Search
Poetry / Love
Ab Khof Nahi Mjhe Ksi Raah Guzar Se
ab khof nahi mjhe ksi raah-guzar se
mai door nikal aye hoon pathar k nagar se
wo mjh se mile ga ksi bhi morr per zaroor
ye baat mjhe maloom hai aaghaz-e-safar se
jesi bhi hoon achi ya buri apne liye hoon
mai khud ko nahi dekhti auron ki nazar se!!!

·
1 Like ·
Jul 01, 2017 at 16:07
Category: love
Poetry / Sad
Safar Mein Raah Ke Aashob Se Na Darr Jaa
safar mein raah ke aashob se na darr jaana
miley jo aag ka darya to paar kar jaana
ye ik ishaara hai aafaat e nagahani ka
kissi jagah se parindoN ka kooch kar jaana
ye inteqam hai dasht e bala se baadal ka
samandaroN pe baraste huay guzar jaana
tumhaara qurb bhi doori ka istaara hai
ke jaise chand ka tallab mein uttar jaana
hum apne ishq ki ab aur kya shahadat deiN
hameN hamaare raqeebon ne motabar jana
mere yaqeen ko bara bad-gumaan kar k gaya
duaa e neem shabi tera be-asar jaana
hamaare dam se hi aawargi e shab thi hameiN
ajeeb lagta hai ab shaam hi se ghar jaana
zamaana beet gaya tark e ishq ko "Tishna"
magar gaya na hamaara idhar udhar jaana !

Jun 18, 2017 at 16:06
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Es Dar Pe Thikana Kabhi Uss Raah Main Deera
es Dar Pe Thikana Kabhi Uss Raah Main Deera
Hum Khaana Badashoon Ka Yehi Sham Sawera
Be Mehar Duniya Ka Gila Hai Tere Lab Pe
Ab Kaisay Bataon Tujhe Main Bhi Nahi Tera
Woh Chaar Qadam Hai Yeh Kiran Ham Safri Ki
Phir Aagay Wohi Shahr-e- Judai Ka Andhera
Mil Jaye Jo Ghurbat Main Faraz Ab Wohi Hamdam
Ho Jaye Jahan Sham Wahin Rehan Basaira

2 Like ·
May 18, 2017 at 03:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Sanam Ne Chashm Ko Jis Raah Ka Intezaar Diya
Sanam Ne Chashm Ko Jis Raah Ka Intezaar Diya
Hum Aise The Ke Ye Jeewan Wahin Guzaar Diya
Gayi Wo Umr Magar Tees Na Gayi Dilse
Diya Jo Zakhm Wafa Ne So Yaadgaar Diya
Jahan Kisiko Lagaya Hai Apne Seene Se
Usi Ne Taak Ke Khanjar Wahin Utaar Diya
Bhale Hi Chhorh Diya Raaste Mein Yaaron Ne
Hamari Zaat Ka Aakhir Ko Aitbaar Diya
Dhula Dhula Sa Ye Chehra, Ye Surkh Si Aankhein
Tumhare Gam Ne Hamein Aur Bhi Nikhaar Diya
Mere Badan Pe Ye Aankhein Kuch Aisi Lagti Hai
Kisi Ki Qabr Pe Jaise Ho Sogwaar Diya
Dilon Se Khelna Aadat Badi Kharab si hay
Kisi Ne Khel Ke Tumse Tumhe Sudhaar Diya

Feb 20, 2017 at 07:02
Category: sad
Poetry / Sad
Paida Raah E Khulus Mein,dushwarian Na Kr,
Paida Raah-e-Khulus Mein,Dushwarian Na Kr,
Chahat Nhi To Hm Se Ada karrian Na kr,
Lafzon Se Khelne Ki Zarurt Nhi Tujhe,
Sada Dilo K Sath Ye fankarian Na kr,
Jin Se Nhi Lgao Unhai Munh Bhi Na Lga,
Be Wja Hr Dukan Se Kharedarian Na Kr,
Tu Shak-e-Gul Ha Koe Amr Bail To Nhi,
Wabasta Har Shajar Se Wafadarian Na Kr,
Taza Ha Dil Py Daagh Agar Phli Maat ka,
Phir Dosri Shikast Ki Tayyarian Na Kr!!!

Nov 07, 2016 at 19:11
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Paida Raah E Khalos May Dushwariyan Na Kar
Paida Raah-E-Khalos May Dushwariyan Na Kar...
Chahat Nahi Hai Tu Hum Se Adakariyan Na Kar...
Lafzon Se Khailnay Ki Zarurat Nahi Tujhay...
Saada Dilon K Saath Fankaariyan Na Kar...
Jin Se Nahi Lagao Unhain Mu Bhi Na Laga..
Be-wajah Har Dukaan Se Kharidariyaan Na Kar..
Tu Shakh-E-Gul Hai, Koi Amar Bail Tu Nahi....
Wabasta Har Shajar Se Wafadaariyan Na Kar...
Taza Hai Dil Peh Daagh Agar Pehli Muhabbat Ka...
Phir Dosri Shikast Ki Tayariyaan Na Kar...

Sep 19, 2016 at 14:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Gham E Zindagi Teri Raah Mein
Gham-E-Zindagi Teri Raah Mein
Shab-E-Aarzo Teri Chaah Mein
Jo Ujar Gaya Woh Basa Nahin
Jo Bichar Gaya Woh Mila Nahin
Jo Dil-O-Nazar Ka Suroor Tha
Mere Paas Reh Ke Bhi Door Tha
Wohi Ek Gulaab Umeed Ka
Meri Shaakh-Jaan Peh Khila Nahin
Shab-E-Aarzo Teri Chaah Mein
Jo Ujar Gaya Woh Basa Nahin
Jo Bichar Gaya Woh Mila Nahin
Jo Dil-O-Nazar Ka Suroor Tha
Mere Paas Reh Ke Bhi Door Tha
Wohi Ek Gulaab Umeed Ka
Meri Shaakh-Jaan Peh Khila Nahin
·
1 Like ·
Sep 15, 2016 at 19:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kyun Zindagi Ki Raah Mein Majboor Ho Gaye
Kyun zindagi ki raah mein majboor ho gaye
itne hue kareeb ki hum door ho gaye
aisa nahin ki humko koi bhi khushi nahin
lekin ye zindagi to koi zindagi nahin
kyun iske faisale hamein manzoor ho gaye
paaya tumhein to humko lagaa tumko kho diya
hum dil pe roye aur ye dil ham pe ro diya
palkon se khwaab kyun gire kyun choor ho gaye.
kyun zindagi ki raah mein majboor ho gaye
itne hue kareeb ki hum door ho gaye...

Aug 29, 2016 at 18:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Pathar He Sahi, Raah Mein Hayal Tu Rahoon Ga
Pathar he sahi, raah mein hayal tu rahoon ga
Kuch dair taira mud'e muqabal tu rahoon ga
Jab tuk tairi bakhshish ka bahram khul nahi jata
Aye mairay sakhee, mein taira sayaal tu rahoon ga
Iss wastay zinda hoon sar maqtal e yaraan
Wabasta e kam zarfi e qatal tu rahoon ga
aye taiz hawa maira dhowaan daikh kay jana
Bujh kar bhi nishaan e rah e manzil tu rahoon ga..!
Dushman he sahi naam tu lay ga maira tu bhi
Youn mein tairi awaaz mein shamil tu rahoon ga
Jab tum mein baghawat na karoon jabar o sitam say
Zindaan mein hoon paband e salasal tu rahoon ga
Mohsin Zad e ada say agar mar bhi gaya mein
Mayaar e tameez e haq o batil tu rahoon ga...!!!,

May 14, 2016 at 16:05
Category: sad
Sponored Video