Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Na Pooch Pyar Mein Kya Kya Nahin Kiya Mainey
Na Pooch Pyar Mein Kya Kya Nahin Kiya Mainey
Bass Uss Ke Samney Sajda Nahin Kiya Mainey
Woh Muntazir Hi Nahin Tha Mairi Raahon Ka
Ye Soch Ke Kabhi Waada Nahin Kiya Mainey
Qasam Hoyi Hai Mukamal Apney Marney Ki
Safar Tha Zeest Ka, Poora Nahin Kiya Mainey
Barrey Khuloos Say Milney Laga Main Phir Ussey
Purani Baaton Ka Shikwa Nahin Kiya Mainey
Qalam Ki Nok Ko Tar To Lahoo Say Kar Daala
Koi Bhi Shair Adhoora Nahi Kiya Mainey

·
1 Like ·
Apr 24, 2016 at 04:04
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aaj Phir Se Tere Dayaar Mein Hon
Aaj phir se tere dayaar mein hon
Yaani phir tere inkhtiyaar mein hon
Is kahani ka yeh anjaam hua
Aaj main dasht e bekanaar mein hon
Koi rasta deekhayi deta nahin
Dundh kaisi hay kis ghubaar mein hon
Aaj kal kis pe hay karam tera
Main tu waise bhi kis shumaar mein hon
Hosh kaise rahe ga dil ko tera
Main tere dard k khumaar mein hon
Aik duniya hay mere dar pe Hira
Aur main tere intezaar mein hon
Yaani phir tere inkhtiyaar mein hon
Is kahani ka yeh anjaam hua
Aaj main dasht e bekanaar mein hon
Koi rasta deekhayi deta nahin
Dundh kaisi hay kis ghubaar mein hon
Aaj kal kis pe hay karam tera
Main tu waise bhi kis shumaar mein hon
Hosh kaise rahe ga dil ko tera
Main tere dard k khumaar mein hon
Aik duniya hay mere dar pe Hira
Aur main tere intezaar mein hon
·
1 Like ·
Apr 18, 2016 at 15:04
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Muhabbaton Mein Kuch Aise Bhi Haal Hotay Hain
Muhabbaton Mein Kuch Aise BHi Haal Hotay Hain
Khafa Hon Jinse Un Hi K Khayal Hotay Hain,
Machaltay Rehtay Hain Zehnon Mein Waswason Ki Tarah
Haseen Log Bhi Jaan K Wabaal Hotay Hain,
Main Dil Ka Zakham Chupaon Teri Tarah Kaise
K Tere Paas Toh Lafzon K Jaal Hotay Hain,
Bas Aik Tu HI Sabab Toh Nahi Udasi Ka
Tarah Tarah K Dilon Ko Malal Hotay Hain,
Siyaah Raat Mein Jaltay Hain Jugnuon Ki Tarah
Dilon K Zakham Bhi Kitnay Kamaal Hotay Hain,

Apr 17, 2016 at 21:04
Category: sad
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Yeh Kaun Doob Gayaa Aur Ubher Gayaa Mujh Mein
Yeh Kaun Doob Gayaa Aur Ubher Gayaa Mujh Mein
Yeh Kaun Saaye Ki Soorat Guzer Gayaa Mujh Mein
Yeh Kis Ke Sog Mein Shoridaa-Haal Phirtaa Hon
Woh Kaun Shakhs Thaa Aisaa K Mar Gayaa Mujh Mein
Ajab Havaa-E-Bahaaraan Ne Charasaazi Ki
Woh Zakhm Jis Ko Na Bherna Thaa Bher Gaya Mujh Mein
Woh Aadmi K Jo Patthar Thaa Jee Raha Hai Abhi
Ju Aaina Tha Woh Bikher Gayaa Mujh Mein
Wo Saath Tha To Ajab Dhoop Chaaon Rehti Thi
Bas Ab To Ek Hi Mausam Thaher Gaya Mujh Mein

Apr 15, 2016 at 04:04
Category: general
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Dil Ney Teray Baarey Mein Poocha To Boht Roya
Dil Ney Teray Baarey Mein POocha tO bOht rOya
wO Shakhs jO Pathar Tha tOota tO bOhet rOya
Yeh Dil K jUdaaii Key Unwaan Pey BarsOn Sey
ChUp Tha tO bOht Chup Tha rOya tO bOht rOya
iK Harf Tasalii Ka iK LafZ mUhabbat Ka
KhUd Apney Liye Us Ney Likha tO bOht rOya
Pehlay Bhii ShikastOn Par Khaaii Thi Shikast Usney
Lekin wO Teray HaathOn Haara tO bOht rOya
jO Ehd Nibhaney Ki Daita Tha dUa, Us Ney
Kal Shaam mUjhey Tanha Dekha tO bOht rOya

Apr 14, 2016 at 16:04
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Meri Ankon Ke Smndar Mein Jalan Kaisi Hai
Meri Ankhon Ke Smndar Men Jalan Kaisi Hai
Phr Dilko Tarpne Ki Lagan Kaisi Hai
Barf Ke Rup Men Dhal Jayege Ristey
Mujse Pucho Mohabbat Ki Agan Kaisi Hai!
Ab Kisi Chhat Pe Charagon Ki Qatarein Bhi Nahin
Ab Tere Shehar Ki Galiyon Mein Ghutan Kaisi Hai
Mein Tere Wisal Ki Khuwahish Ko Na Marne Doonga
Mausam-E-Hijar Ke Lehje Mein Thakan Kaisi Hai
Regzaron Mein Jo Banti Rahi Kaanton Ki Rida
Us Ki Majboor Si Aankhon Mein Kiran Kaisi Hai
Mujhe Masoom Si Larki Pay Taras Ata Hai
Usey Dekho To Muhabbat Mein Magan Kaisi Hai,

Apr 10, 2016 at 11:04
Category: love
Poetry / Political
Muzammil Shahzad
Ye Hum Jo Apna Badan Khaak Mein Mila Rahy Hen
Ye Hum Jo Apna Badan Khaak Mein Mila Rahy Hen
Hum Apny Bujhty Chiraaghon Ka Gham Mana Rahy Hen
Hum Apny Ahd K Wo Mutmain Munaafiq Hen
Jo Apny Ap Ko Tarteeb Se Ganwa Rahy Hen
Hawa-E-Asr Koi Taaziyat To Kar Hum Se
Hum Apny Mulk Mein Hijrat Ka Dukh Utha Rahy Hen
Ye Badtareen Siyaahi Bhi Apny Bakht Mein Thi
K Ghar Jala Rahy Hain Aur Muskra Rahy Hen

4 Like ·
Apr 07, 2016 at 19:04
Category: political
Articles / Health
Ijunoon
Afsurdah Khawateen Mein Falij Ka Khatrah Zyada
افسردہ خواتین میں فالج کے حملے کے خطرات زیادہ ہوتے ہیں۔ امریکی اخباریو ایس ٹو ڈے کے مطابق ایسی خواتین جو انٹی ڈیپریشن ادویات استعمال کرتی ہیں ان کے لیے نئی پریشانی کھڑی ہوجاتی ہیں۔ ان میں اسٹروک کے خط...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Apr 03, 2016 at 02:04
Category: health
Articles / Featured
Ijunoon
Pakistan Ka Pehla Mawaslati Sayyara Khala Mein
پاکستان کا پہلا پاک- سیٹ ون آر نامی مواصلاتی سیارہ زمین کے مدار میں داخل ہو گیا ہے۔
سرکاری خبر رساں ایجنسی اے پی پی کے مطابق مواصلاتی سیارہ چین کے لانچ سینٹر سے خلاء میں بھیجا گیا اور کل رات یعنی ب...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Apr 01, 2016 at 23:04
Category: featured
Sponored Video