Search
Articles / Featured
Ijunoon
Waqt Me Aik Secand Ka Izafa
سنیچر کی رات دنیا بھر کی الیکٹرانک گھڑیوں میں ایک سیکنڈ کا اضافہ کیا گیا ہے تاکہ وہ زمین کی روزانہ گردش سے تال میل برقرار رکھ سکیں۔
گھڑیوں کے ایجاد سے پہلے لوگ وقت کا اندازہ آسمان میں سورج کے مقام ...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Aug 27, 2017 at 08:08
Category: featured
Poetry / Sad
Tujhpe Ae Waqt Ehsaan Kiye Jaate Hain
Zindgi kuch bhi nahin phir bhi jiye jaate hain
Tujhpe Ae waqt ehsaan kiye jaate hain.
Kuch to halaat ne mujrim hamain tehraya hai
Auar kuch aap bhi ilzaam diye jaate hain.
Chean li waqt ne ulfat ke ghamon ki doulat
Khaali daaman hai wahi saath liye jaate hain.
Zindgi kya hai koi jaane kafan hai Faaqir
Umra ke haathon hum jisko siye jaaate hain...!

Aug 19, 2017 at 15:08
Category: sad
Advertisement
Poetry / Love
Waqt Guzra Tu Yeh Malaal Howa
Waqt Guzra Tu Yeh Malaal Howa
Khatam Ak ZindagI Ka Saal Howa
Kitni Shiddat Say Koii Yaad Aaya
Aaj Jeena Bara Mahaal Howa
Soch Ki Jheel Main Gira Pather
Be-Sabab Muntashir Khayal Howa
Log Dekhay Bohat Mager Jana
Koii Teri Kaha Misaal Howa
Din Raat Main Socha Karti Hoon
Ak Khowab Sa Dekha Karti Hoon
Main Janti Hoon Wo Bas Main Nahi
Phir Bhi Usay Pooja Karti Hoon
Ak Ghutan See Dil Main Rehti Hay
Be-Waja Main Roya Karti Hoon
Ay Kaash Usay Main Keh Bhi Sakon
K Main Tum Ko Chaha Karti Hoon
Khatam Ak ZindagI Ka Saal Howa
Kitni Shiddat Say Koii Yaad Aaya
Aaj Jeena Bara Mahaal Howa
Soch Ki Jheel Main Gira Pather
Be-Sabab Muntashir Khayal Howa
Log Dekhay Bohat Mager Jana
Koii Teri Kaha Misaal Howa
Din Raat Main Socha Karti Hoon
Ak Khowab Sa Dekha Karti Hoon
Main Janti Hoon Wo Bas Main Nahi
Phir Bhi Usay Pooja Karti Hoon
Ak Ghutan See Dil Main Rehti Hay
Be-Waja Main Roya Karti Hoon
Ay Kaash Usay Main Keh Bhi Sakon
K Main Tum Ko Chaha Karti Hoon
·
1 Like ·
Jul 01, 2017 at 10:07
Category: love
Poetry / Love
Saans Tak Nahin Lete Hain Tujhe Sochte Waqt

Hum Ne es Kaam Ko Bhi Kal Pe Utha Rakha Hai
Rooth Jaate Ho To Kuch Or Haseen Lagte Ho
Hum Ne Ye Soch K Hi Tum Ko Khafa Rakha Hai
Tum Jise Rota Hua Choar Gaye The Ek Din
Hum Ne Us Shaam Ko Seeney Se Laga Rakha Hai
Chain Lene Nahin Deta Ye Kisi Tor Mujhe
Teri Yaadon Ne Jo Toofaan Utha Rakha Hai
Jaane Waale Ne Kaha Tha K Wo Laut Aaey Ga Zaroor
Ek Isi Aas Pe Darwaaza Khula Rakha Hai
Tere Jaane Se Jo Ek Dhool Uthi Thi Ghum Ki
Hum Ne Us Dhool Ko Aankhon Mein Basa Rakha Hai
Mujh Ko Kal Shaam Se Wo Bohat Yaad Aane Laga
Dil Ne Muddat Se Jo Ek Shaks Bhula Rakha Hai
Aakhri Baar Jo Aaya Tha Mere Naam Mohsin
Mein Ne es Khat Ko Kalejey Se Laga Rakha Hai

Jun 30, 2017 at 06:06
Category: love
Poetry / Sad
Aakhir Waqt To Saaray Hi Guzar Jate Hain
Zard patton ki tarah khuwaab bikhar jate hain
dard lamhay tu meri jaan main utar jate hain
main wafaon ki hatheli pe likhi tehreerain
parhna chahon tu sabhi harf mukar jate hain
dil ko hairat hai ke chup chaap guzarte lamhay
kis tarah aankh ki putli main thehar jate hain
umar sehra main katay ya gham-e-tanhai main
aakhir waqt to saaray hi guzar jate hain
ab tau ye hai ke teri yaad main bheegay manzar
chaltay chaltay mere hathon se bikhar jate hain

Jun 23, 2017 at 07:06
Category: sad
Poetry / Love
Yeh Jo Waqt He Meray Shehar Par Kayi Mosmoon Sy Ruka Hoa
Yeh jo waqt he meray shehar par kayi mosmooN sy ruka hoa
issay izn day k safar karay
issay hukm day k chal parray, meray aasmaaN say door ho
koyi chand chehra kushaa karay, koyi aaftaab zahoor ho
k nawa-e-chashm-e-kheyaal mein woh jo khwaab thay, woh dhuaaN hoye
woh jo aag thi woh naheen rahi, jo yaqeen thay woh gumaaN hoye
koyi dhund hai jissay dekhtay meri aankh baraf si ho gayi
woh ibarat-e-sir-e-loh-e-dil, kissi rabt say naheen aashna
k jo roshni thi kitaab mein wohi harf harf si ho gayi
koyi gardbaad uthay kaheen, kissi zalzalay ki namood ho
meri aankh mein yeh jo raat hai, meri umr si, issay taal day
meray dasht-e-raig-e-malaal ko kissi khushkhabri ka ghazal day
yeh falk pe jitnay nujoom hain teray hukm kay hain yeh muntazir
woh jo subh-e-nau ka naqeeb ho meri simt us ko uchhaal day

Jun 19, 2017 at 17:06
Category: love
Articles / Featured
Ijunoon
Masroof Tareen Zindagi Khail Kood Ka Waqt Mafqood
برطانیہ میں کئے گئے ایک حالیہ سروے میں انکشاف ہوا ہے کہ دور حاضر کی مصروف ترین زندگی میں طلباء و طالبات کیلئے کھیل کود کا وقت مفقود ہو چکا ہے۔ برطانوی اخبار گارڈین میں شائع ہونیوالے سروے کے مطابق والد...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Jun 07, 2017 at 00:06
Category: featured
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Suno Yeh Waqt E Rukhsat Hai
Suno Yeh Waqt-E-Rukhsat Hai,Sakoot-E-Safar Tari Hai
Khatam Umron Ka Zar,Baqi Lamhon Ki Raizgari Hai
Suno Aankhain To Gumsum Hain,Dilon Main Aah O Zaari Hai
Suno Ye Zabt Ka Mousam Nahin,Bay Ikhtiari Hai
Suno Ye Aas Ki Dori Utha Lo Hath Say Meray
Mere Hathon Main Kache Dhagon Ki Be Aitbari Hai
Suno Main Khuwab Ab Bhi Dekhti Hoon Dil K Kehne Se
Meri Aankhon Main Ab Bhi Zakhm,Dil Me Be Qarari Hai
Suno Ye Raz Bhi Sun Lo Ke Dil Ka Khel Jitna Tha
Ye Bazi Tum Ne Jiti Hai,Hamesha Hum Ney Hari Hai
Suno Tum Sath Rehte Thay Meri Har Ek Sans Main
Tumhare Naam Karti Hoan Jahan Jitni Guzari Hai
Suno Aankhon Se Parh Lena Wo Sari An Kahi Batain
Koi Pochay To Keh Dena,Bohat Hi Razdari Hai
Suno Palkon Pe Jitne Khuwab The Unko Utha Lena
Meri Aankhon Pe In Ka Bojh Meri Taqat Sey Bhari Hai
Suno Hum Lotne Wale Nahi ,Sab Keh Lo Sun Lo Aaj
Bohat Hi Door Jana He,Barri Lambi Udaari Hai
Suno Ye Waqt-E-Rukhsat Hai,Suno Ye Hurf-E-Aakhir Hai
Suno Ye Dard Hijar Ka Har Eik Hijrat Se Kaari Hai

Jun 02, 2017 at 01:06
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Waqt Mila To Sochenge
KYU TU ACHA LAGTA HAI, WAQT MILA TO SOCHENGE
TUJH MEI KIA KIA DEKHA HAI WAQT MILA TO SOCHENGE
SARA SHEHER SHANASAI KA DAWEDAR TO HAI LEKIN
KON HAMARA APNA HAI, WAQT MILA TO SOCHENGE
HUM NE USKO LIKHA THA, KUCH MILNE KI TADBEER KARO
US NE LIKH KER BHEJA HAI, WAQT MILA TO SOCHENGE
MOSAM KHUSHBU BAAD-E-SABA CHAND SHAFAQ AUR TARON MEI
KON TUMHARE JAISA HAI ,WAQT MILA TO SOCHENGE
YA TO APNE DIL KI MANO, YA PHIR DUNIA WALON KI
MASHWARA USKA ACHA HAI WAQT,WAQT MILA TO SOCHENGE

-1 Like ·
May 23, 2017 at 17:05
Category: love
Sponored Video