Sms / Ghazal

Ijunoon

Meri Sanson Mein Teri Khushboo Tou Basi Aaj Bhi Hai

Meri sanson mein teri khushboo tou basi aaj bhi hai
Dil ki khwahish hai ke tumhay choo ker phir se dekhoon

Faaslay itney bhi ho jaain gay sochha hi na tha
Teray ehsas mein teri tasweer mein kab tak dekhoon

Kaisey dorahey per khara hoon ke aqal sakit hai
Dar hai pyaron sey judai ka, khud ko tarapta dekhoon

Tera ehsas-e-janoon mujh ko bhi pyara hai mager
Ishq ke anjam mein apney liye azziat dekhoon

Dil diwana tha kabhi tera so aaj bhi hai
Teri aankhon mein wohi pyar mein phir se dekhoon

Mein ne her lamha khuda se mangee hai dua
Mein teray pyar ka mausam sada hi dekhoon...

· 1 Like · Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal Tags: Khuda
 
Sms / Ghazal

Ijunoon

Main Sun K Uski Sub Batain,

Main sun k uski sub batain,
Faqat itna hi kehta tha,
Khafa hona mana laina,
Yeh sadiyon say riwayat hay,
Gilay shikway karo mujh say,
Tumhain janan ijazat hay,
Magar ik baat meri bhi,
Tum yaad rakh laina,
Kabhi aisa bhi hota hay,
Hawaain rukh badalti hain,
Khataain ho hi jati hain,
Khafa hona bhi mumkin hay,
Khataa hona bhi mumkin hay,
Hamaisha yaad rakhna tum,
Taaluq toot janay say,
Kabhi toota nahin kertay!

· 1 Like · Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Ijunoon

Roye Hain Buhat Tab Zara Qaraar Mila Hai

Roye Hain Buhat Tab Zara Qaraar Mila Hai
Iss Jahan Mein kisey Bhala Sacha Pyaar Mila Hai

Guzar rahi hai zindagi Imtehan ke daur se
Ek khatam Hua Toh Dusra Tayar Mila Hai

Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal
Gham ka khazana jo isko beshumar mila hai

Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gaya
Mein khushnasib hun mujhe Intezar mila hai...

· 1 Like · Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Ijunoon

Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya

Saza Pe Chor Diya Jaza Pe Chor Diya
Har Ek Kam Hum Ne Khuda Pe Chor Diya

Woh Hum Ko Yad Rahkta Ya Bhula Deta
Usi Ka Kaam Tha Usi Ki Raza Pe Chor Diya

Us Ki Marzi Bujha De Ya Phir Jala Rakhe
Cheragh Hum Ne Jala Kar Hawa Pe Chor Diya

Us Se Baat Bhi Karte Tu Kis Tarhan Karte
Yeh Masla Dua Ka Tha Dua Pe Chor Diya

Iss Liye Tu Woh Kehte Hain Bewafa Hum Ko
Ke Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya……!! !!

· 1 Like · Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal Tags: Khuda
 
Sms / Ghazal

Ijunoon

Khuwaab Mein Aa Ker Wo Meri Neend Uraati Thi Bahut,

Khuwaab Mein Aa ker Wo Meri Neend Uraati Thi Bahut,
Her Ghari Wo Dekh kar Muskurati Thi Bahut,

Chor Hi Dena Pada Ghabra kar Us k Shaher Ko,
Yaad Uski Raat Din Mujh ko Rulati Thi Bahut,

Apni Baahon Mein Jab Jakar Leti The Ranjo Alam,
Aa k Ek Andaaz Mein Mujh ko Hansaati Thi Bahut,

Apne Dil Ki Baat Wo Mujhse Kabhi Kehti Na Thi,
Dusron K Pyaar Ke Qissey Sunati Thi Bahut,

Chahti Thi Sirf Meri Hi Nazar Us per Parey,
Ghair Ki Nazron Se Wo Khud Ko Bachati Thi Bahut,

Din Tou Kat Jata Tha Mera Doston Ke Saath Mein,
Raat Mein Lekin Wo Mujh ko Yaad Aati Thi Bahut.

· 1 Like · Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Ijunoon

Pyaar Ka Meetha Ehsaas Dilane Laga Hai Tu

Pyaar ka meetha Ehsaas‌ dilane laga hai tu
Ab tou mujh se mujhi ko churane laga hai tu

Teri chahtooN ka chaaya hai saroor iss qadar
Har pal har jagah nazar aane laga hai tu

Veeraan thi yeh zindgi tere aane se pehle
Khushiyoon ke sapne mujhe dhikane laga hai tu

Har pal mujhe hota hai bas tera hi Ehsaas
Iss qadar meri saansoN mein samaane laga hai tu

Ek pal ki bhi doori seh nahi paata hoon main
Hoke juda kyun mujhe azmaane laga hai tu

Raah chalte hue aksar hota hai yeh gumaan
Ke ban k saaya saath mere aane laga hai tu

Naam koi bhi looN tou naam aaye tera labooN pe
Ban ke jadu meri rooh mein samaane laga hai tu

Teri yadoon se hi aksar hota hai dil munawwar mera
Ghul ke saath lahoo ke nas nas mein samaane laga hai tu

Jaane kaun si dor hai teri aur kheench le jaati hai
Mujh ko apna deewana banaane laga hai tu

Tasvvur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
Chorr k duniya meri baNhooN mein samaane laga hai tu

Yeh tou bata ke kya naam dooN iss deewangi ko
Bechain kar ke har lamha mujhey tadpaane laga hai tu

Tere khayalooN se mehekne lagti hai zindagi meri
Mere zehn-o-dil pe is qadar chhaane laga hai tu

Yeh masoomiyat yeh bholapan yeh saadgi teri
Mujh ko har adaa se ab satane laga hai tu

Zeest ki raahoN mein dhoop thi har taraf
Apney pyaar ki barish ko barsane laga hai tu

Kya iss baat ka tujhey Ehsaas‌ hai Jaan‌
Mere har sher mein har Gazal mein aane laga hai tu...

· 1 Like · Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal Tags: Barish Pyaar
 
Sms / Ghazal

Ijunoon

Jo Na Mil Saka Wo Baywafa

Jo na mil saka wo baywafa
yeh bari ajeeb si baat hai

jo chala gaya mujhay chor kar
wohi aaj tak mere saath hai

Wo roshni kay khayal main
wo na asaka raah main muntazir

yeh khalish kahan thi visaal main
mere justojoo ko khabar nahi

na wo din rahay na wo raat rahi
jo chala gaya mujhay chor kar

wohi aaj tak mere saath hai..
Karey pyar lab pay koi gila na hoo

yeh kissi kissi ka naseeb hai
yeh karam hai uski jafa nahi

wo juda bhi rehkay qareeb hai
wo aankh hai mere ru baru

ussi haath mein mera haath hai
jo chala gaya mujhay chor kar

wohi aaj tak mere saath hai
mera nam tak jo na lay saka

jo mujhay qarar na day saka
jissay ikhtiyaar tau tha magar

mujhay apna pyar na day saka
wohi shakhs mere talassh hai

wohi dard mere hayaat hai
jo chala gaya mujhay chor kar

wohi aaj tak meray saath hai...

· 1 Like · Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
 
Sms / Ghazal

Ijunoon

Bey Karaar Tanhaaiyun Ka Silsila Reh Jaayega

Bey karaar tanhaaiyun ka silsila reh jaayega
Terey merey darmiyaan bas ek khalaah reh jaayega

Aks beh jaayenge saarey dhoop ke sailaab mein
Aur koee paaniyoun mein jhaankta reh jaayega

Mujhko merey humsafar, aisa safar darpesh hai
Raasta kat bhi gaya tou faasila reh jaayega

Laug so jaayenge khaamushi ki chadar odh ker
Chaand sooney aanganoun mein jaagta reh jaayega

· 1 Like · Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal Tags: Chadar
 
Sms / Ghazal

Ijunoon

Kaisay Kahoon K Apna Bana Lou Mujhey

Kaisay kahoon k apna bana lou mujhey
bahoun mein apni sama lou mujhey

Bin tumharey aik pal bhi ab kat-ta nahin
Tum aa ker mujhi say chura lou mujhey

Zindagi tou woh hai sang tumharey jo guzrey
Dunya kay gamoun say ab chura lou mujhey

Meri sab say gehri khuwahish hou puri
Tum agar pass apnay bula lou mujhey

Yeh kaisa nasha hai jou behka raha hai
Tumhara hoon mein tou sambhalo mujhey

Najanay phir kaisay guzrey gi zindagani
Agar apnay dil say kabhi tum nikalo mujhey

· 2 Like · Apr 17, 2007 at 02:04
Category: ghazal
 
Colours For Hairz
Posted by abdul qadeer
Posted on : Aug 11, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS