Search
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Akhir E Shab Mein Sitaron Ko Bujha Kr Sona
Akhir-e-shab mein sitaron ko bujha kr sona
Meri aadat hai yeh khuabon ko sula kr sona
Na hi is pehlu qaraar or na chain us karwat
Kitna dushwar hai apnon ko sata kr sona
Raat bhar kesey sambhaley hoye rakho ge inhen
Meri mano to in ashkon ko baha ker sona
Us ney to chhor dia meri gali mein aana
Main ney chhora nahin raston ko saja kr sona
Khwab aa jaen na phir neend churane
Jaagti aankhon ko pehrey peh bitha kr sona..

·
2 Like ·
Oct 09, 2016 at 15:10
Category: sad
Social Wall / Photos
Maryam Rauf
Jo Shakhs Sajdon Mein Rota Hai.
·
0 Like ·
Sep 23, 2016 at 07:09
Category: photos
Advertisement
Social Wall / Photos
Rumana Shahzad
Jo Betiyaan Gharon Mein Bethi Hain.
·
3 Like ·
Sep 18, 2016 at 13:09
Category: photos
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Gham E Zindagi Teri Raah Mein
Gham-E-Zindagi Teri Raah Mein
Shab-E-Aarzo Teri Chaah Mein
Jo Ujar Gaya Woh Basa Nahin
Jo Bichar Gaya Woh Mila Nahin
Jo Dil-O-Nazar Ka Suroor Tha
Mere Paas Reh Ke Bhi Door Tha
Wohi Ek Gulaab Umeed Ka
Meri Shaakh-Jaan Peh Khila Nahin
Shab-E-Aarzo Teri Chaah Mein
Jo Ujar Gaya Woh Basa Nahin
Jo Bichar Gaya Woh Mila Nahin
Jo Dil-O-Nazar Ka Suroor Tha
Mere Paas Reh Ke Bhi Door Tha
Wohi Ek Gulaab Umeed Ka
Meri Shaakh-Jaan Peh Khila Nahin
·
1 Like ·
Sep 15, 2016 at 19:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jo Ranjishein Thiin Jo Dil Mein Gubaar Tha Na Gaya
Jo Ranjishein Thiin Jo Dil Mein Gubaar Tha Na Gaya
K Ab Ki Baar Gale Mil K Bhi Gila Na Gaya
Ab Us K Wada-E-Fardaan Ko Bhi Taraste Hain
Kal Uski Baat Pe Kyun Aitbaar Kia Na Gaya
Ab Us K Hijr Mein Royain Na Wasl Main Khush Hon
Wo Dost Ho Bhi To Samjho K Dostaana Gaya
Nigaah-E-Yaar Ka Kya Hai Huii Huii Na Huii
Ye Dil Ka Dard Hai Pyaare Gaya Gaya Na Gaya
Sabhi Ko Jaan Thii Pyaari Sabhii The Lab Basta
Bas Ik Faraz Tha, Zaalim Se Chup Raha Na Gaya

Sep 01, 2016 at 10:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Gayee Ruton Mein To Shaam O Sahar Na They Aise
Gayee Ruton Mein To Shaam-O-Sahar Na They Aise
Ke Ham Udaas Bohat They Magar Na They Aise
Yahan Bhi Phool Se Chehre Dikhayee Dete Hain
Ye Ab Jo Hain Yehi Deewar-O-Dar Na They Aise
Miley To Khair Na Milne Pe Ranjishein Kaisi
Ke Us Se Apne Marasim They Par Na They Aise
Hamee They Jo Tere Aane Talak Jaley Warna
Sabhi Charagh Sar-E-Rahguzar Na They Aise
Dil-E-Tabah Tujhe Or Kya Tasalli Dein
Tere Naseeb Tere Chaaraagar Na They Aise
Faraz Khush Ho Ke Ahsaan Us Sitamgar Ke
Jo Tujh Pe Hain Wo Kisi Or Par Na They Aise

Sep 01, 2016 at 04:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Zindagi Jab Bhi Teri Bazm Mein Laati Hai Humein
Zindagi jab bhi teri bazm mein laati hai humein
ye zameen chaand se behtar nazar aati hai humein
surkh phooloun se mehak uthti hain dil ki raahein
din dhale yoon teri aawaaz bulati hai humein
yaad teri kabhi dastak kabhi sargoshi se
raat ke pichhle pehar roz jagaati hai humein
har mulaaqat ka anjaam judaai kyun hai
ab to har waqt yahi baat sataati hai hamein.

Aug 30, 2016 at 02:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Kyun Zindagi Ki Raah Mein Majboor Ho Gaye
Kyun zindagi ki raah mein majboor ho gaye
itne hue kareeb ki hum door ho gaye
aisa nahin ki humko koi bhi khushi nahin
lekin ye zindagi to koi zindagi nahin
kyun iske faisale hamein manzoor ho gaye
paaya tumhein to humko lagaa tumko kho diya
hum dil pe roye aur ye dil ham pe ro diya
palkon se khwaab kyun gire kyun choor ho gaye.
kyun zindagi ki raah mein majboor ho gaye
itne hue kareeb ki hum door ho gaye...

Aug 29, 2016 at 18:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tery Baare Mein Jab Socha Nahi Tha
Tery Baare Mein Jab Socha Nahi Tha
Mein Tanha Tha Magar Itna Nahi Tha
Teri Tasveer Se Kerta Tha Baatain
Mery Kamray Mein Aayena Nahii Tha
Samandar Ne Mujha Piyasa Hi Rakha
Mein Jab Sehra Mein Tha Piyasa Nahi Tha
Manane Ruthne Ke Khel Mein Hum
Bich'har Jayenge Ye Socha Nahi Tha
Suna Band Ker Li Us Ne Aankhain
Kayi Raatoon Se Vo Soya Nahii Tha
Mein Tanha Tha Magar Itna Nahi Tha
Teri Tasveer Se Kerta Tha Baatain
Mery Kamray Mein Aayena Nahii Tha
Samandar Ne Mujha Piyasa Hi Rakha
Mein Jab Sehra Mein Tha Piyasa Nahi Tha
Manane Ruthne Ke Khel Mein Hum
Bich'har Jayenge Ye Socha Nahi Tha
Suna Band Ker Li Us Ne Aankhain
Kayi Raatoon Se Vo Soya Nahii Tha
·
1 Like ·
Aug 25, 2016 at 14:08
Category: sad
Sponored Video