Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tumhen Yaad Hai Jaana???
Tumhen Yaad Hai Jaanaa
Guzishta Saal July Mein...
Issi Tarah Ka Mosam Tha...
Jab Tum Ne Kaha Tha Mujh Se...
Chalo Hum Naam Badaltay Hein...
Koi Achay Se Farzi Naam Rakho
Tum Apne Aur Mere...
Han Uss Waqt Tumhari Baat...
Meine Unn-sunni Kar Dee Thi...
Magar Jab Se Laggi Hai Thokar...
To Hein Kuch Naam Zehn Mein Aaye...
Aaj Issi July Mein....
Woh Farzi Naam Rkhay Hein...
Mer Naam Aaj Se " Tanha"...
aur...
Aur Tumhara Naam "Mosam" Hai...
Kay...
"Tanha" Anna Parast Thehra...
aur "Mosam" Be-wafa Janaa...
Guzishta Saal July Mein...
Issi Tarah Ka Mosam Tha...
Jab Tum Ne Kaha Tha Mujh Se...
Chalo Hum Naam Badaltay Hein...
Koi Achay Se Farzi Naam Rakho
Tum Apne Aur Mere...
Han Uss Waqt Tumhari Baat...
Meine Unn-sunni Kar Dee Thi...
Magar Jab Se Laggi Hai Thokar...
To Hein Kuch Naam Zehn Mein Aaye...
Aaj Issi July Mein....
Woh Farzi Naam Rkhay Hein...
Mer Naam Aaj Se " Tanha"...
aur...
Aur Tumhara Naam "Mosam" Hai...
Kay...
"Tanha" Anna Parast Thehra...
aur "Mosam" Be-wafa Janaa...
·
1 Like ·
Apr 22, 2016 at 04:04
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aaj Mujhko Teri Yaad Ne Phir Se Rula Diya
Aaj Mujhko Teri Yaad Ne Phir Se Rula Diya
Meri Wafaa Ka Zindgi Ne Kaisa Sila Diya
Diye Baadalon Ke Khwaab Mujhe Jisske Saath Ne
Mitti Mein Uske Pyaar Ne Mujhko Mila Diya
Uski Chita Ki Raakh Se Khushbu Teri Mili
Jiss Shaks Ko Tere Shahar Mein, Zinda Jala Diya
Meri Yaadon Mein Hi Cut Gayi Uski Tamaam Umr
Kehta Raha Ki Usne Mujhe, Kabka Bhula Diya
Wo Mujhko Dekh Ker Ke Zara Chup Sa Reh Gaya
Aaj Usko Mere Haal Ne, Shayad Rula Diya
Bas Ek Nazar Chehre Per Uske Kya Pad Gayi
Itne Mein Usne Ishq Ka, Jaadu Chala Diya
Main Bhi Kabhi Thaa Narm Mizaaj Phulon Ki Tarah
Mujhko Gumo Ki Maar Ne, Pather Banaa Diya
Maine Zindgi Ko Saump Diya Jisske Haath Mein
Us Shaks Ne Mujhko Jaam, Zahar Ka Pila Diya
Wo Marrte Marrte Naam Mera Le Gayaa Karan
Bas Uski Is Adaa Ne Mera, Kaleja Hila Diya

Apr 21, 2016 at 16:04
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aaj Hamdard Mujhy Yaad Purany Aaye
Aaj Hamdard Mujhy Yaad Purany Aaye,
Par Tasawar Mein Wahi Guzry Zamany Aaye.
Yaad Aaye Wo Sar-E-Sham Ki Mehfil Apni,
Yaad Wo Raat K Kuch Khawab Suhany Aaye.
Ek Mudat Se Meri Aankh Ne Dekha Hi Nahi,
Ek Manzar Jo Mera Chain Churany Aaye.
Main To Marny Ko Bhi Tayar Hon Itna To Kary,
Wo Meri Laash Pe Ronay K Bahany Aaye.
Wo Agar Mujh Se Khafa Hai To Koi Baat Nahi,
Wo Kisi Aur Se Milny K Bahany Aaye.
Meri Itni Hi Tamana Hai Mery Sath Chaly,
Kab Ye Kehta Hon Mery Naaz Uthany Aay.

Apr 16, 2016 at 13:04
Category: sad
Poetry / General
Ijunoon
Usi Ko Yaad Kartey Hain
Chalo Khuch Dair hanstey hain
Usi ko yaad kartey hain
Jisey hum zeest kehtay thy
Ke laina sans bhi jis ke bina
Humain ik jurm lagta tha
Ke sang jiss k har ik lamha
Khush-o-khuram lagta tha
Jisey hum zindagi kehtey
Jisey the shayari kehtey
Ghazal ka qafia tha jo
Nazm ka jo ke unwan tha
Woh lehja jab badalta tha
Qayamat khaiz lagta tha
Waqt se agay chalta tha
Bala ka teez lagta tha
Jo saya ban ke rehta tha
Juda ab uss ke rastay hain
Chalo khuch dair hanstey hain
Usi ko yaad kartey hain,
Usi ko yaad kartey hain
Jisey hum zeest kehtay thy
Ke laina sans bhi jis ke bina
Humain ik jurm lagta tha
Ke sang jiss k har ik lamha
Khush-o-khuram lagta tha
Jisey hum zindagi kehtey
Jisey the shayari kehtey
Ghazal ka qafia tha jo
Nazm ka jo ke unwan tha
Woh lehja jab badalta tha
Qayamat khaiz lagta tha
Waqt se agay chalta tha
Bala ka teez lagta tha
Jo saya ban ke rehta tha
Juda ab uss ke rastay hain
Chalo khuch dair hanstey hain
Usi ko yaad kartey hain,
·
1 Like ·
Apr 06, 2016 at 03:04
Category: general
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Har Lamha Teri Yaad Ki Khushbu
Har Lamha Teri Yaad Ki Khushbuu Hai Mere' Paas
Is Shehar Main Tanha Hoon Magar Tuu Hai Mere' Paas
Jis Shakl Ko Chahoon Teri Tasveer Main Badal Doon
Ye Husn-E-Tasavvar Hai Ke Jaaduu Hai Mere' Paas
Rakhta Hai Sadaa Jo Meri Raaton Ko Mo'attar
Wo Tere' Badan Ka Gul-E-Khushbuu Mere' Paas
Kese' Mujh Ko Pasand Aaein Ge' Is Shehar Ke Naghme'
Tuu Hai Meri Koyal Teri Kuu Kuu Hai Mere' Paas
Kyun Thaamoon Ga Jaan! Main Kisi Aur Ki Baanhain
Pehne' Huye Kangan Tere' Baazuu Hain Mere' Paas
Jab Chahoon Qateel Us Ke Nagar Tak Mujhe' Le' Jaaein
Sochon Ka Chammakta Hua Jugnuu Hai Mere' Paas

Mar 02, 2016 at 10:03
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Toh Yaad Aonga
Jab Kabhi Woh Hoga Apni Zaat Mein Tanha, Toh Yaad Aonga,
Na Chala Kadam Se Kadam Sath Koi, Toh Yaad Aonga,
Main Uski Aankhon Ka Ishara Bhi Samajh Leta Hoon,
Na Samajh Saka Koi Dil Ki Baat, Toh Yaad Aonga,
Din Ka Har Ik Pal Guzarega Jab Us Pe bhari
Aur Tanha Katte Gi Raat, Toh Yaad Aonga,
Har Baazi Jaan Kar Us Se Haar Jata Hoon,
Jab Dega Koi Usay Haar, Toh Yaad Aonga,
Hansnay Ko Toh Duniyaan Hansti Hai Sath Sath,
Na Roya Koi Dukh Mein Saath, Toh Yaad Aonga......!!!!

2 Like ·
Feb 26, 2016 at 17:02
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tumhe Yaad Aajye
Meri Bateen
Meri Muskurahat
Meri Shararat
Meri Chahat
Meri Saansay
Meri Dharkan
Meri Mohabbat
Shayed ! !
Tumhay Yaad Aa Jaye
Kay
Tumhay Bhi Mujh Say
Mohabbat Thi
Tumhari Bhi Ak
Khowahish Thi
Tumhari Bhi Ak
Tamannah Thi
Tumhari Bhi Ak
Aarzoo Thi
Shayed ! !
Tumhay Yaad Aa Jaye
Keh
Tumhay Bhi Mujh Say
Mohabbat Thi
Ak Baar
Sirf Ak Baar
Kabhi Sochna Tum Kabhi
Meri Muskurahat
Meri Shararat
Meri Chahat
Meri Saansay
Meri Dharkan
Meri Mohabbat
Shayed ! !
Tumhay Yaad Aa Jaye
Kay
Tumhay Bhi Mujh Say
Mohabbat Thi
Tumhari Bhi Ak
Khowahish Thi
Tumhari Bhi Ak
Tamannah Thi
Tumhari Bhi Ak
Aarzoo Thi
Shayed ! !
Tumhay Yaad Aa Jaye
Keh
Tumhay Bhi Mujh Say
Mohabbat Thi
Ak Baar
Sirf Ak Baar
Kabhi Sochna Tum Kabhi
·
2 Like ·
Feb 12, 2016 at 08:02
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Yaad
Kabhi Aati Hai
Khamoshi Se
Chupke Se
Dheeme Dheeme Se
Sargoshi Se
Aahista Aahista
Andheri Raat Mein
Bheegi Barsaat Mein
Kabhi Veerane Mein
Kabhi Anjaane Mein
Kabhi Mehfil Mein
Kabhi Tanhaai Mein
Mehakte Phoolon Si
Khilte Gulaabon Si
Behakte Lamhon Si
Sisakte Zakhmon Si
Kya Khabar Kyu Aati Hai
Waqt Be-Waqt Ye
Kiss Wajah Se
Kiss Ke Liye
Kiss Ki Khaatir
Kya Bataane
Kya Samjhaane
Ye Aati Hai
Ye Kya Hai
Ek Ehsaas Hai
Ek Pyaas Hai
Ek Chaahat Hai
Ek Mohobbat Hai
Phir Bhi Acchi Lagti Hai
Anjaani Si
Be-Gaani Si
Par Jaani-Pehchaani Si
Ek Khoobsurat Yaad
Haan,
Bas Teri Hi Yaad
Pal Pal Ye Aati Hai
Lamha Lamha Mujhe Sataati Hai
Khamoshi Se
Chupke Se
Dheeme Dheeme Se
Sargoshi Se
Aahista Aahista
Andheri Raat Mein
Bheegi Barsaat Mein
Kabhi Veerane Mein
Kabhi Anjaane Mein
Kabhi Mehfil Mein
Kabhi Tanhaai Mein
Mehakte Phoolon Si
Khilte Gulaabon Si
Behakte Lamhon Si
Sisakte Zakhmon Si
Kya Khabar Kyu Aati Hai
Waqt Be-Waqt Ye
Kiss Wajah Se
Kiss Ke Liye
Kiss Ki Khaatir
Kya Bataane
Kya Samjhaane
Ye Aati Hai
Ye Kya Hai
Ek Ehsaas Hai
Ek Pyaas Hai
Ek Chaahat Hai
Ek Mohobbat Hai
Phir Bhi Acchi Lagti Hai
Anjaani Si
Be-Gaani Si
Par Jaani-Pehchaani Si
Ek Khoobsurat Yaad
Haan,
Bas Teri Hi Yaad
Pal Pal Ye Aati Hai
Lamha Lamha Mujhe Sataati Hai
·
1 Like ·
Dec 05, 2015 at 05:12
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Teri Yaad Rehti Hai
Zehan Ke Khialoon Main
Rooh Ke Ujaloon Main
Zindgi Ki Jheeloon Main
Zaat Ki Fasiloon Main
Ratjagoon Ke Daman Main
Khawahishoon Ke Aangan Main
Dil Ke Khushk Sehra Main
Chashm-E-Tar Ke Darya Main
Dard Ke Jahan Main Bhi
Ashk-E-Be-Zaban Main Bhi
Aur Kuch Nahi Rehta
Teri Yaad Rehti Hai
Rooh Ke Ujaloon Main
Zindgi Ki Jheeloon Main
Zaat Ki Fasiloon Main
Ratjagoon Ke Daman Main
Khawahishoon Ke Aangan Main
Dil Ke Khushk Sehra Main
Chashm-E-Tar Ke Darya Main
Dard Ke Jahan Main Bhi
Ashk-E-Be-Zaban Main Bhi
Aur Kuch Nahi Rehta
Teri Yaad Rehti Hai
·
1 Like ·
Nov 29, 2015 at 13:11
Category: love
Sponored Video