Search
Poetry / General

Aik Taraf Dil Tha Aik Taraf Duniya

Raat ki seej khali khali hay
Dekh, woh suba hone wali hay!
Mere dil se teri nigahon tak
Dard ne rah kiya nikali hay!
Hay paray hud e aasman se kiya?
Sab feza apni dekhi bhaali hay
kah rahi hay chamak sitaron ki
Dard ki raat dhalne wali hay!
Jo na kahni thi baat, kah aye
Aur jo kahni thi woh chupa li hay
Aik taraf dil tha, aik taraf dunya
Hum ne donon se sezar mila li hay
Aankh walon k wasty, manzar
Aik rozan hay, aik jaali hay!
Phir wohi aansoun ki barish hay
Phir wohi dil ki khushak sali hay!
phalti ja rahi hay qoos qazh
Dil peh kis ne nigah dali hay!!!
Dekh, woh suba hone wali hay!
Mere dil se teri nigahon tak
Dard ne rah kiya nikali hay!
Hay paray hud e aasman se kiya?
Sab feza apni dekhi bhaali hay
kah rahi hay chamak sitaron ki
Dard ki raat dhalne wali hay!
Jo na kahni thi baat, kah aye
Aur jo kahni thi woh chupa li hay
Aik taraf dil tha, aik taraf dunya
Hum ne donon se sezar mila li hay
Aankh walon k wasty, manzar
Aik rozan hay, aik jaali hay!
Phir wohi aansoun ki barish hay
Phir wohi dil ki khushak sali hay!
phalti ja rahi hay qoos qazh
Dil peh kis ne nigah dali hay!!!
·
1 Like ·
Feb 12, 2015 at 03:02
Category: general
Sms / Dard

Abid Abi
Hume Tou Pyaar Tha Sirf Unn Se

Hume tou pyaar tha sirf unn se,
Dil bhi unhi ko diya tha,
Unhe pyaar tha kissi aur se,
Dhokha sirf hum ko mila.
Dil bhi unhi ko diya tha,
Unhe pyaar tha kissi aur se,
Dhokha sirf hum ko mila.
·
5 Like ·
Jan 10, 2015 at 05:01
Category: dard
Advertisement
Poetry / Love

Muzammil Shahzad
Ajeeb Shakhs Tha

Ajeeb shakhs tha aisey wo pyar mangta tha.
Jahaan naa dard ho aisaa diyaar mangta tha.
jo maangta tha wo dena meri bisaat naa thii.
woh meri rooh ka mujh se qaraar mangta tha.
oosey gharaz thi guloon se na bulbuloo se zara.
wo fasl-e-ranj main Fasl-e-bahar mangta tha.
oosey talab thi kooyi toott kar osey chaahey.
woh haath joor kar ulffat hazaar mangta tha.
mere khuloos peh shayad tha shakk oosey Shahzad.
wafaa ki raah main woh Aitibbaar mangta tha.

2 Like ·
Jan 09, 2015 at 15:01
Category: love
Poetry / Love

Kya Ajab Shakhs Tha

Kya ajab shakhs tha wo
K phoolon k mausam men
Phoolon jaisa tha
Ab pat jhar men kaanton sa chubhta hai
Kya ajab shakhs tha
K aankhon k raste dil men utra tha
Ab tanhai men aksar
Ankhon men uterta hai
Wo bhi kya ajab shakhs tha
Ik umer tak meri zaat men shamil raha
Ab jo kabhi milta hai
To ajnabi sa lagta hai
K phoolon k mausam men
Phoolon jaisa tha
Ab pat jhar men kaanton sa chubhta hai
Kya ajab shakhs tha
K aankhon k raste dil men utra tha
Ab tanhai men aksar
Ankhon men uterta hai
Wo bhi kya ajab shakhs tha
Ik umer tak meri zaat men shamil raha
Ab jo kabhi milta hai
To ajnabi sa lagta hai
·
-2 Like ·
Dec 23, 2014 at 09:12
Category: love
Sms / Sardar
Amna Omar
Murga Sardar Tha
A Sardar went 2 hotel, ordered chiken, Waiter comes with the order, Surdar:Murgi di taang kithe hai? Waiter:Woh langra tha. Surdar: Dil? Waiter:Dil murgi le gayee. Surdar: Dimaag? Waiter: Murga SARDAR tha!!!
Aftab khan
Aftab khan
·
1 Like ·
Dec 05, 2014 at 07:12
Category: sardar
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Shuaar Apna He Jis Ka Bahana Saazi Tha
·
4 Like ·
Nov 30, 2014 at 18:11
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Jo Bhi Qasid Tha Woh Ghairoon K Gharon Tak Pohancha
·
2 Like ·
Nov 27, 2014 at 07:11
Category: love
Sms / Marital Woes
Mahrukh Nida
To Wo Kon Tha.....?
nia shadi shuda jora train mian safar kar raha tha k surang aagaai jb surang khatm hoi to husband nay kha mugy pata hota k surang itni lambi hay to mian koi shararat kar laita . wife boli --Aap nihn thay to wo kon tha?--.
·
1 Like ·
Nov 19, 2014 at 21:11
Category: marital-woes
Poetry / Love

Andaz Ho Bahoo Teri Awaz E Paa Ka Tha

Andaz ho bahoo teri awaz-e-paa ka tha.
Dekha nikal k ghar se to jhonka hawa ka tha.
Utha ajab tazad se insan ka khameer,
Aadi fana ka tha to pujari baqaa ka tha.
Is rishta-e-lateef k israr kya khulen,
Tu samny tha aur tasawar khuda ka tha.
Toota tou kitny aaina khano peh zad pari,
Atka hua galy men jo pathar sadaa ka tha.
Chhup Chhup k roun aur sar-e-anjuman hansoon,
Mujh ko ye mashwra mere dard aashna ka tha.
Dil raakh ho chuka to chamak aur barh gai,
Ye teri yad thi k amal kemiya ka tha.
Is husn-e-ittifaq pe lut k bhi shaad hoon.
Teri razaa jo thi, wo taqaza wafa ka tha.
Heran hoon k daar se kaisy bacha Nadeem,
Wo shakhs to ghareeb-o-ghayoor intihaa ka tha.

Nov 17, 2014 at 18:11
Category: love

Sponored Video