Search
Poetry / Love
Muje Usse Muhabbat Itni Hy
MUJE USSE MUHABBAT ITNI HY
Jtni Suraj ko
Hiddat se,
Jazbe ko
ShiddaT Se,
Saagar ko
Rawani se,
Abar ko Pani Se
RAAT ko
Andhere Se,
SUBHA ko
Sawere se,
Hawa ko
Shor Se,
TUFAN ko
Zor se,
Mahi ko
Samandar sE,
SAQI ko
Jaam Se,
Shair ko
KaLam se,
MOTI ko
Seep Se,
PARWANE ko
Deep se,
"MUJE USKI TALAB HY YUN"
Jese "KALI" ko
Khilne Ki,
Bichernay ko
Milne Ki,
Paon ko
Payal ki,
Hijar ko
Wasaal ki,
Zawal ko
Kamal ki,
Sitaron ko
Qamar ki,
Paton ko
Shajar ki
Dewar ko
Dar ki
awara ko
GHAR ki
Wehshi ko
Janon ki
Zahid ko
Sukun ki
Bimar ko
Shifa ki
Wali ko
KHUDA ki
Teer ko
Kamaan ki
Pathar ko
Zuban ki
Ajnbi ko
Pehchan ki
Jism ko
Jan ki
Haar ko
Jeet ki
MAN ko
Meat ki
MGAR ME BE BAS H0N ITNA
Jtna Parinda
Jaal me
Maazi
Haal me
Khuwab
Khiyal me
Urooj
Zawal me
Jiwan
Zaman me
Insan
Jahan me
"BUS MUJE USSE MOHABBAT HY ITNI..
Jtni Suraj ko
Hiddat se,
Jazbe ko
ShiddaT Se,
Saagar ko
Rawani se,
Abar ko Pani Se
RAAT ko
Andhere Se,
SUBHA ko
Sawere se,
Hawa ko
Shor Se,
TUFAN ko
Zor se,
Mahi ko
Samandar sE,
SAQI ko
Jaam Se,
Shair ko
KaLam se,
MOTI ko
Seep Se,
PARWANE ko
Deep se,
"MUJE USKI TALAB HY YUN"
Jese "KALI" ko
Khilne Ki,
Bichernay ko
Milne Ki,
Paon ko
Payal ki,
Hijar ko
Wasaal ki,
Zawal ko
Kamal ki,
Sitaron ko
Qamar ki,
Paton ko
Shajar ki
Dewar ko
Dar ki
awara ko
GHAR ki
Wehshi ko
Janon ki
Zahid ko
Sukun ki
Bimar ko
Shifa ki
Wali ko
KHUDA ki
Teer ko
Kamaan ki
Pathar ko
Zuban ki
Ajnbi ko
Pehchan ki
Jism ko
Jan ki
Haar ko
Jeet ki
MAN ko
Meat ki
MGAR ME BE BAS H0N ITNA
Jtna Parinda
Jaal me
Maazi
Haal me
Khuwab
Khiyal me
Urooj
Zawal me
Jiwan
Zaman me
Insan
Jahan me
"BUS MUJE USSE MOHABBAT HY ITNI..
·
2 Like ·
Jun 17, 2017 at 22:06
Category: love
Poetry / Love
Muhabbat Kay Safar Mein Koi Rasta Nahi Deta
Muhabbat kay safar mein koi rasta nahi deta
Zameen wakif nahin banti falak saya nahi daita
Khushi aur dukh kay mosam sab kay apney hotey hain
kisi ko apne hisay ka koi lamha nahi deta
Udasi jis k dil mein ho neend us ki urti hai
kisi ko apni ankhon say koi sapna nhi daita
uthaana khud he parta hai thaka toota badan apna
keh jab tak saans chalti ha koi kandha nhi daita

1 Like ·
Jun 08, 2017 at 10:06
Category: love
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Muhabbat Ka Rog
TUJH KO DEKHOON TO NIGAAHEN NA HATAANA CHAHOON
IK LAMHAY PAY THEHAR JAAEY ZAMANA CHAHOON
TUJH SAY IK RABT E KHAYAL HE SAHI RABT TO HAI
MEIN TO IK SEHAL SA JEENAY KA BAHANA CHAHOON
DARD UTHAY TO ISAY WEHAM SAY TABEER KAROON
MEIN BEHAR TAUR TERA NAAM CHHUPANA CHAHOON
DIN GUZAROON TERI YAADON KI HASEEN WADI MEI
RAAT AAEY TO YEHI KHAAB SUHANA CHAHOON
BADLI BADLI SI HAIN IKHLAS KI QADREN MANZAR
MEIN MUHABBAT KA WOHI ROG PURANA CHAHOON.

Jun 03, 2017 at 20:06
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Rudaad E Muhabbat Kyaa Kahiye Kuchh Yaad Rahii Kuchh Bhuul Gaye
rudaad-e-muhabbat kyaa kahiye kuchh yaad rahii kuchh bhuul gaye
do din kii masarrat kyaa kahiye kuchh yaad rahii kuchh bhuul gaye
jab jaam diyaa thaa saaqii ne jab daur chalaa thaa mahafil men
vo hosh kii saat kyaa kahiye kuchh yaad rahii kuchh bhuul gaye
ehasaas ke maiKhaane men kahaaN ab fikr o nazar kii qandelain
aalam kii shiddat kyaa kahiye kuchh yaad rahii kuchh bhuul gaye
ab apanii haqiiqat bhii "Sagar" berabt kahani lagatii hai
duniyaa kii haqiiqat kyaa kahiye kuchh yaad rahii kuchh bhuul gaye

May 30, 2017 at 11:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Rooh Mei Teri Muhabbat Ka Asar Hai Ab Tak
ROOH MEI TERI MUHABBAT KA ASAR HAI AB TAK
JISM TO KHAAK HUA AANKH TO TAR HAI AB TAK
RANG JO CHHOR GAEE HAATH PAY MERAY TITLI
MERAY NAGHMON MEI WOHI RANG E HUNAR HAI AB TAK
CHAND KA TUKRA KAHA THA TUJHAY MAIN NAY IK SHAB
JUSTAJU MEI TERI SARKARDAAN QAMAR HAI AB TAK
BUN GAEY FARISHTAY SUB HE JO THAY INSAAN YAHAN
DAR PAR TERAY JO KHARRA HAI WO BASHAR HAI AB TAK
CHHOR K JA BHI CHUKA MUJHKO WO TANHA LEKIN
DEKHTA HOON TO TA HAD E NAZAR HAI AB TAK

May 26, 2017 at 21:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tabhi Toh Main Muhabbat Ka Hawalati Nahi Hota
Tabhi Toh Main Muhabbat Ka Hawalati Nahi Hota
Yahan Apnay Siwa Koi Mulaqati Nahi Hota
Aur Ab es Bat Par Bhi Mujhse Mere Yaar ulajhtay Hain
K Main Har Baat Sun Leta Hoon Jazbati Nahi Hota
Girftar-e-Wafa, Ronay Ka Koi Aik Mousam Rakh
Jo Nala Roz Beeh nikalay Woh Barsati Nahi Hota
Tujhay Dil Mein Jaga Di Hai Nazar Se Door Kya Kartay
Jo markaz Mein Theher Jaye Woh Mazafati Nahi Hota
Bicharnay Ka Irada Ho Toh Mujhse Mashwara Karna
Muhabbat Mein Koi Bhi Faisla Zaati Nahi Hota

May 09, 2017 at 02:05
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Belaus Muhabbat Ka Ye Andaz Rahey Ga
Belaus muhabbat ka ye andaz rahey ga
khamosh sa lehja pas-e-awaz rahey ga
veeranay me sadiyon se chupa aik khazana
tu dil me sada ban ke yunhi raaz rahey ga
har sham damak uthey gi yaadon ki chamak se
har subah terey naam se aagaz rahey ga
jab tak dil-e-pursoz ka likha hae dharakna
dharkan me terey dard ka aijaz rahey ga
urta hae khayal aur tujhey chu nahi sakta
nakaam safar haasil-e-parwaaz rahey ga

Mar 29, 2017 at 23:03
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Muhabbat Jin Se Hoti Hai
Muhabbat jin se hoti hai
Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai
Yaqeen ki akhri manzil pe akar bhi
Koi khadsha, koi shak, koi andesha
Buhat bechaen rakhta hai
Muhabbat jin se hoti hai
Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai
Kahin ye visal ke lamhe
Badal jayain na furqat mai
Kahin ye qurb ki ghariyan
Judai main na dhal jayain
Kahin aisa na ho k koi usko badgumaa kar de
Kahin aisa na ho k
Jis ko hum ne hasil-e-umr-e-rawa samjha
Jhatak kar hath wo bedard sab kuch raiga kar de
Kahin aisa na ho k
Wo meharbaan ankhain badal jayain
Kahin aisa na ho k
Ye garamjoshi sard par jaye
Tapaak-e-jaan se milne ki rawish
Yakh basta ho jaye
Ada-e-Dilbarana berukhi ka roop dhaaray
Aur dil ka dard ban jaye
Muhabbat jin se hoti hai
Unhain khone ka dar har waqt DAMAN GEER rahta hai
Kabhi mahfil mai sab ke samne wo ahtiyatan bhi
Agar nazrain churaye tou dil pe choot lagti hai
Ansooun ka mina barasta hai
Kabhi masrofiat mai, mahwiyat mai
Phone ki ghanti ka wo notice na le
Aur rabte ka silsila moqoof ho jaye
Dharak uthta hai dil
Kya janiye kya ho gaya us ko
Tawajja mai kami kyun agai…?
Kyun us ki janib ik sannata sa chaaya hai….?
Jo apna is qadar apna tha
Akhir kyun paraya hai..?

Oct 25, 2016 at 17:10
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Us Ki Ankhon Main Muhabbat Ka Sitara Hoga
Us Ki Ankhon Main Muhabbat Ka Sitara Hoga
Aik Din Aaye Ga, Woh Shakhs Humara Hoga
Zindagi! Ab K Mera Naam Na Shamil Karna
Ger Yeh Tay Hay K Yehi Khel Dobara Hoga
Jis K Hone Se Meri Saans Chala Karti Thi
Kis Tarah Is K Bagair Apna Guzara Hoga
Yeh Achanak Joh Ujala Sa Hua Jata Hai
Dil Ne Chupke Se Tera Naam Pukara Hoga
Ishq Karna Hay Tou Din Raat Ussey Sochna Hay
Aur Kuch Zehan Main Aaya Tou Khasaara Hoga
Yeh Joh Paani Main Chala Aaya Sunheri Sa Guroor
Us Ne Darya Main Kahin Paaon Utara Hoga
Kon Rota Hai Yahan Raat K Sanaton Main
Mere Jaisa Hi Koi Hijer Ka Mara Hoga
Joh Meri Rooh Main Baadal Se Garajte Hain Wasi
Us Ne Seene Main Koi Dard Utara Hoga
Kaam Mushkil Hai Mager Jeet Hi Longa Us Ko
Mere Maula Ka Wasi Jonhi Ishara Hogaa

Sep 14, 2016 at 10:09
Category: love
Sponored Video