Search
Social Wall / Videos
Punjabi Music Videos
Dukh Kaaton - 'Paisa Yaar N Panga'
·
-1 Like ·
Nov 24, 2017 at 21:11
Category: videos
Poetry / Love
Khiyal E Yaar Tujhko Moatbar Kehta Raha Hoon Main
Karri Tanhaiyon Ko Humsafar Kehta Raha Hoon Main
Khiyal-e-Yaar TujhKo Moatbar Kehta Raha Hoon Main,
Karaya Shaam-e-Furqat Ne Taruf Ek Niya es Ka
Woh Ek Dariya Ko Jisko Chashm-e-Tar Kehta Raha Hoon Main,
Wahaan Bhi Log Apni Kirchiyaan Chunte Nazar Aaye
Jahaan K Pathron Ko Be Zarar Kehta Raha Hoon Main,
Nazar K Zawiye Tabdeel Kar Dete Hain Kuch Chehre
Woh Qatil Tha Jise Jaan o Jigar Kehta Raha Hoon Main,
Sila Ab Aur Kiya Maango Qateel Apni Ebadat ka
Yehi Meri Jannat Jis Ko Ghar Kehta Raha Hoon Main...!

1 Like ·
Oct 24, 2017 at 23:10
Category: love
Advertisement
Social Wall / Videos
Punjabi Music Videos
Yaar Kathe Song - 'Yaaran Da Katchup'
·
0 Like ·
Sep 27, 2017 at 00:09
Category: videos
Social Wall / Videos
Punjabi Music Videos
Choo Cha - 'Paisa Yaar N Panga'
·
0 Like ·
Sep 17, 2017 at 07:09
Category: videos
Poetry / Sad
Hazoor E Yaar Men Harf Iltija Kay Rakhay Thay
hazoor-e-yaar men harf iltija kay rakhay thay
chiragh saamnay jesay hawa kay rakhay thay
bus ik ashk-e-nadaamat nay saaf kar daalay
woh sab hisaab jo hum nay utha rakhay thay
tumhi nay paaon na rakha wagarna wasl ki shab
zameen pay hum nay sitaray bichha kay rakhay thay
bikhar rahay thay so hum nay utha liay khud he
gulab jo teri khatir saja kay rakhay thay
hawa kay pehlay hi jhonkay say haar maan gaey
wohi chiragh jo hum nay bachaa kay rakhay thay
mita saki na unhain roz o shab ki barish bhi
dilon men naqsh jo rang-e-hina kay rakhay thay
hasool-e-manzil-e-duniya kuch aisa kaam na tha
magar jo raah men pathar ana kay rakhay thay...!

Aug 12, 2017 at 01:08
Category: sad
Poetry / Sad
Hazoor E Yaar Mein Harf Iltijaa Kay Rakhay Thay
Hazoor-e-Yaar mein harf ILTIJAA kay rakhay thay,
Charaagh saamnay jaisay hawa kay rakhay thay,
Bas ik ashk-e-Nadaamat se saaf ker dalay,
Wo sab hisaab jo ham ne Utha kay rakhay thay,
Tum hee nay Paon na rakha,warna wasal kee Shab,
Zameen pe ham ne sitaray bicha kay rakhay thay,
Hawa kay pehlay hee jhonkay say haar maan gaey,
Wohi charaagh jo ham ne bacha kay rakhay thay,
HASOOL-E-MANZIL-E-DUNYAA KUCH AISA KAAM NA THA,
MAGER JO RAH MEIN PATHAR "ANAA" KAY RAKHAY THAY.

Jun 19, 2017 at 05:06
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Bohat Farsooda Lagte Hain Mujhe Ab Yaar Ke Kissey
Bohat farsooda lagte hain mujhe ab yaar ke kissey
Gul o gulzar ki batain lab o rukhsaar ke kisse,,
Yahan sab ke mukaddar main fakat zakhm e judai hai
Sabhi jhootay fasane hain wasal-e-yaar ke kisse,,
Bhala ishq-o-mohabbat se kis ka pait bharta hai
Suno ! tum ko sunata hoon mein karobar ke kisse,,
Mere ehbaab kehte hain yehi ik aeb hai mujh main
Sare deewar likhta hon main pasey deewar ke kisse,,
Main aksar es liye logon se ja kar khud nahin milta
Wohi bekaar ki batain ' wohi bekaar ke kisse!

May 13, 2017 at 04:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Gham E Hijr E Yaar Main Rahoon Be Qaraar Kab Tak
Gham-E-Hijr-E-Yaar main Rahoon Be-Qaraar Kab Tak?
Mere Dil Bata Yeh Mujh Ko Karoon Us Ko Pyar Kab Tak?
Ye Hujoom-E-Naa-Muraadi Gham-E-Be-Shumaar Kab Tak?
Teri Baat Ka Bharosa Tera Intizaar Kab Tak?
Shab-E-Hijr Ki Udaasi Kahein Mujh Ko Le Na Doobey!
Meri Dharkanon Pe Ho Gaa Tera Ikhtiyaar Kab Tak?
Nahi Aaj Kaa Bharosaa, Na Kal Ki Hain Umeedein
Teri Reh Takoon Main, Shab-E-Wasl-E-Yaar Kab Tak?
Jahaan Dekhiye Andhera! Jahaan Sochiye Udaasi!
Raah-E-Zindagi Mein Yaa RAB! Rahe Gaa Ghubaar Kab Tak?
Main Nikal Para Tha Tanha, Liye Saare Ranj Dil Par !
Magar Phir Khayal Aaya K Sahoon Ye Baar Kab Tak?
Meri Aankhein Tak Rahain Hain Teri Waapsi Ki Raahein!
Tu Hi Ab Bata De Mujh ko Karun Intizaar Kab Tak?!
Mujhe Yoon To De Gayaa Hai Woh Dilasa Jaate Jaate!
Magar Ab Ye Sochta Hoon Karoon Aitibaar Kab Tak?

Mar 08, 2017 at 05:03
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Jamal E Yaar Ko Dekhoon, Kamal E Yaar Se Pehlay
Jamal-e-Yaar ko Dekhoon, Kamal-e-Yaar se Pehlay
Main Khushboo ki Trah Mehkoon, Khyal-e-Yaar se Pehlay
Karishmay Husn k Sooraj, Sitaray, Phool Zahir hain
Magr Main kiss Tarf Dekhoon, Misaal-e-Yaar se Pehlay ?
Duaon me Meri Yun to Bohat Taaseer Hai Lekin
Main Khuda se or kya Mangoon, Swaal-e-Yaar se Pehlay ?
Hai Aadat Door Rehne ki, Agr wo Saamnay Aaye
Main Shaam-e-Zindagi Chahoon, Visaal-e-Yaar se Pehlay

Jan 13, 2017 at 20:01
Category: love
Sponored Video