Search
Social Wall / Photos
Maria Waheed
Buhat Masroof Ho Shayad
bohat masroof ho shayad ,
nahi fursat zara si bhi ,
tumhe yeh jaan lainay ki ,
kay ik jaan thi jis mein ,
tumahray bin
nahi koi jaan ab baqi !
#poetry
nahi fursat zara si bhi ,
tumhe yeh jaan lainay ki ,
kay ik jaan thi jis mein ,
tumahray bin
nahi koi jaan ab baqi !
#poetry
·
3 Like ·
Oct 14, 2018 at 10:10
Category: photos
Poetry / Sad
Phir Usi Raah Guzar Par Shayad
Phir Usi Raah Guzar Par Shayad
Hum Kabhi Mil SakeiN Magar, Shayad
Jinke Hum Muntazar Rahe Unko
Mil gaye Aur Humsafar Shayad
Jaan Pahchaan Se Bhi Kya Hoga
Phir Bhi Ae Dost, Ghaur Kar Shayad
Ajnabaiyat ki Dhund Chhaat Jaye
Chamak Uthay Teri Nazar Shayad
Zindagi Bhar Lahu Rulaaye ge
Yaad-e-Yaaran-e-Bekhabar Shayad
Jo Bhi BichhRe Wo Kab Mile haiN FARAZ
Phir Bhi Tu Intezaar kar Shayad..!!!
Hum Kabhi Mil SakeiN Magar, Shayad
Jinke Hum Muntazar Rahe Unko
Mil gaye Aur Humsafar Shayad
Jaan Pahchaan Se Bhi Kya Hoga
Phir Bhi Ae Dost, Ghaur Kar Shayad
Ajnabaiyat ki Dhund Chhaat Jaye
Chamak Uthay Teri Nazar Shayad
Zindagi Bhar Lahu Rulaaye ge
Yaad-e-Yaaran-e-Bekhabar Shayad
Jo Bhi BichhRe Wo Kab Mile haiN FARAZ
Phir Bhi Tu Intezaar kar Shayad..!!!
·
1 Like ·
Dec 29, 2017 at 14:12
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Shayad Main Zindagi Ki Sehar Leke Aa Gaya
Shayad main zindagi ki sehar leke aa gaya,
Kaatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya,
Ta umar dhoondta raha manzil main ishq ki,
Anjaam ye k gard-e-safar le ke aa gaya,
Nashtar hai mere haath mein kaandhon pe maiqada,
Lo main ilaaj-e-dard-e-jigar le ke aa gaya,
Fakhir sanam kade mein na aata main lot kar,
Ek zakhm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya...!

Nov 15, 2017 at 09:11
Category: sad
Poetry / Sad
Shayad Hum Bhi Azad Ho Jate
Aj dil ka dukh kisi ki zuban par tha.
Ansoo us k nikalne ko betab the.
Hum se raha na gaya hum ne bat badal de.
Hum un ashkon ko dekhna na chahte the.
Jab bhari hoi ankhen itna dukh de rahi thin.
To wo ansoo ki larian hum ko toor daltin.
Magr ab dukh hota he us lamhe ko yad kar k.
Kash!
Hum us k dil ki bat sun lete.
Pehle us ka dil bhaari tha.
Ab hamara dil bechen hay.
Kash!
Wo larian toot jatin.
Shayad hum bhi azad ho jate...!

Sep 12, 2017 at 06:09
Category: sad
Poetry / Love
Tu Mujh Ko Panay Ki Khwahish Rakhta Hai Shayad
Mujhe Khamosh Raahon Main Tera Saath Chahiye
Tanha Hai Mera Haath Tera haath Chahiye
Mujh Ko Mere Muqadar Per Itna Yaqeen To Hy
Tuj ko Bhi Mere Lafz Meri baat Chahiye
Main Khud Apni Shairy Ko Kiya Acha Kahun
Mujh Ko Teri tareef,Teri daad Chahiye
Ehsas-E-Muhabat Tere Hi Wastey Hai Lekin
Junoon-E-Ishq Ko Teri Har soughat Chahiye
Tu Mujh Ko Panay Ki Khwahish Rakhta Hai Shayad
Lekin Mujhy Jeenay K Liye Teri Hi zaat Chahiye....

Aug 24, 2017 at 16:08
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Shayad Abhi Hai Raakh Main Koi Sharar Bhi
Shayad Abhi Hai Raakh Main Koi Sharar Bhi
Kyon Varna Intazar Bhi Hai Iztarar Bhi
Dhyan A Gaya Hai Marg-E-Dil-E-Namurad Ka
Milane Ko Mil Gaya Hai Sukun Bhi Qarar Bhi
Ab Dhundhne Chale Ho Musafar Ko Dosto
Hadd-E-Nigah Tak Na Raha Jab Ghubaar Bhi
Har Astan Pe Nasiyafarsa Hain Aj Vo
Jo Kal Na Kar Sake The Tera Intazar Bhi
Ik Rah Ruk Gai To Thithak Kyon Gai 'Ada'
Abad Bastiyan Hain Paharon Ke Par Bhe

Oct 17, 2016 at 06:10
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Shayad Abhi Hai Rakh Main Koi Sharar Bhi
shayad abhi hai rakh main koi sharar bhi
kyon varna intazar bhi hai iztirar bhi
dhyan a gaya hai marg-e-dil-e-namurad ka
milane ko mil gaya hai sukun bhi qarar bhi
ab dhundhane chale ho musafar ko dosto
hadd-e-nigah tak na raha jab gubar bhi
har astan pe nasiyafarsa hain aj vo
jo kal na kar sake the tera intazar bhi
ik rah ruk gai to thithak kyon gai 'Ada'
abad bastiyan hain paharon ke par bhe,

Jul 11, 2016 at 23:07
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Shayad
Wo' ek masoom si chahat
Wo ek benam si ulfat
Wo meri zaat ka hissa
Wo meri zeest ka qissa
Mujhe mehsus hota hai
Wo mere paas hai ab bhi
Wo jab jab yaad ata hai
Nigahon mai samata hai
Zuban khamosh hoti hai
Magar ye ankh roti hai
Mein khud se poch leta hun
Jise mein yaad karta hun
Usay kya pyar tha mujh se
Jawab "haan" soch leta hon
Usay bhi pyar tha 'Shayed'
Isi "Shayed" se wabasta hai
ab to har khushi meri
Yahi ek lafz "Shayed"
ban gaya hai zindagi meri..!
Wo ek benam si ulfat
Wo meri zaat ka hissa
Wo meri zeest ka qissa
Mujhe mehsus hota hai
Wo mere paas hai ab bhi
Wo jab jab yaad ata hai
Nigahon mai samata hai
Zuban khamosh hoti hai
Magar ye ankh roti hai
Mein khud se poch leta hun
Jise mein yaad karta hun
Usay kya pyar tha mujh se
Jawab "haan" soch leta hon
Usay bhi pyar tha 'Shayed'
Isi "Shayed" se wabasta hai
ab to har khushi meri
Yahi ek lafz "Shayed"
ban gaya hai zindagi meri..!
·
1 Like ·
Apr 20, 2016 at 15:04
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Intizar Shayad Mohabbat Ka Naseeb Hai
·
1 Like ·
Jan 31, 2016 at 16:01
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Rasta Shayad Thak Sa Gyia Hai
rasta shayad thak sa gyia hai
baras baras say
tera rasta taktee ankhien
palkein jhapak jhapak kay tujh ko khoj rahi hain
lekin janan !
mairay dur tak anne wala
rasta shayad thak sa gyia hai
baras baras say
tera rasta taktee ankhien
palkein jhapak jhapak kay tujh ko khoj rahi hain
lekin janan !
mairay dur tak anne wala
rasta shayad thak sa gyia hai
·
1 Like ·
Nov 24, 2015 at 02:11
Category: love
Sponored Video