Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Koi Mausam Ho Dil Men Hai Tumhaari Yaad Ka Mausam
Koi Mausam Ho Dil MeN Hai Tumhaari Yaad Ka Mausam
Ke Badla Hi NahiN Jana Tumhaare Baad Ka Mausam
NahiN To Aazma Kar Dekh Lo, Kaise Badalta Hai
Tumhaare Muskuraane Se Dil-E-Na shaad Ka Mausam
KahiN Se Uss HabeeB Aawaaz Ki Khushbu Pukaare Gi
To Uss Ke Sath Badle Ga Dil-E-Barbaad Ka Mausam
Qafas Ke Baam-o-Dar MeN Roshani Si Aayi Jaati Hai
Chaman MeN Aa Geya Shaayed Lab-E-Aazaad Ka Mausam
Mere Shahr-E-ParishaN MaiN Teri Be Chain RaatoN MeN
Buhat Hi Yaad Karta HooN Teri Buniyaad Ka Mausam
Na Koi Gham KhizaaN Ka Hai Na Khawahish Hai BahaaroN Ki
Hamaare Sath Hai Amjad Kissi Ki Yaad Ka Mausam

·
1 Like ·
May 12, 2017 at 08:05
Category: sad
Social Wall / Videos
Interesting Videos
Three Men Vs. Fifteen Hungry Lions
·
0 Like ·
Mar 13, 2017 at 19:03
Category: videos
Advertisement
Social Wall / Videos
Funny Videos
How Do Indian Men Approach Women
·
0 Like ·
Mar 05, 2017 at 16:03
Category: videos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ab Ke Ham Bichhre To Shaayad Kabhii Khvaabon Men Milen
ab ke ham bichhRe to shaayad kabhii KhvaaboN meN mileN
jis tarah sokhe hue phuul kitaaboN meN mileN
Dhoundh ujRe hue logoN meN vafaa ke motii
ye Khazaane tujhe mumkin hai Kharabon meN mileN
tuu Khudaa hai na meraa ishq farishtoN jaisaa
donoN insaan haiN to kyu itne hijaabon meN mileN
Gham-e-duniya bhi Gham-e-yaar me shamil kar lo
nasha barpa hai sharabain jo sharaboN meN mileN
aaj ham daar pe kheNche gaye jin baatoN par
kyaa ajab kal vo zamaane ko nisaaboN meN mileN
ab na vo maiN huN na tuu hai na vo maazii hai Faraaz
jaise do saaye tamannaa ke saraaboN meN mileN

Jan 20, 2017 at 11:01
Category: sad
Poetry / Love
Ye Jo Ham Hijr Men Divaar O Darr Ko Daikhte Hain
ye jo ham hijr men divaar o darr ko daikhte hain
kabhii sabaa ko kabhii naamaabar ko daikhte hain
vo aaye ghar men hamaare Khudaa kii qudarat hai
kabhii ham un ko kabhii apne ghar ko daikhte hain
nazar lage na kahin us ke dast-e-baazuu ko
ye log kyon mere zaKhm-e-jigar ko daikhte hain
tere javahir-e-tarf-e-kalma ko kyaa dekhen
ham auj-e-taalee-e-laal o gohar ko daikhte hain

Dec 31, 2016 at 17:12
Category: love
Poetry / Love
Kyun Mehken Gulaab Aankhon Men
kyuN mehkeN gulaab aaNkhoN meN
ham ne rakhe haiN Khvaab aaNkhoN meN
daikho ham ek saval karte hain
likh kar rakhnaa javaab aaNkhoN meN
us meN Khatraa hai Duub jaane kaa
jhaNkiye mat janaab aaNkhoN meN
kabhii aaNkheN kitaab meN gum haiN
kabhii gum hai kitaab aaNkhoN meN
koi rahta tha raat din Alvi
inhii Khana Kharab ankhon men
ham ne rakhe haiN Khvaab aaNkhoN meN
daikho ham ek saval karte hain
likh kar rakhnaa javaab aaNkhoN meN
us meN Khatraa hai Duub jaane kaa
jhaNkiye mat janaab aaNkhoN meN
kabhii aaNkheN kitaab meN gum haiN
kabhii gum hai kitaab aaNkhoN meN
koi rahta tha raat din Alvi
inhii Khana Kharab ankhon men
·
1 Like ·
Nov 30, 2016 at 06:11
Category: love
Poetry / Love
Kyun Mehken Gulaab Aankhon Men
kyuN mehkeN gulaab aaNkhoN meN
ham ne rakhe haiN Khvaab aaNkhoN meN
daikho ham ek saval karte hain
likh kar rakhnaa javaab aaNkhoN meN
us meN Khatraa hai Duub jaane kaa
jhaNkiye mat janaab aaNkhoN meN
kabhii aaNkheN kitaab meN gum haiN
kabhii gum hai kitaab aaNkhoN meN
koi rahta tha raat din Alvi
inhii Khana Kharab ankhon men
ham ne rakhe haiN Khvaab aaNkhoN meN
daikho ham ek saval karte hain
likh kar rakhnaa javaab aaNkhoN meN
us meN Khatraa hai Duub jaane kaa
jhaNkiye mat janaab aaNkhoN meN
kabhii aaNkheN kitaab meN gum haiN
kabhii gum hai kitaab aaNkhoN meN
koi rahta tha raat din Alvi
inhii Khana Kharab ankhon men
·
1 Like ·
Nov 29, 2016 at 13:11
Category: love
Poetry / Sad
Sochta Huun Ke Mahfuuz Kar Luun Ise Apne Siine Men Lafz Or Bayaan Kii Tarah
sochta huuN ke mahfuuz kar luuN ise apne siine men lafz or bayaaN kii tarah
thoRii hii der meN yeh mulaaqaat bhii Khatm ho jaayegi daastaaN kii tarah
yeh rafaqat bahut mukhtasar hai miri hamsafar laa maire haath meiN haath de
tuu hava-e-sar-e-rahguzar ki tarah, main kisi nakhat e raygan ki tarah
haal zaalim shikari ki suurat mujhe, waqt ki zin se baandh kar le chala
mera maazii mire saath chaltaa rahaa duur tak ek majbuur maa kii tarah
sang-e-azar kii barishen tez thin, aur bachne ka koi tariqa na tha
raftaa raftaa sabhii ne saron par koi be hisi taan li sayban ki tarah
Khowiashon ke samandar se ek mauj uthi aur sail e bala Khez banti gay
jism kashtii kii maanind ulaTne lage, pairahan uR gaye baadbaaN kii tarah

Nov 28, 2016 at 13:11
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Apne Khowabon Men Tujhe Jis Ne Bhi Dekha Hoga
apne Khowabon men tujhe jis ne bhi dekha hoga
aNkh khultay hi tujhe DhuNDhane nikla hoga
zindagi sirf tere naam se mansub rahe
jane kitne hi dimaGhon ne ye socha hoga
dost ham us ko hi paiGam-e-karam samjhen ge
terii furqat kaa jo jaltaa hua lamha hoga
daman-e-ziist men ab kuch bhi nahi hai baqi
maut aai to yaqinan usay dhoka hoga
raushani jis se utar aai lahuu men mere
ay masiha vo mera zaKhm-e-tamana hogaa

Nov 19, 2016 at 21:11
Category: sad
Sponored Video