Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Her Subha Ka Pehla Ujala Tairay Naam
Surkh Gulaab K Saare Mausam Tairay Naam
Her Subha Ka Pehla Ujala Tairay Naam
Teri Yaad Ka Behta Darya Mere Liye
Behti Jheel Main Phool Kanwal Ka Tairay Naam
Jitne Khowaab Allah Ne Mere Naam Likhe
Un Khowaboon Ka Raisha Raisha Tairay Naam
Tere Bina Jo Umer Beeti Beet Gayi
Ab Us Umer Ka Baaqi Hissa Tairay Naam

·
1 Like ·
May 12, 2017 at 14:05
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Naam Le Le Ker Na Mera Shehar Ki Nazron Mein Aa
Naam le le ker na mera shehar ki nazron mein aa
mujh se milna hai to mere dil ke sehraon mein aa
us safar mein dekh ghul jaata hai mitti ka badan
mujh se milne ki na khuwahish ker na barsaton mein aa
log tujh ko gungunayein meri khuwahish ki tarah
ik achhote shehar ki soorat meri gazal mein aa
be hunar logon ne phir maanga mere fun ka saboot
aa meri sachayi ki khushbu mere lafzon mein aa
ghar ke darwaze pe aakar kion qadam rakhne lage
aa meri tanhayi, meri muntazir bahon mein aa

Apr 28, 2017 at 01:04
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Apni Ruswaii Apnay Naam
Apni Ruswaii Apnay Naam
Main Nay Socha
Bhejon Tujhay Koii
Surkh Gulaab
Likhon Teray Naam
Main Apni Zindagi Ka Intasab
Mager Yeh Soch Kar Hi Laraz Uthi
Keh Kahii Is Tarah
Na Kar Baithon Raqam
Apni Ruswaii Apnay Naam
Main Nay Socha
Bhejon Tujhay Koii
Surkh Gulaab
Likhon Teray Naam
Main Apni Zindagi Ka Intasab
Mager Yeh Soch Kar Hi Laraz Uthi
Keh Kahii Is Tarah
Na Kar Baithon Raqam
Apni Ruswaii Apnay Naam
·
1 Like ·
Jan 06, 2017 at 06:01
Category: sad
Social Wall / Photos
Amna Obaid
Pathan Bhaiyon Ka Mazaq Urane Walon K Naam
·
6 Like ·
Dec 26, 2016 at 16:12
Category: photos
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Apni Rusvai Tere Naam Ka Charcha Dekhun
apni rusvai tere naam ka charcha dekhuN
ek zara sher kahuN aur main kya kya dekhuN
nind aa jaye to kya mehafelain barpa dekhuN
aaNkh khul jaye to tanhai ka sahara dekhuN
shaam bhi ho gai dhundhla gai aNkhen bhi meri
bhulane vale main kab tak tera rasta dekhuN
sab ziden us ki main puri karuN har baat sunuN
ek bache ki tarah se usay haNsta dekhuN
mujh pe cha jaye vo barasaat ki Khushbu kii tarah
ang ang apna usi rut men mahakta dekhuN
tu meri tarah se yakta hai magar mere habib
ji men ata hai koi aur bhi tujh sa dekhuN
main ne jis lamhe ko puja hai usay bas ek baar
Khvab ban kar teri aaNkhon men utarta dekhuN
tu mera kuch nahin lagta hai magar jaan-e-hayaat
jaane kyon tere liye dil ko dhaDakataa dekhuN

Nov 19, 2016 at 15:11
Category: love
Poetry / Sad
Ulfat Ka Jab Kisine Liya Naam Ro Pade
Ulfat Ka Jab Kisine Liya Naam Ro Pade
Apni Wafa Ka Soch Ke Anjaam Ro Pade
Har Shaam Ye Sawal Mohabbat Se Kya Mila
Har Shaam Ye Jawab Ke Har Shaam Ro Pade
Raah-E-Wafa Mein Humko Khushi Ki Talash Thi
Do Gaam Hi Chale The Ke Har Gaam Ro Pade
Rona Naseeb Mein Hai To Auron Se Kya Gila
Apne Hi Sar Liya Koi Ilzaam Ro Pade

Nov 10, 2016 at 13:11
Category: sad
Poetry / Sad
Falak Par Badalon Ki Dor Se Ek Naam Likh Dena
Falak par badalon ki dor se ek naam likh dena
zameen ke sabz aanchal par koi paigham likh dena
badan me kirchiyaan hain aabley hain mere pairon mein
wo jab bhi haal poochain mujh ko GUL ANDAAM likh dena
kabhi Mahsoos bhi kar lo kissi ke Dil ka soona pan
ye kya k hans raha hai jo ussey GULFAAM likh dena
nazer me kirchiyaan peham khun se tar rahey aanchal
Tum aisey inqilabi daur ko Anjaam likh dena

Nov 06, 2016 at 11:11
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ba Naam E Taqat Koi Ishara Nahi Chalega
Ba-Naam E Taqat Koi Ishara Nahi Chalega
Udas Naslon Pe Ab Ujaara Nahi Chalega
Hum Apni Dharti Se Apni Har Simt Khud Talashain
Humari Khatir Ko Sitara Nahi Chalega
Hayaat Ab Shaam E Ghum Ki Tashbeeh Khud Bane Gi
Tumhari Zulfon Ka Isteara Nahi Chalega
Chalo Saron Ka Kharaaj Nok Sinaan Ko Bakhshain !
Kh Jaan Bachaney Ka Isstikhara Nahi Chalega
Humarey Jazbey Baghavaton Ko Tarashtain Hain
Humarey Jazbon Pe Bas Tumhara Nahi Chalega
Azal Se Qayem Hain Dono Apni Ziddon Pe Mohsin
Chalega Pani Magar Kinara Nahi Chalega

Oct 19, 2016 at 19:10
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Apanii Rusvaai Tere Naam Ka Charchaa Dekhun

Ek Zaraa Sher Kahun Aur Main Kyaa Kyaa Dekhun
Niind Aa Jaaye To Kyaa Mehfilen Barpaa Dekhun
Aankh Khul Jaaye To Tanhaai Kaa Sehra Dekhun
Shaam Bhii Ho Gaii Dhundhalaa Gai Aankhen Bhii Merii
Bholaanay Vaale Main Kab Tak Teraa Rastaa Dekhun
Sab Ziden Us Kii Main Poorii Karun Har Baat Sunun
Ek Bachay Kii Tarah Se Usay Hanstaa Dekhun
Mujh Peh Chhaa Jaaye Vo Barasaat Kii Khushbuu Kii Tarah
Ang Ang Apanaa Usii Rut Mein Mahaktaa Dekhun
Tuu Merii Tarah Se Yaktaa Hai Magar Mere Habib
Jii Mein Aataa Hai Koii Aur Bhii Tujh Saa Dekhun
Main Ne Jis Lamhe Ko Poojaa Hai Use Bas Ek Baar
Khvaab Ban Kar Terii Aankhon Mein Utartaa Dekhun
Tuu Meraa Kuchh Nahin Lagtaa Hai Magar Jaan-E-Hayaat
Jaane Kyon Tere Liye Dil Ko Dhadakataa Dekhun

2 Like ·
Oct 07, 2016 at 19:10
Category: love
Sponored Video