Search
Poetry / Love
Ahmed Malik
Kisi K Yun Bicherney Se
kisi k yun bicherney se
kisi ki yaad aaney se
hazaaron log rotey hain
k rona ik riwayat hai
riwayat torr jata hun
tumhari yaad aaney per
main aksar muskurata hun !!
kisi ki yaad aaney se
hazaaron log rotey hain
k rona ik riwayat hai
riwayat torr jata hun
tumhari yaad aaney per
main aksar muskurata hun !!
·
1 Like ·
Dec 12, 2018 at 01:12
Category: love
Poetry / Love
Rafeeq
Yun Dost Saarey Apney Apney Rastey Badal Gaey
YuN dost saarey apney apney rastey badal gaey
kuch peechey ruk gaey to kuch aagey nikal gaey
Haalaat ki dhoop zaraa si deir ko teiz kya hui
jitney wafaa ke peikar thay saarey pighal gaey
waadoN ke taarey raatoN sey baahar na jaa sakey
iraadoN ke din nikalney sey pehley hi dhal gaey
wafaaoN ke rang shabnam ke qatroN ney dho deeye
mohabbat ke phool jazboN ki 'shiddat' sey jal gaey
taanoN ke teer dunya ki kamaanoN pe jab charrhey
sabar ke daaman haathon sey yak'dam phisal gaey
aaNkheiN khuleiN to khwaboN ko bura laga magar
kuch deir wo reh ke muztarib khud hi behal gaey
pehley pehal to ajeeb lagey badley huwey chehrey
phir yuN huwa ke waqt ke saath hum bhi sambhal gaey

Nov 21, 2018 at 23:11
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Afza Altaf
Main Yun Hi Shoq Mein Kab Tak Usey Pukara Krun?
*Main Yun hi Shoq Mein Kab Tak Usey Pukara Krun?
* Woh Mera Hai, Ya Nai Hai, Ab Kia Istekhara Krun?
* Kaha Hai Us Ne K Main Har Roz Aaun Ga.....
* Kia Main Us k Lie Rozana Ghar Sanwara Krun?
* Tamam Log Dekhte Hain Nazar Bhar K Usey.....
* To Kyun Na Roz Main Uski Nazar Utara Krun...
* Jo Ban Gaya Hai Mere Lie Wisaal-e-Jan.....
* Main Sochta Hun K Un Sab Se Ab Kinara Krun...
* Woh Meri ZINDAGI Hai Aur Dusron K Sath Rahe...
* Yeh Be-rukhi Main Bhala Kis Tarha Gawara Krun???

Oct 19, 2018 at 06:10
Category: sad
Poetry / Humorous
Ali Awan Malik
Hum Nay To Yun Ujjaarr Di Jaisay.
Hum Nay To Yun Ujjaarr Di Jaisay.
Zindagi Baap Ki Kamayee Ho.
Zindagi Baap Ki Kamayee Ho.
·
2 Like ·
Sep 18, 2018 at 01:09
Category: humorous
Poetry / Sad
Sadaf Butt
Yun Zindagi Guzaar Raha Hun Teray Baghair.
Yun Zindagi Guzaar Raha Hun Teray Baghair.
Jaisay Koi Gunaah Kiye Jaa Raha Hun Mian.
Jaisay Koi Gunaah Kiye Jaa Raha Hun Mian.
·
0 Like ·
Sep 16, 2018 at 08:09
Category: sad
Poetry / General
Mahu Arish
Yahan Mazdoor Ko Marnay Ki Jaldi Yun Bhi Hai Mohsin.
Yahan Mazdoor Ko Marnay Ki Jaldi Yun Bhi Hai Mohsin....
K Zindagi Ki Kash-ma-Kash Mien Kafan Mehnga Na Ho Jaye...!
K Zindagi Ki Kash-ma-Kash Mien Kafan Mehnga Na Ho Jaye...!
·
3 Like ·
Sep 12, 2018 at 19:09
Category: general
Poetry / General
Ebrahim Ali Ali
Yun Hi Mausam Ki Ada Dekh Kar Yaad Aya Hai
Yun Hi Mausam Ki Ada Dekh Kar Yaad Aya Hai
Kis qadar badal jatay hain insaan janan
Kis qadar badal jatay hain insaan janan
·
0 Like ·
May 15, 2018 at 08:05
Category: general
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dikhai Diye Yun Ke Bekhud Kiya
Dikhai diye yun ke bekhud kiya,
Hamen aap se bhi juda kar chale.
Bahut aarzoo thi gali ki teri,
So yaan se lahu mein naha kar chale.
Jabin sijda karte hi karte gayi,
Haq-e-bandgi ham ada kar chale.
Prastash ki yaan taeen ke ai but tujhe,
Nazr mein sabhon ki Khuda kar chale.
Gayi umr dar band-e-fikr-e-ghazal,
So is fan ko aisa bara kar chale.
Kahen kya jo puchhe koi ham se .
Jahaan mein tum ae the kya kar chale.
Hamen aap se bhi juda kar chale.
Bahut aarzoo thi gali ki teri,
So yaan se lahu mein naha kar chale.
Jabin sijda karte hi karte gayi,
Haq-e-bandgi ham ada kar chale.
Prastash ki yaan taeen ke ai but tujhe,
Nazr mein sabhon ki Khuda kar chale.
Gayi umr dar band-e-fikr-e-ghazal,
So is fan ko aisa bara kar chale.
Kahen kya jo puchhe koi ham se .
Jahaan mein tum ae the kya kar chale.
·
2 Like ·
Mar 08, 2018 at 07:03
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Zindagi Yun Thi K Jeenay Ka Bahana Tu Tha
zindagi yun thi k jeeney ka bahana tu tha
hum faqt zaib-e-hikayat the, fasana tu tha
hum ney jis jis ko bhi chaaha terey hijraan men, woh log
aatey jaatey huye mausam the, zamana tu tha
ab kay kuch dil hi na maana k palat kar aatey
warna hum dar badaron ka to thikana tu tha
yaar aghyaar kay haathon men kamaanen thi Faraz
aur sab dekh rahey the k nishana tu tha

Feb 13, 2018 at 11:02
Category: love
Sponored Video