Search
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Main Kisey Suna Raha Hun
Mai Kisey Suna Raha Hoon Yeh Ghazal Muhabbaton Ki
Kahin Aag Sazishon Ki Kahin Aanch Nafraton Ki
Koi Baagh Jal Raha Hai Yeh Magar Meri Dua Hai
Mere Phool Tak Na Pahunchay Yeh Hawa Tamazaton Ki
Mera Kon Sa Hai Mausam Mere Mausamon Ke Wali
Yeh Bahaar Bedili Ki Yeh Khizan Muhabbaton Ki
Kahin Chaand Ya Sitare Huye Humkalaam Mujh Se
Kahin Phool Seedhiyon Ke Kahain Jhaariyan Chaaton Ki
Mere Kaaghzon Mai Shayed Kahin Ab Bhi So Rahi Ho
Koi Subha Gulstan Ki Koi Shaam Parbaton Ki

·
2 Like ·
Dec 05, 2015 at 18:12
Category: general
Poetry / Occassional Events
Muzammil Shahzad
Suna Hai Nayaa Saal Phir Aaraha Hai
Khushian Bhi Hongi , Baharain Bhi Hongi
Mager Hum Tou Guzray December Ki Sochoon Mein Gum Hain
K Jab Tu Meray Pass Thi
Hath Tiara Meray Hath Mein Tha
Aur Khushian Char Soo Hamaray Sath Theen
Mager Ab Akelay Tumhain Sochtay Hain
Yahi Khoof Daman Say Lepta Howa Hai
K Aisa Na Ho Es Baras Bhi December
Tumharay Bina He Kaheen Beet Jae
December To Her Saal Ata Rahay Ga
Mager Tum Na Hogay Tu Kuch Bhi Na Hoga

Nov 15, 2015 at 05:11
Category: occassional-events
Advertisement
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Suna Hai Ishq
Abhi Kuch Din Mujhe Meri Muhabbat Azmane Do
Mujhe Khamosh Rehne Do
Suna Hai Ishq Sacha Ho To
Khamoshi Laho Ban Kar Ragon Mien Nach Othti Hai
Zara Uss Ki Ragon Mien Khamoshi Ko Jhoom Jane Do
Abhi Kuch Din Mujhe Meri Muhabbat Azmane Do
Usey Mien Kuyn Bataon Us Ko
Mein Ne Kitna Chaha Hai
Bataya Jhoot Jata Hai
K Sach Baat Ki Khusbo To
Khud Mehsoos Hoti Hai
Meri Baaten Meri Sochen Usey Khud Jaan Jane Do

1 Like ·
Oct 20, 2015 at 13:10
Category: love
Poetry / 24
Suna Hai Log Ussay Aankh Bhar Ke Dekhtay Hain
Suna hai log ussay aankh bhar ke dekhtay hain
So us ke shehar mein kuch din thehar ke dekhtay hain
Suna hai rabt hai us ko kharaab haloon se
So apne aap ko barbaad kar ke dekhtay hain
Suna hai dard ki ghaahak hai chashm-e-naaz us ki
So hum bhi us ki gali se guzar ke dekhtay hain
Suna hai us ko bhi hai shair-o-shaeri se shaguf
So hum bhi moujazzay apne hunar ke dekhtay hain
Suna hai bolay tu batoon se phool jhartay hain
Yeh baat hai tu chalo baat kar ke dekhtay hain
Suna hai raat ussay chaand takta rehta hai
Sitaaray baam-e-falak se uttar ke dekhtay hain
Suna hai din ko ussay titleyaan sataati hain
Suna hai raat ko jugnoo thehar ke dekhtay hain
Suna hai hashar hain us ki ghazaal si ankhain
Suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhtay hain
Suna hai us ki seyaah chashmagi qayaamat hai
So us ki surma farosh aah bhar ke dekhtay hain
Suna hai us ke laboon se gulaab jaltay hain
So hum bahaar pe ilzaam dhar ke dekhtay hain
suna hai aaenaa tamsaal hai jabeen us ki
Jo saada dil hain ussay ban sanwar ke dekhtay hain
Suna hai jab se hamaayal hain us ki gardan mein
Mizaaj aur hi laal o gohar ke dekhtay hain
Suna hai us ke badan ki taarash aisi hai
Ke phool apni qubaayain qattar ke dekhtay hain
Suna hai us ke shabistaan se muttasil hai behisht
Makeen idhar ke bhi jalway udhar ke bhi dekhtay hain
Rukay tu gardishain us ka tawwaaf karti hain
Chalay tu us ko zamaany thehar ke dekhtay hain
ab usske shahar main tahren k kooch kar jayen
faraaz aao sitaare safar k dekhte hain

Jul 12, 2015 at 03:07
Category: 24
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Suna Hoga Buhat Tumne
Suna hoga bohat tumne....
KahiN aankhoN ki rimjhim ka
Kahin palkoN ki shabnam ka...
Parha hoga bohat tumne ....
KahiN lehje ki barish ka
KahiN sagar ke aansoo ka...
Magar tum NE kabhi humdam ...
Kahin daikhe?
Kahin parkhe?
Kisi tehreer ke aansoo
Mujhe teri judaai ne ...
Yehi mairaaj bakhshi hai...
Ke main Jo lafz likhta hoon...
Wo saare lafz rotay hain
Ke main Jo harf bunta hoon ...
Wo saare bain karte hain
Mere sang iss judaai main ...
Mere alfaaz merte hain
Sabhi tareef karte hain ...
Meri tehreer ki lekin..
Kabhi koi nahin sunta ...
Mere alfaz ki siski...
Falak bhi Jo hila daale..
Mere lafzon main hain shamil ..
Ussi taseer ke aanso...
Kabhi daikho mere humdam...
Meri tehreer ke aansoo.!
KahiN aankhoN ki rimjhim ka
Kahin palkoN ki shabnam ka...
Parha hoga bohat tumne ....
KahiN lehje ki barish ka
KahiN sagar ke aansoo ka...
Magar tum NE kabhi humdam ...
Kahin daikhe?
Kahin parkhe?
Kisi tehreer ke aansoo
Mujhe teri judaai ne ...
Yehi mairaaj bakhshi hai...
Ke main Jo lafz likhta hoon...
Wo saare lafz rotay hain
Ke main Jo harf bunta hoon ...
Wo saare bain karte hain
Mere sang iss judaai main ...
Mere alfaaz merte hain
Sabhi tareef karte hain ...
Meri tehreer ki lekin..
Kabhi koi nahin sunta ...
Mere alfaz ki siski...
Falak bhi Jo hila daale..
Mere lafzon main hain shamil ..
Ussi taseer ke aanso...
Kabhi daikho mere humdam...
Meri tehreer ke aansoo.!
·
1 Like ·
Jan 02, 2015 at 18:01
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Main Kisey Suna Raha Hun Yeh Ghazal Muhabbaton Ki
·
1 Like ·
Nov 06, 2014 at 17:11
Category: love
Sms / Shairi
Kashif Yaqoob
Hashar Ka To Suna Tha Koi Kisi Ka Na Ho Ga.
Hashar Ka To Suna Tha Koi Kisi Ka Na Ho Ga..!! " jaan " " Magar Ab To Duniya Mein Bhi Yeh Charcha Aam Hai..,
·
1 Like ·
Dec 20, 2013 at 15:12
Category: shairi
Tags: Shairi Poetry Love Sms
Sms / Funny
Kashif Yaqoob
Ap Ne Kitni Bar Logo Sy Suna Hoga "chalo Koi Bat Nhi"
Ap Ne Kitni bar Logo Sy Suna hoga "Chalo koi bat nhi" Log ye jumla kssrat sy istemal krty hyn Hm bi aksr bila Sochy Smjay Apni Guftgu Me ye bat Keh jaty hyn "Chalo koi bat nhi" Or Hamain Andaza Bi Nhi hota k Hm kya keh RAhy hyn In alfaaz ki haqeeqet bohat km log janty hyn Asal me "Chalo koi bat nhi" Farsi Ka jumla hy Or Iss ka Urdu me Mtlb hy "Chalo koi bat nhi" tawjjo ka shukria Ghussa aa gya? chalo koi bat nhi.
·
1 Like ·
Nov 30, 2013 at 15:11
Category: funny
Tags: Jokes Funny Sms
Sms / Thinking Of You
Kashif Yaqoob
Suna Tha Hum Ny L0g0n Sy M0hubbat Cheez aisi Hy.
" Suna Tha Hum Ny L0g0n Sy.. " M0hubbat Cheez aisi Hy.. " Chupaey Chup Nhi Skti.. " Ye Chehray Sy Jhalakti Hy.. " Ye Lehjay Me Mehkti Hy.. " Ye Aankh0n k0 Rulati Hy.. " Ye Rat0n k0 Jgati Hy.. " Mgr Ye Sb Agr Such Hy.. " T0 Humen Apny RUB Sy.. " Bhla kaisi M0hubbat Hy.. " Na Chehr0n Sy Jhalakti Hy. " Na Lehj0n Me Mehkti Hy. " Na Aankh0n k0 Rulati Hy. " Na Rat0n k0 Jgati Hy. " Ye kaisi M0hubbat Hy. " Bhla YE kaisi M0hubbat Hy. Think about it.
·
2 Like ·
Nov 02, 2013 at 15:11
Category: thinking-of-you
Tags: Allah Khuda Love Mohabbat Sms
Sponored Video