Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Is Baar Mohabbat Baant Lo Ge Na?
سنو جاناں
یوں تم سے دُور
اب مجھ سے
اکیلے رات بھر جاگا نہیں جاتا
یوں تنہا بوجھ چاہت کا
تو اب اُٹھتا نہیں مجھ سے
سنو
کیا ایسا ہو نہیں سکتا؟
کہ
آدھی رات کو کچھ پل سہی
تم اگر جاگو
یہ چاہت کا حسِیں اِک بوجھ
آدھا ہی سہی
تم بانٹ لو مجھ سے
پھر آدھا درد تم لے لو
پھر آدھے خواب تم دیکھو
یہ دِل کی بے قراری
مجھ سے آدھی بانٹ لو تم بھی
تو اب تم ہی کہو جاناں؟
کہ اس بارِ محبت کو
تم آدھا بانٹ لو گے نا؟,
یوں تم سے دُور
اب مجھ سے
اکیلے رات بھر جاگا نہیں جاتا
یوں تنہا بوجھ چاہت کا
تو اب اُٹھتا نہیں مجھ سے
سنو
کیا ایسا ہو نہیں سکتا؟
کہ
آدھی رات کو کچھ پل سہی
تم اگر جاگو
یہ چاہت کا حسِیں اِک بوجھ
آدھا ہی سہی
تم بانٹ لو مجھ سے
پھر آدھا درد تم لے لو
پھر آدھے خواب تم دیکھو
یہ دِل کی بے قراری
مجھ سے آدھی بانٹ لو تم بھی
تو اب تم ہی کہو جاناں؟
کہ اس بارِ محبت کو
تم آدھا بانٹ لو گے نا؟,
·
1 Like ·
Apr 19, 2016 at 19:04
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mohabbat Aik Katba Hai
Mohabat Shairi Her Giz Nahi Hay
Theek Kehtey Hain
Mohabbat To Kisi Bay Deep Qabrustan Ki
Boseeda Si Ik Qaber Per Woh Nassb Kutba Hay
Key Jiss Per Saaf Likha Ho
Shaheed-E-Raah-E-Ulfat
Ashiq-E-Nakam Ka Marqad
Mohabbat Aik Katba Hay
Laga Hota Hay Jo Aksar
Kabhi Layla Kay Marqad Per
Kabhi Majnoo Ki Hasrat Per
Kabhi Sohni Kay Matkay Per
Kabhi Ranjhay Kay Teeron Per
Mohabbat Aik Katba Hay
Kay Jis Per Saaf Likha Ho .
Mohabbat Maut Ki Aghoosh May Sir Rakh Kay Sona Hay
Mohabbat Dil Pay Lahaq Roag Hay
Taa Umer Rona Hay
Mohabbat Raat Bhar Ka Jagna
Aur Jaan Khona Hay
Mohabat Arzoo-O- Hasrat-O-Arman-O-Kuwahish Ki
Kisi Maydan May Rakhee Hui Aik Aysee Mayyat Hai
Kay Jis Ko Kandha Dayney Kay Liye
Koi Nahi Aata
Mager Phir Bhi
Laboon Per Her Kisi Insane Kay Rakha Hay Ye Jumla
MUJHEY TUM SEY MUHABBAT HEY
Koi Mujh Say Ager Kah Day
Mujhey Tum Say Mohabbat Hai
To Dar Jata Hon May Bayhad
Yeh Dil Main Wehem Aata Hay
Kay Ye Izhar Ka Jumla
Mohabat Ka Yah Ik Katba
Phir Kisi Bay Deep Qabrustan Ki
Boseeda Si Ik Qaber Ki
Zeenat Na Ban Jaey
Mohabbat Ka Yah Kutba
Phir Naee Aafat Na Ban Jaye
Wohee Katba
Kay Jiss Per Saaf Likha Ho
Shaheed-E- Raah-E-Ulfat
Ashiq-E-Nakaam Ka Marqad
Theek Kehtey Hain
Mohabbat To Kisi Bay Deep Qabrustan Ki
Boseeda Si Ik Qaber Per Woh Nassb Kutba Hay
Key Jiss Per Saaf Likha Ho
Shaheed-E-Raah-E-Ulfat
Ashiq-E-Nakam Ka Marqad
Mohabbat Aik Katba Hay
Laga Hota Hay Jo Aksar
Kabhi Layla Kay Marqad Per
Kabhi Majnoo Ki Hasrat Per
Kabhi Sohni Kay Matkay Per
Kabhi Ranjhay Kay Teeron Per
Mohabbat Aik Katba Hay
Kay Jis Per Saaf Likha Ho .
Mohabbat Maut Ki Aghoosh May Sir Rakh Kay Sona Hay
Mohabbat Dil Pay Lahaq Roag Hay
Taa Umer Rona Hay
Mohabbat Raat Bhar Ka Jagna
Aur Jaan Khona Hay
Mohabat Arzoo-O- Hasrat-O-Arman-O-Kuwahish Ki
Kisi Maydan May Rakhee Hui Aik Aysee Mayyat Hai
Kay Jis Ko Kandha Dayney Kay Liye
Koi Nahi Aata
Mager Phir Bhi
Laboon Per Her Kisi Insane Kay Rakha Hay Ye Jumla
MUJHEY TUM SEY MUHABBAT HEY
Koi Mujh Say Ager Kah Day
Mujhey Tum Say Mohabbat Hai
To Dar Jata Hon May Bayhad
Yeh Dil Main Wehem Aata Hay
Kay Ye Izhar Ka Jumla
Mohabat Ka Yah Ik Katba
Phir Kisi Bay Deep Qabrustan Ki
Boseeda Si Ik Qaber Ki
Zeenat Na Ban Jaey
Mohabbat Ka Yah Kutba
Phir Naee Aafat Na Ban Jaye
Wohee Katba
Kay Jiss Per Saaf Likha Ho
Shaheed-E- Raah-E-Ulfat
Ashiq-E-Nakaam Ka Marqad
·
1 Like ·
Apr 16, 2016 at 19:04
Category: sad
Advertisement
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mohabbat Ka Gumaan Hona Bohat Hay
Mohabbat Ka Gumaan Hona Bohat Hay
Keh Ab Ye Lafz Bhi Ruswa Bohat Hay
Tujhay Maloom Tu Hoga Meri Jaan !!!
Tujhay Ak Shaks Nay Chaha Bohat Hay
Na Milnay Ke Qasam Kha Kay Bhi Main Nay
Tujhay Har Rah Main Dhundha Bohat Hay
Ye Aankhain Or Kia Dekhay Kese Or Ko
In Aankhon Nay Tujhay Dekha Bohat Hay
Tarapta Hoon Tu Ye Bhi Sochta Hoon
Teri Yaadon Nay Behlaya Bohat Hay
Na Aa Toufaan Dabonay Ko Hamaray
Khaloos -e- Mojah Darya Bohat Hay
Bohat Aabad Hay Ye Shaher Phir Bhi
Sehar Is Shaher Main Tanha Bohat Hay,
Keh Ab Ye Lafz Bhi Ruswa Bohat Hay
Tujhay Maloom Tu Hoga Meri Jaan !!!
Tujhay Ak Shaks Nay Chaha Bohat Hay
Na Milnay Ke Qasam Kha Kay Bhi Main Nay
Tujhay Har Rah Main Dhundha Bohat Hay
Ye Aankhain Or Kia Dekhay Kese Or Ko
In Aankhon Nay Tujhay Dekha Bohat Hay
Tarapta Hoon Tu Ye Bhi Sochta Hoon
Teri Yaadon Nay Behlaya Bohat Hay
Na Aa Toufaan Dabonay Ko Hamaray
Khaloos -e- Mojah Darya Bohat Hay
Bohat Aabad Hay Ye Shaher Phir Bhi
Sehar Is Shaher Main Tanha Bohat Hay,
·
1 Like ·
Apr 11, 2016 at 06:04
Category: love
Poetry / Love
Bus Itni Mohabbat Kaafi Hai
Bus Itni Mohabbat Kaafi Hai
Tum Hans K Milo Pholon Ki Tarha
Din Rat Katein Khawabon Ki Tarha
Aawara Hawa Lehra K Chalay
Lehra K Chalay Jub Sham Dhalay
Ek Pehar Dhalay Tum Hans K Milo
Bus Etni Mohabat Kaafi Hai
Tum Sath Raho Sanson Mein Raho
Tum Pas Raho Banhon Mein Raho
Tum Dil Mein Raho Dharrkan Ki Tarha
Bus Etni Mohabat Kaafi Hai... .
Tum Hans K Milo Pholon Ki Tarha
Din Rat Katein Khawabon Ki Tarha
Aawara Hawa Lehra K Chalay
Lehra K Chalay Jub Sham Dhalay
Ek Pehar Dhalay Tum Hans K Milo
Bus Etni Mohabat Kaafi Hai
Tum Sath Raho Sanson Mein Raho
Tum Pas Raho Banhon Mein Raho
Tum Dil Mein Raho Dharrkan Ki Tarha
Bus Etni Mohabat Kaafi Hai... .
·
1 Like ·
Mar 18, 2016 at 15:03
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ye Moujza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhe
Ye Moujza Bhi Mohabbat Kabhi Dikhaye Mujhe
Ke Sang Tujh Pey Girey Aur Zakham Aaye Mujhe
wohi To Sab Say Ziada Hai Nuktaa Chee Mera
Jo Muskura Ke Hamesha Galey Lagaye Mujhe
Mai Apney Dil Say Nikalon Khayal Kis Kis Ka
Jo To Nahi To Koi Aur Yaad Aaye Mujhe
Wo Mera Dost Hai Sare Jahan Ko Hai Maloom
Dagha Kare Wo Kisi Say To Sharm Aaye Mujhe
Wo MeherBaan Hai To Iqrar Kio Nahi Karta
Wo BadGumah Hai To Soo Baar Aazmaye Mujhe
Ke Sang Tujh Pey Girey Aur Zakham Aaye Mujhe
wohi To Sab Say Ziada Hai Nuktaa Chee Mera
Jo Muskura Ke Hamesha Galey Lagaye Mujhe
Mai Apney Dil Say Nikalon Khayal Kis Kis Ka
Jo To Nahi To Koi Aur Yaad Aaye Mujhe
Wo Mera Dost Hai Sare Jahan Ko Hai Maloom
Dagha Kare Wo Kisi Say To Sharm Aaye Mujhe
Wo MeherBaan Hai To Iqrar Kio Nahi Karta
Wo BadGumah Hai To Soo Baar Aazmaye Mujhe
·
1 Like ·
Mar 01, 2016 at 21:03
Category: sad
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Mohabbat K Safar Main
Mohabbat Ke Safer Me Koi Bhi Rasta Nahi Deta
Zameen Waqif Nahi Banti Falak Saaya Nahi Deta
Khushi Aur Dukh Ke Mausam Sab ke Apney Apney Hotay Hain
Kisi Ko Apney Hissay Ka Koi Lamha Nahi Deta
Udaasi Jis Ke Dil Mein Ho Usi Ki Neind Urhti Hai
Kisi Ko Apni Aankhon Say Koi Sapna Nahi Deta
Uthana Khud Hi Parhta Hai Thakaa Toutaa Badan Apna
Ke Jab Tak Saans Chalti Hai Koi Kandha Nahi Deta
Zameen Waqif Nahi Banti Falak Saaya Nahi Deta
Khushi Aur Dukh Ke Mausam Sab ke Apney Apney Hotay Hain
Kisi Ko Apney Hissay Ka Koi Lamha Nahi Deta
Udaasi Jis Ke Dil Mein Ho Usi Ki Neind Urhti Hai
Kisi Ko Apni Aankhon Say Koi Sapna Nahi Deta
Uthana Khud Hi Parhta Hai Thakaa Toutaa Badan Apna
Ke Jab Tak Saans Chalti Hai Koi Kandha Nahi Deta
·
1 Like ·
Feb 11, 2016 at 18:02
Category: general
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
¤^ Mohabbat ^¤
Mohabbat Main Deewangi Zaroori Hai
Mohabbat Saare
Rishte Naate Torr
Deti Hai
Faqat Ek Dil Se
Rishta Jorr Leti Hai
Mohabbat Ki Haddein Hoti Nahi
Haddon Ko Torr Dena
Is Ka Shewa Hai
Agar Tumhain Mujh Se
Mohabbat Hai To Phir
Yeh Rishte Naaton Ki
Bandishein Torrna Hongi
Agar Aisa Nahi Karsakte To
Phir Hum Tum Apni Khuwahish Ke
Khilone Torr Dete Hain
Dilon Ko Morr Lete Hain
Mohabat Chhor Detey Hen . .
Mohabbat Saare
Rishte Naate Torr
Deti Hai
Faqat Ek Dil Se
Rishta Jorr Leti Hai
Mohabbat Ki Haddein Hoti Nahi
Haddon Ko Torr Dena
Is Ka Shewa Hai
Agar Tumhain Mujh Se
Mohabbat Hai To Phir
Yeh Rishte Naaton Ki
Bandishein Torrna Hongi
Agar Aisa Nahi Karsakte To
Phir Hum Tum Apni Khuwahish Ke
Khilone Torr Dete Hain
Dilon Ko Morr Lete Hain
Mohabat Chhor Detey Hen . .
·
1 Like ·
Feb 11, 2016 at 06:02
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Intizar Shayad Mohabbat Ka Naseeb Hai
·
1 Like ·
Jan 31, 2016 at 16:01
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Mohabbat Jin Se Hoti Hai
Muhabbat Jin Se Hoti Hai
Unhain Khone Ka Dar Har Waqt DAMAN GEER Rahta Hai
Yaqeen Ki Akhri Manzil Pe Akar Bhi
Koi Khadsha, Koi Shak, Koi Andesha
Buhat Bechaen Rakhta Hai
Muhabbat Jin Se Hoti Hai
Unhain Khone Ka Dar Har Waqt DAMAN GEER Rahta Hai
Kahin Ye Visal Ke Lamhe
Badal Jayain Na Furqat Mai
Kahin Ye Qurb Ki Ghairiyan
Judai Main Na Dhal Jayain
Kahin Aisa Na Ho K Koi Usko Badgumaa Kar De
Kahin Aisa Na Ho K
Jis Ko Hum Ne Hasil-E-Umr-E-Rawa Samjha
Jhatak Kar Hath Wo Bedard Sab Kuch Raiga Kar De
Kahin Aisa Na Ho K
Wo Meharbaan Ankhain Badal Jayain
Kahin Aisa Na Ho K
Ye Garamjoshi Sard Par Jaye
Tapaak-E-Jaa’n Se Milne Ki Rawish
Yakh Basta Ho Jaye
Ada’e Dilbarana Berukhi Ka Roop Dhare
Aur Dil Ka Dard Ban Jaye
Muhabbat Jin Se Hoti Hai
Unhain Khone Ka Dar Har Waqt DAMAN GEER Rahta Hai
Kabhi Mahfil Mai Sab Ke Samne Wo Ahtiyatan Bhi
Agar Nazrain Churaye Tou Dil Pe Thees Lagti Hai
Ansoo’n Ka Mena Barasta Hai
Kabhi Masrofiat Mai, Mahwiyat Mai
Phone Ki Ghanti Ka Wo Notice Na Le
Aur Rabte Ka Silsila Moqoof Ho Jaye
Dharak Uthta Hai Dil
Kya Janea Kya Ho Gaya Us Ko
Tawajja Mai Kami Kyun Agai…?
Kyun Us Ki Janib Ik Sannata Sa Chaaya Hai….?
Jo Apna Is Qadar Apna Tha
Akhir Kyun Paraya Hai..?
Muhabbat Jin Se Hoti Hai
Unhain Khone Ka Dar Har Waqt DAMAN GEER Rahta Hai
Unhain Khone Ka Dar Har Waqt DAMAN GEER Rahta Hai
Yaqeen Ki Akhri Manzil Pe Akar Bhi
Koi Khadsha, Koi Shak, Koi Andesha
Buhat Bechaen Rakhta Hai
Muhabbat Jin Se Hoti Hai
Unhain Khone Ka Dar Har Waqt DAMAN GEER Rahta Hai
Kahin Ye Visal Ke Lamhe
Badal Jayain Na Furqat Mai
Kahin Ye Qurb Ki Ghairiyan
Judai Main Na Dhal Jayain
Kahin Aisa Na Ho K Koi Usko Badgumaa Kar De
Kahin Aisa Na Ho K
Jis Ko Hum Ne Hasil-E-Umr-E-Rawa Samjha
Jhatak Kar Hath Wo Bedard Sab Kuch Raiga Kar De
Kahin Aisa Na Ho K
Wo Meharbaan Ankhain Badal Jayain
Kahin Aisa Na Ho K
Ye Garamjoshi Sard Par Jaye
Tapaak-E-Jaa’n Se Milne Ki Rawish
Yakh Basta Ho Jaye
Ada’e Dilbarana Berukhi Ka Roop Dhare
Aur Dil Ka Dard Ban Jaye
Muhabbat Jin Se Hoti Hai
Unhain Khone Ka Dar Har Waqt DAMAN GEER Rahta Hai
Kabhi Mahfil Mai Sab Ke Samne Wo Ahtiyatan Bhi
Agar Nazrain Churaye Tou Dil Pe Thees Lagti Hai
Ansoo’n Ka Mena Barasta Hai
Kabhi Masrofiat Mai, Mahwiyat Mai
Phone Ki Ghanti Ka Wo Notice Na Le
Aur Rabte Ka Silsila Moqoof Ho Jaye
Dharak Uthta Hai Dil
Kya Janea Kya Ho Gaya Us Ko
Tawajja Mai Kami Kyun Agai…?
Kyun Us Ki Janib Ik Sannata Sa Chaaya Hai….?
Jo Apna Is Qadar Apna Tha
Akhir Kyun Paraya Hai..?
Muhabbat Jin Se Hoti Hai
Unhain Khone Ka Dar Har Waqt DAMAN GEER Rahta Hai
·
1 Like ·
Dec 20, 2015 at 07:12
Category: love
Sponored Video