· 1 Like · May 05, 2012 at 20:05
Category: ghazal
 

Latest Posts in sms

A New Hope
Posted by Abdul Khaliq
Posted on : May 21, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS