Search
Poetry / Friendship
Kia Khabar Tum Ko Dosti Kia Hai
Kia Khabar Tum Ko Dosti Kia Hai
Ye Roshni Bhi Hai Andhera Bhi Hai
Khwahishon Say Bhara Jazeera Bhi Hai
Bohat Anmol Ik Heera Bhi Hai
Dosti Ik Haseen Khwab Bhi Hai
Pass Say Dekho Tou Sarab Bhi Hai
Dukh Milnay Pe Ye Azab Bhi Hai
Aur Ye Piyar Ka Jawaz Bhi Hai
Dosti Yoon Tou Maaya Jaal Bhi Hai
Ik Haqeeqat Bhi Hai Khayal Bhi Hai...!
Ye Roshni Bhi Hai Andhera Bhi Hai
Khwahishon Say Bhara Jazeera Bhi Hai
Bohat Anmol Ik Heera Bhi Hai
Dosti Ik Haseen Khwab Bhi Hai
Pass Say Dekho Tou Sarab Bhi Hai
Dukh Milnay Pe Ye Azab Bhi Hai
Aur Ye Piyar Ka Jawaz Bhi Hai
Dosti Yoon Tou Maaya Jaal Bhi Hai
Ik Haqeeqat Bhi Hai Khayal Bhi Hai...!
·
3 Like ·
Nov 23, 2017 at 17:11
Category: friendship
Social Wall / Videos
Hindi Music Videos
Tum Mil Gaye Feat Peddy
·
0 Like ·
Nov 23, 2017 at 16:11
Category: videos
Advertisement
Poetry / Sad
Tum Jo Hote To Mujhay Kitna Sahara Hota
Tum jo hote to mujhay kitna sahara hota
Main ne auron ko na dukh mian pukara hota
Jitni shiddat se wabasta tha main tujh se
Kis tarh mera, tere bagher guzara hota
Mujh ko ye soch hi kafi hai jalane k lye
Main na hota to koi or tumhara hota
Or hum beth k khamoshi se rotay rehte
Shaam hoti, sharaab hoti, dariya ka kinara hota...!
Main ne auron ko na dukh mian pukara hota
Jitni shiddat se wabasta tha main tujh se
Kis tarh mera, tere bagher guzara hota
Mujh ko ye soch hi kafi hai jalane k lye
Main na hota to koi or tumhara hota
Or hum beth k khamoshi se rotay rehte
Shaam hoti, sharaab hoti, dariya ka kinara hota...!
·
1 Like ·
Nov 23, 2017 at 11:11
Category: sad
Poetry / Love
Kaho Ab Kiya Kahoon Tum Se
KAHO AB KiYA KAHOON TUM SE
BATAO KYA LiKHOON TUM KO
MUJHE TAMHEED DO KOI
MUJHE UMEED DO KOI
NAYA iK LAFZ HO KOI
JAHAN SE BAAT CHAL NiKLAY
MERI MUSHKIL KA HAL NiKLAY
BATAO LAHJA KAISA HO Ke
TUM SE BAAT KERNI HAI
MUJHE THORA OJaLA DO
BASAR iK RAAT KARNI HAI
TUM APNI ROSHAN ANKHOON KO
AGAR KHOLO To MAIN LIKHOON
TUMHARE LAB SE AYE GA
SUKHAN MAIN iK TEEKHA PAN
TUMHARE ANKH DEy DEy GEE
mUKHATAB KO NASHEELA PAN
KAHO AB KYA iRADAH HAI
MUJHE AZHAR KARNA HAI...!
BATAO KYA LiKHOON TUM KO
MUJHE TAMHEED DO KOI
MUJHE UMEED DO KOI
NAYA iK LAFZ HO KOI
JAHAN SE BAAT CHAL NiKLAY
MERI MUSHKIL KA HAL NiKLAY
BATAO LAHJA KAISA HO Ke
TUM SE BAAT KERNI HAI
MUJHE THORA OJaLA DO
BASAR iK RAAT KARNI HAI
TUM APNI ROSHAN ANKHOON KO
AGAR KHOLO To MAIN LIKHOON
TUMHARE LAB SE AYE GA
SUKHAN MAIN iK TEEKHA PAN
TUMHARE ANKH DEy DEy GEE
mUKHATAB KO NASHEELA PAN
KAHO AB KYA iRADAH HAI
MUJHE AZHAR KARNA HAI...!
·
3 Like ·
Nov 23, 2017 at 05:11
Category: love
Poetry / Sad
Usne Kaha Kon Ho Tum?
Usne kaha kon ho Tum?
Mai ne kaha Hasrat teri
Usne kaha Taktey ho kya?
Mai ne kaha Surat teri
Us ne kaha kartey ho kya?
Mai ne kaha Pooja teri
Usne kaha Kaafir ho kya?
Mai ne kaha aisa sahi
Usne kaha chaHte ho kya?
Mai ne kaha Mohabbat teri
Usne kaha Pachtaoge,
Mai ne kaha Kismat meri...!
Mai ne kaha Hasrat teri
Usne kaha Taktey ho kya?
Mai ne kaha Surat teri
Us ne kaha kartey ho kya?
Mai ne kaha Pooja teri
Usne kaha Kaafir ho kya?
Mai ne kaha aisa sahi
Usne kaha chaHte ho kya?
Mai ne kaha Mohabbat teri
Usne kaha Pachtaoge,
Mai ne kaha Kismat meri...!
·
1 Like ·
Nov 22, 2017 at 23:11
Category: sad
Poetry / Sad
Sawan Aya Tum Naheen Aye
Sawan aya tum naheen aye
Reh gaye hum to aas lagaye
Pichali baharon main
tum se mile the
Jin pairron k niche
Hath rakhe khud bikhraye
Gum sum akhiyaan mitey
Un pairron par
jhuk aye hain
Phir patjhar k saaye
Sawan aya tum naheen aye
Theen yehi wadiyaan
The yehi parbat
Tha yehi pyaar ka mousam
Shakhon main the
phool suhane
Pholon par thi shabnam
In ko to hum bhool chuke hain
Tum ko bhool na paye
Sawan aya tum naheen aye
Reh gaye hum to aas lagaye...!
Reh gaye hum to aas lagaye
Pichali baharon main
tum se mile the
Jin pairron k niche
Hath rakhe khud bikhraye
Gum sum akhiyaan mitey
Un pairron par
jhuk aye hain
Phir patjhar k saaye
Sawan aya tum naheen aye
Theen yehi wadiyaan
The yehi parbat
Tha yehi pyaar ka mousam
Shakhon main the
phool suhane
Pholon par thi shabnam
In ko to hum bhool chuke hain
Tum ko bhool na paye
Sawan aya tum naheen aye
Reh gaye hum to aas lagaye...!
·
1 Like ·
Nov 15, 2017 at 03:11
Category: sad
Poetry / Love
Kaisay Kahun Ke Kiya Ho Tum
kaisay kahun ke kiya ho TUM
Chalo mein bataon Kiya ho TUM
Meray leye mere Duniya ho TUM
Chho ke jo guzree wo Hawa ho TUM
Maine jo Mangi, Wo Duaa ho TUM
Karay Mujh ko jo Roshan, Wo Diya ho TUM
Dil yeh kahay mera Jiya ho TUM
Kiya maine Mehsoos wo Ahsaas ho TUM
Mere Nazar ke Talash ho TUM
Meri Zameen ka Aakaash ho TUM
Meray Chehray ke Kashish ho TUM
Meray Sitaroon ke Gardish ho TUM
Meri Zindagi ka Qarar ho TUM
Maine jo Chaha wo PIYAR ho TUM
Meray Intezaar ke RAHAT ho TUM
Meray DIL ki Chahat ho TUM
TUM ho to yeh Duniya hai MaiRE
Kaisey kaho ke Mere JAAN ho TUM...!
Chalo mein bataon Kiya ho TUM
Meray leye mere Duniya ho TUM
Chho ke jo guzree wo Hawa ho TUM
Maine jo Mangi, Wo Duaa ho TUM
Karay Mujh ko jo Roshan, Wo Diya ho TUM
Dil yeh kahay mera Jiya ho TUM
Kiya maine Mehsoos wo Ahsaas ho TUM
Mere Nazar ke Talash ho TUM
Meri Zameen ka Aakaash ho TUM
Meray Chehray ke Kashish ho TUM
Meray Sitaroon ke Gardish ho TUM
Meri Zindagi ka Qarar ho TUM
Maine jo Chaha wo PIYAR ho TUM
Meray Intezaar ke RAHAT ho TUM
Meray DIL ki Chahat ho TUM
TUM ho to yeh Duniya hai MaiRE
Kaisey kaho ke Mere JAAN ho TUM...!
·
3 Like ·
Nov 14, 2017 at 21:11
Category: love
Poetry / Sad
Suna Hoga Bohat Tum Ne
suna hoga bohat tum ne ….
kahiN aankhoN ki rim jhim ka
kahin palkoN ki shabnam ka…
parha hoga bohat tumne ….
kahiN lehjay ki barish ka
kahiN sagar ke aansoo ka…
magar tum ne kabhi humdam …
kahin daikhay? kahin parkhay?
kisi tehreer ke aansoo??…!!
mujhe teri judaai ne …
yehi mairaaj bakhshi hai…
ke main jo lafz likhta hooN …
woh saray lafz rotay hain
ke main jo bhi bunta hooN …
woh saray tawaf kartay hain
mere sang es judaai main …
mere alfaz martay hain
sabhi tareef kartay hain …
meri tehreer ki lekin..
kabhi koi nahin sunta …
mere alfaz ki siski…
falak bhi jo hila daalay..
mere lafzoN main hain shamil …
usi taseer ke aansoo…
kabhi daikho mere humdam…
meri tehreer ke aansoo..!!!
kahiN aankhoN ki rim jhim ka
kahin palkoN ki shabnam ka…
parha hoga bohat tumne ….
kahiN lehjay ki barish ka
kahiN sagar ke aansoo ka…
magar tum ne kabhi humdam …
kahin daikhay? kahin parkhay?
kisi tehreer ke aansoo??…!!
mujhe teri judaai ne …
yehi mairaaj bakhshi hai…
ke main jo lafz likhta hooN …
woh saray lafz rotay hain
ke main jo bhi bunta hooN …
woh saray tawaf kartay hain
mere sang es judaai main …
mere alfaz martay hain
sabhi tareef kartay hain …
meri tehreer ki lekin..
kabhi koi nahin sunta …
mere alfaz ki siski…
falak bhi jo hila daalay..
mere lafzoN main hain shamil …
usi taseer ke aansoo…
kabhi daikho mere humdam…
meri tehreer ke aansoo..!!!
·
1 Like ·
Nov 08, 2017 at 00:11
Category: sad
Poetry / Sad
Suno Tum Ne Kaha Tha Na
suno tum ne kaha tha na!!
mjhy jazba-e-muhabat say kabhi jo tum pukaro gi
main uss din lot aaon ga!!
to daikho na!!
kai lamhon
kai saloon
kai sadiyon
se tera rasta takti
yeh meri muntazir ankhain
mere dil ki ye dharkan aur sansain
bus tumhara naam laiti hain
wohi ik wird karti hain
meri ankhon k sahil par
teri khwahish ki moujon ne
bari halchal machai hai
teri tasveer,sookhay phool aur tohfay!
teri chahat ki khushbu main
abhi takk sans laitay hain
woh sabb rastay k jin par tum hamaray sath chaltay thay
woh sabb rastay jahan teri hansi k phool khiltay thay
jahan pairron ki shakhon par
hum apna naam likhtay thay
udasi say bharay manzar
tumharay lot kar anay ki umeedain dilatay hain
suno kuch bhi nahi badla
tumharay paaun ki awaz sunnay ki
mere kamray ki be tarteeb chezain muntazir hain
suno!!!
takmeel paati chahton ko yun adhoora to nahi choro
mujhay matt azmao tum
chalo abb lot aao tum...!
mjhy jazba-e-muhabat say kabhi jo tum pukaro gi
main uss din lot aaon ga!!
to daikho na!!
kai lamhon
kai saloon
kai sadiyon
se tera rasta takti
yeh meri muntazir ankhain
mere dil ki ye dharkan aur sansain
bus tumhara naam laiti hain
wohi ik wird karti hain
meri ankhon k sahil par
teri khwahish ki moujon ne
bari halchal machai hai
teri tasveer,sookhay phool aur tohfay!
teri chahat ki khushbu main
abhi takk sans laitay hain
woh sabb rastay k jin par tum hamaray sath chaltay thay
woh sabb rastay jahan teri hansi k phool khiltay thay
jahan pairron ki shakhon par
hum apna naam likhtay thay
udasi say bharay manzar
tumharay lot kar anay ki umeedain dilatay hain
suno kuch bhi nahi badla
tumharay paaun ki awaz sunnay ki
mere kamray ki be tarteeb chezain muntazir hain
suno!!!
takmeel paati chahton ko yun adhoora to nahi choro
mujhay matt azmao tum
chalo abb lot aao tum...!
·
1 Like ·
Nov 04, 2017 at 19:11
Category: sad
Sponored Video