Search
Articles / Featured
Muzammil Shahzad
Blackberry Biknay Ko Tayar Magar Khariday Ga Kon?
سمارٹ فون بنانے والی کمپنی بلیک بیری نے اصولی طور پر فیئر فیکس کی سرکردگی میں قائم ایک کنسورشیم کی جانب سے خریدنے جانے پر رضامندی کا اظہار کیا ہے۔
فیئر فیکس فائنینشل نے بلیک بیری کو 4.7 ارب ڈالر میں ...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Dec 02, 2018 at 12:12
Category: featured
Jokes / Miscellaneous
Ameera Gul
Coins Mere Say Lay Lain Magar Silsla Jari Rakhin..
AIK LARKEE THORE SEE MOTE HOTE HAI OR WOO APNA WAZAN AISE MACHINE SAY KARTE HAI JISS MIE AIK MARTBA WAZAN KARNE KAY LIYE AIK SIKKA(COIN)DALNA PARTA HAI JO KAY CURRENCY COIN HOTA HAI.WAZAN KARTY WAKAT LARKE KO MALOOM HOTA HAI KAY MACHINE WAZAK KUCH ZIADA BATA RAHI HAI TO WOO APNE JACKET OTARTE HAI OR MACHINE MEI COIN DAL DETE HAI DOBARA WAZAN KARWANY KAY LIYE MAGAR WAZAN PHIR ZIDA HE MALOOM HOTA HAI TO WOO LARKE APNE JARSE OTAR DETE HAI OR PHIR COIN DALTE HAI PHIR WAZAN KARTE HAI MAGAR WAZAN BADASTOOR ZIADA HE REHTA HAI ISE TARHA SILSLA JARE REHTA HAI WOO AIK AIK KAPRA OTAR KAY WAZAN KARTE HAI MAGAR WAZAN MEI KUCH KHAS KAME NAHI ATI USS KAY JISAM PAY KUCH HE KAPRY BAKI REH JATE HAI YANE HALF NANGE HO JATE HAI TO ISS DORAN OSS KAY PASS COIN KHATAM HO JATE HAI WOO KEHTE HAI OHH HOO COINS TO KHATAM HO GAYE ITNE DEER MEI AIK ADME JO YHE SARI SITUATION DEKH RAHA HOTA HAI BOHAT MAZY SAY KEHTA HAI KHATOON AAP COIN MERE SAY LAY LAIN OR WAZAN KARNY KA SILSLA JARI RAKHIN..
HEHEHEHEH
HEHEHEHEH
·
1 Like ·
Jul 31, 2018 at 14:07
Category: miscellaneous
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Magar Hosla Kahaan Mujh Mein
Usay Bhula Doon, Magar Hosla Kahaan Mujh Mein
Woh Mere Khoon Ki Tarah Hai Rawaan Dawaan Mujh men,
Yeh Be Sabab To Nahi Mujh Men Girya-o-Zaari
Koi To Rehta Hai Har Waqt Noha Khuwaan Mujh Men,
Bas Ek Zalzala Aaya Tha Aur Guzar Bhi Giya
Magar Woh Chor Giya Hai Kai Nishaan Mujh Men,
Azeez Itna Bhi Kiyon Hai Sakoot-e-Shaam-e-Alam ??
Kahaan Se Aaie Hain Itni Udasiyan Mujh Men ??
Kabhi Main Dard K Darya Men Doob Jata Hoon
Kabhi Yeh Dard Utarta Hai Meri jaan Mujh Men,
Ye Kon Baant Giya Mujh Mein Ronaqain Apni ??
Yeh Kon Kar Giya Abaad Ek Jahaan Mujh Mein ??
Main Jab Bhi Haath barhanay Lagta Hoon Gulon Ki Taraf
To Urne Lagti Hain Shamsheer Titliyaan Mujh Mein.

Feb 28, 2018 at 07:02
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Theher Jaye, Magar Raat Katay
Theher Jaye, Magar Raat Katay
Koi Soorat Ho Ke Barsaat Katay
Khushbuuain Mujhko Qalam Karti Gayin
Shaakh Dar Shaakh Mere Haath Katay
Mouj-e-Gul Hai Ke Talwaar Koi
Darmiaan Se Hee Manajaat Katay
Harf Kiun Apne Ganwayein Jaa Kar
Baat Se Phele Jahan Baat Katay
Chaand ! Aa Mil Ke Manayein Ye Shab
Aaj Ki Raat Tere Saath Katay
Pooray Insaanon Mein Ghus Aayein Hain
Sar Katay, Jism Katay, Zaat Katay
Koi Soorat Ho Ke Barsaat Katay
Khushbuuain Mujhko Qalam Karti Gayin
Shaakh Dar Shaakh Mere Haath Katay
Mouj-e-Gul Hai Ke Talwaar Koi
Darmiaan Se Hee Manajaat Katay
Harf Kiun Apne Ganwayein Jaa Kar
Baat Se Phele Jahan Baat Katay
Chaand ! Aa Mil Ke Manayein Ye Shab
Aaj Ki Raat Tere Saath Katay
Pooray Insaanon Mein Ghus Aayein Hain
Sar Katay, Jism Katay, Zaat Katay
·
1 Like ·
Feb 23, 2018 at 16:02
Category: sad
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Nibhaa Na Saka Magar
Ye aur baat hai kay wo Nibhaa na saka magar...
Jo kiye thay us nay waday wo Ghaazab kay thay...!!!
Jo kiye thay us nay waday wo Ghaazab kay thay...!!!
·
1 Like ·
Jan 08, 2018 at 16:01
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Magar Yaad Ab Nahi
Aayi Thi Ek Sadaa Si, Magar Yaad Ab Nahi.
Auron Se Thi Jooda Si, Magar Yaad Ab Nahi.
Tahreer Uskey Chehre Pe Ek Ajnabi Si Thi,
Aankhe Thi Aashna Si, Magar Yaad Ab Nahi.
Tark-e-Talluq Ka, Jo Ban Gayi Sabab,
Wo Baat Thi Zaraa Si, Magar Yaad Ab Nhai.
Kuch Yaad Aa Raha Hai Ke Aagaz Hijr Mein,
Chhayi To Thi Udaasi Magar Yaad Ab Nahi.
Aankho Ki Khushk Jheel Mein Utre To Ye Khula
Thi Rooh Kitni Pyaasi Magar Yaad Ab Nahi.
Kuch Usko Der Ho Gayi Aane Mein Aur Kuch,
Thi Umr Be Wafaa Si, Magar Yaad Ab Nahi.

Jan 05, 2018 at 02:01
Category: sad
Poetry / Sad
Titliyan Jugnoo Sabhi Hongay Magar Dekhay Ga Kaun
Titliyan jugnoo sabhi hongay magar dekhay ga kaun
Hum saja bhi lein agar deewar-o-dar dekhay ga kaun
Ab tu hum hain jagnay walay teri khatir yahaan
hum na hongay tu tere shaam-o-sehar dekhay ga kaun
jis ki khatir hum sakhan sachayi kay rastay chalay
jab wahi usko na dekhay tu hunar dekhay ga kaun
bay sitarah zindagi kay ghar main ab bhi raat ko
ik kiran teray khayalon ki magar dekhay ga kaun...!

Sep 23, 2017 at 16:09
Category: sad
Poetry / Sad
Woh Humsafar Tha Magar Us Say Ham Nawahi Na Thi
woh humsafar tha magar us say ham nawahi na thi
ke dhoop chaoun ka aalam raha,judaai na thi
na apna ranj na auroN ka dukh,na tera malal
sHab-e-firaq kabhi hum nay youn ganwayi na thi
mohabbatoN ka safar es tarha bhi guzra tha
sHikasta dil thay musaafir sHikasta paayi na thi
adawataiN thiN,tagHaful tha,ranjisHeiN thiN
bicHaRnay walay maiN sab kucH tha,bewafaayi na thi
bichartay waqt un aankhoN maiN thi humari gHazal
gHazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi
kabhi yeh haal k donoN maiN yakdili thi bohat
kabhi yeh marhala jaisay k ashanie na thi
ajeeb hoti hay rah-e-sukHan bhi dekh Naseer
wahaN bhi aa gaye akHir jahaN rasayi na thi....!

2 Like ·
Aug 31, 2017 at 06:08
Category: sad
Articles / Featured
Ijunoon
Naiza Dimagh K Aar Paar Magar No Jawan Zinda
مریکہ میں ڈاکڑوں کا کہنا ہے کہ ایک نوجوان کے دماغ میں نیزہ گھس جانے کے بعد اس کا زندہ بچ جانا ایک معجزہ ہے۔
واضح رہے کہ سولہ سالہ یاسر لوپز رواں ماہ امریکی ریاست فلوریڈا میں ان کے دوست کی نیزہ چلان...
مزید پڑھیں
·
1 Like ·
Aug 10, 2017 at 17:08
Category: featured
Poetry / Sad
Na The Bahaar E Chaman Ham Magar Ye Sunte Hain
ye kyaa sitam hai ke ehsaas-e-dard bhii kam hai
shab-e-firaaq sitaaroN meN roshnii kam hai
ye kaisii mauj-e-karam thii nigaah-e-saaqii meN
ke us ke baad se tuufaan-e-tishnagi kam hai
qareeb o duur se aatii hai aap kii aavaaz
kabhii bahut hai Gham-e-justujuu, kabhii kam hai
shauur-e-ishq ab aayaa hai apnii manzil par
huzuur-e-husn tamannaa-e-beKhudi kam hai
tamaam umr teraa intizaar kar leNge
magar ye ranj rahegaa ke zindagii kam hai
urooj-e-maah ko insaaN samajh gayaa lekin
hunooz azmat-e-insaaN se aagahii kam hai
na the bahaar-e-chaman ham magar ye sunte haiN
hamaare baad guloN meN shaguftagi kam hai
na saath deNgii ye dam toRti hoi shamain
naye chiraaGh jalao ke roshnii kam hai....!

Aug 02, 2017 at 01:08
Category: sad
Sponored Video